Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Shairoun ki Barsaat :)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Shairoun ki Barsaat :)

    raste

    Mein mohabbat ka pujari hooN aqeedooN ka nahi
    in butooN ko mere raste se hataya jaye
    sigpic

    Comment


    • Re: Shairoun ki Barsaat :)


      raste
      musaafir k raste badalte rahe
      muqaddar mein chalnaa thaa chalte rahe

      koi phool saa haath kaaNdhe pe thaa
      mere paa-ON sholon pe chalte rahe


      Comment


      • Re: Shairoun ki Barsaat :)

        Musafir

        وقت رخصت تیری آنکھوں کا جُھک سا جانا
        یک مُسافر کے لئے زاد سفر ہےاے دوست
        sigpic

        Comment


        • Re: Shairoun ki Barsaat :)

          Dost

          Dost! gham'khawari mein meri sa'ee farmaein gey kya?
          zakham key bharney talak, nakhun na barh jaein gey kya?
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • Re: Shairoun ki Barsaat :)

            دوست

            کبھی حیات کی ضامن کبھی وسیلہ مرگ
            نِگاہ دوست تِرا کوئی اعتبار نہیں
            sigpic

            Comment


            • Re: Shairoun ki Barsaat :)


              Mujhay raas aa-eiN Khudaa karay yehi ishtebaah ki saa`atein
              unhein aitabaar-e-vafaa tu hai mujhay aitabaar-e-sitam nahin

              wahi kaarawaN wahi raastay wahi zindgee wahi marhalay
              magar apanay-apanay muqaam par kabhi tum nahin kabhi ham nahin

              Comment


              • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                mujhey
                Attached Files
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                  ^^ YEH

                  Apni Nakami ka aik yeh be sabab hai Faraz
                  Cheez jo bhi mangtay hain sab sey juda mangtay hain

                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment


                  • Re: Shairoun ki Barsaat :)



                    RANJ
                    Khushii ne mujh ko Thukaraayaa hai ranj-o-Gham ne paalaa hai
                    guloun ne be-ruKhi ki hai to kaaNToun ne sambhalaa hai

                    muhabbat mein Kheyaal-e-saahil-o-manzil hai naa-daanii
                    jo in raahoun mein luT ja-ay wahii taqadiir waalaa hai

                    Comment


                    • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                      Originally posted by Xenya View Post
                      ^^ YEH

                      Apni Nakami ka aik yeh be sabab hai Faraz
                      Cheez jo bhi mangtay hain sab sey juda mangtay hain


                      mil-kar judaa howay tu na soyaa karein-gey ham
                      ek doosray kii yaad mein royaa kareinge ham
                      aaNsoo chalak chalak k sataa-eiN gay raat bhar
                      motii palak palak mein paroyaa kareiN gay ham

                      Comment


                      • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                        Originally posted by Gul View Post
                        mil-kar judaa howay tu na soyaa karein-gey ham

                        ek doosray kii yaad mein royaa kareinge ham
                        aaNsoo chalak chalak k sataa-eiN gay raat bhar
                        motii palak palak mein paroyaa kareiN gay ham
                        RAAT


                        Hum shooq-e-intzaar main kuch gum they is tarha
                        ChaunkaY jabhi k Raat ney cheri sahar ki baat
                        sigpic

                        Comment


                        • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                          Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
                          RAAT


                          Hum shooq-e-intzaar main kuch gum they is tarha
                          ChaunkaY jabhi k Raat ney cheri sahar ki baat
                          Sahar

                          Kabhi yun bhi aa meri aankh me, ke meri nazar ko khabar na ho,
                          Mujha ek raat nawaz de, jis ke baad sahar na ho,

                          Comment


                          • Re: Shairoun ki Barsaat :)



                            Aankh se Aankhein


                            Meri khwahish hai kay logoon ki chura kar aankhain
                            Apni aamad ka tamasha sar e mehfil daikhoon
                            sigpic

                            Comment


                            • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                              ........................Aankh
                              Attached Files

                              Comment


                              • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                                آنکھہ

                                بہتے ہیں تیری یاد میں یوں اآنکھہ سے آنسو
                                جیسے کوئی ساون کی گھٹا ٹوٹ کے برسے
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X