Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

Collapse
This is a sticky topic.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

    Itnay chup chap k rastay bhi rahein gay laa ilm
    Chhor jaaen gay kisi roz nagar shaam k baad
    sigpic

    Comment


    • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

      Apna kaam hai sirf muhabbat, baqi uska kaam
      Jab chahey wo roothey humse, jab chahey mann jaaey
      sigpic

      Comment


      • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

        Aik andekhey dukh ka muasam aankhoo'n ki jaageer
        Anjaaney gham k do saaey Sard hawa aur RAAT
        Baithay hain phir aglay mor pay dukh ki aag lieey
        Meri raah mein nain Bichaaey Sard Hawa aur RAAT
        sigpic

        Comment


        • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

          Hum se waabasta hai har daur ki tareekh-e-junooN
          Hum hain har daur ko aainaa dikhaane waalay
          Behr e dariya ki rawaani se shikayat kaisi
          Naqsh paani pay banaatay hain bananey waalay
          sigpic

          Comment


          • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

            Muddat k baad hazrat-e-naseh karam kiya,
            Farmaaiey mizaaj-e-muqaddas kee baat cheet!
            Par tark-e-ishq k liye irshaad kuchh na ho,
            MaiN kya karuN nahiN ye meray bas ki baat cheet!!
            sigpic

            Comment


            • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

              Tuu jaisay meray paas hai aur mahw-e sukhan hai
              mehfil see jama deti hain aksar teri yadein
              sigpic

              Comment


              • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                Zindagi!! ab k mera naam na shamil karna
                gar ye taay hai k yehee kheil doobara hoga....!!!
                sigpic

                Comment


                • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                  Jab taqaazaa nieend ka ho aur tanhaaeey na ho
                  Uff vo kaifiyat ke ho bhii aur tanhaeey na ho
                  sigpic

                  Comment


                  • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                    Kuchh der tak to us se meri guftgoo rahee
                    Phir ye hua k wo mere lehjay mein aa gaya
                    sigpic

                    Comment


                    • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                      Dard-e-dil paas-e-wafa jazba-e-iimaaN honaa
                      Hai yahee aadmiyat aur yahee insaaN honaa
                      sigpic

                      Comment


                      • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                        Logo inn kay chalaknay ki ummeed na rukho
                        Sahib-e-zarf bhe hoti hain samandar ankhein
                        sigpic

                        Comment


                        • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                          Tum ko hee baree zid thee har simt ujaala ho
                          Daaman hee jala daala ik shamaa jalanay mein
                          sigpic

                          Comment


                          • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                            Kabhi luat aain to poochna nahi bas dekhna unhein ghuar se
                            Jinhein raastay mein khabar huey k ye raasta koi aur hay
                            sigpic

                            Comment


                            • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                              Mujh ko chalnay do akela hai abhi mera safar
                              Raasta rokaa gayaa to qaafila ho jaaonga
                              sigpic

                              Comment


                              • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                                Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
                                Muddat k baad hazrat-e-naseh karam kiya,
                                Farmaaiey mizaaj-e-muqaddas kee baat cheet!
                                Par tark-e-ishq k liye irshaad kuchh na ho,
                                MaiN kya karuN nahiN ye meray bas ki baat cheet!!

                                Buhat khoob :)

                                Comment

                                Working...
                                X