Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Is Haftey Ka Lafz ~*~ Sahil, Samunder.. ~*~ (01/06)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Is Haftey Ka Lafz ~*~ Sahil, Samunder.. ~*~ (01/06)

    Assalamo allaikum

    SAHIL, SAMUNDAR, MANJHDHAAR, DARYA



    Ham ney saal-e-Nau key pehley haftey mein lafz SAHIL, SAMUNDER, MANJDHAAR, DARYA per ashaar likhney hain. Aap apney ashaar, Urdu aur Roman dono mein share bhi kar saktey ho aur compose kar key bhi share kar saktey ho :rose
    Attached Files
    Last edited by Masood; 30 December 2005, 11:34.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Is Haftey Ka Lafz ~*~ Sahil, Samunder.. ~*~ (01/06)

    :thmbup:
    Attached Files

    Comment


    • #3
      Re: Is Haftey Ka Lafz ~*~ Sahil, Samunder.. ~*~ (01/06)

      Sahil
      Is Qadar Hay Sukoot Mowjo'n Main
      Jaisey Sahil Pay Kuch Huwa Hay Abhi

      (Kiya Apna Bhi Likha Ja Sakta Hay..Main Nay Apna Likh Diya Hay. Delete Kar Kay Kisi Doosray Ka Likh Doo'n?)
      Last edited by hayaa_n; 1 January 2006, 06:18.
      :roseENIGMA:rose

      Comment


      • #4
        Re: Is Haftey Ka Lafz ~*~ Sahil, Samunder.. ~*~ (01/06)

        Originally posted by hayaa_n
        (Kiya Apna Bhi Likha Ja Sakta Hay..Main Nay Apna Nikh Diya Hay. Delete Kar Kay Kisi Doosray Ka Likh Doo'n)
        Ji Hayaa bilkul apna bhi likha jaa sakta hai, ba'shart yeh keh woh shairi key taqazon ko poora karta ho aur aap ka kalaam masha'Allah sey har lehaz sey achha hota hai. So please do share your own :)

        Hayaat ham koi talatum mein ley key doob gaee
        wagar'nah maut ney sahil dikha diya hota

        Adam
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #5
          Re: Is Haftey Ka Lafz ~*~ Sahil, Samunder.. ~*~ (01/06)

          Bouhat shukriya.ji samajh gai.

          Sahil

          Gharq kar'deta hay sahil ka sukoo'n un ko Háya
          Zadd main toofano'n ki aa'kar jo nikal jatay hain

          (Háya)
          Last edited by hayaa_n; 1 January 2006, 06:17.
          :roseENIGMA:rose

          Comment


          • #6
            Re: Is Haftey Ka Lafz ~*~ Sahil, Samunder.. ~*~ (01/06)

            samundar:

            Jaa samundar dekh li ham ney teri darya dili
            tishna lab rakha sadaf ko boond paani key liye

            (??)
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #7
              Re: Is Haftey Ka Lafz ~*~ Sahil, Samunder.. ~*~ (01/06)

              Sahil

              Haal kiya poochtay ho mera dosto mujh pay beeti jo sunnay kay qabil nahi
              Zindagi kay main us mour par hoo'n jaha'n sirf toofa'n hi toofa'n hain sahil nahi
              (Háya)
              Last edited by hayaa_n; 1 January 2006, 06:16.
              :roseENIGMA:rose

              Comment


              • #8
                Re: Is Haftey Ka Lafz ~*~ Sahil, Samunder.. ~*~ (01/06)

                Sahil aur manjhdhar

                Khabardar! aey subuk saraan-e-saahil
                yeh saahil bhi kahbi manjdhar bhi hai

                Jiggar
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • #9
                  Re: Is Haftey Ka Lafz ~*~ Sahil, Samunder.. ~*~ (01/06)

                  Darya

                  Jab teri yaad main nam hoti hain aankhain meri
                  Behtay Darya merey ashko'n main mila kartay hain
                  (Háya)
                  Last edited by hayaa_n; 1 January 2006, 06:19.
                  :roseENIGMA:rose

                  Comment


                  • #10
                    Re: Is Haftey Ka Lafz ~*~ Sahil, Samunder.. ~*~ (01/06)

                    Darya

                    Main keh khush hota tha, darya ki rawani dekh ker
                    kaanp uthta hoon, gali koochoon mein paani dekh ker

                    shehzad ahmed
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • #11
                      Re: Is Haftey Ka Lafz ~*~ Sahil, Samunder.. ~*~ (01/06)

                      Darya:
                      Yeh jo darya maiN chala aaya sunhera sa ghuroor
                      Us nay darya maiN kahiN paoN utara hoga

                      Comment


                      • #12
                        Re: Is Haftey Ka Lafz ~*~ Sahil, Samunder.. ~*~ (01/06)

                        Darya
                        Ajab hay raat say aankho'n ka aalam
                        Yeh darya raat bhar charhta raha hay
                        :roseENIGMA:rose

                        Comment


                        • #13
                          Re: Is Haftey Ka Lafz ~*~ Sahil, Samunder.. ~*~ (01/06)

                          Darya

                          Baad-e-mawafiq kay dosh pay rawaan rahay mairee zindagi:rose
                          Tairee fart-e-muhabbat may chaloo'n, woh darya ki dhaar day:rose

                          zee

                          Comment


                          • #14
                            Re: Is Haftey Ka Lafz ~*~ Sahil, Samunder.. ~*~ (01/06)

                            jin ko toofan se ulajhney ki aadat ho "mohsin",
                            un ki koshish ko samander bhi dua detay hain!

                            Comment


                            • #15
                              Re: Is Haftey Ka Lafz ~*~ Sahil, Samunder.. ~*~ (01/06)

                              Samander

                              Mai samander tha mager veerano main sehra ki tarah
                              mery gher tak chal ker ataa itna piasa koun thaa

                              Comment

                              Working...
                              X