Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Shairoun ki Barsaat :)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Shairoun ki Barsaat :)

    Zindagi

    Vo jo badla to robaro hum bhi badal gay
    vafa ki thi os say koe bandagi to nahe
    os ky bina b zindagi to kathe jay ge
    hasrat e zindagi tha wo shart e zindagi to nahe

    Comment


    • Re: Shairoun ki Barsaat :)

      Hasrat
      meri dastaan-e-hasarat vo suna suna ke royey
      mere aazamaaney vaale mujhey aazamaa ke royey
      koi aisaa Ehal-e-dil ho ke fasaanaa-e-muhabbat
      main osse suna ke rouuN vo mujhe suna ke royey

      Comment


      • Re: Shairoun ki Barsaat :)

        :donno:
        Attached Files
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • Re: Shairoun ki Barsaat :)

          GHAR

          mujh mitti k ghar bana,nay ka shoq tha
          usay aashiyane giranay ka shoq tha
          mein khud se rooth jata hoon aksar is liye
          usay roothe huay log mananay ka shoq tha
          sigpic

          Comment


          • Re: Shairoun ki Barsaat :)

            Comment


            • Re: Shairoun ki Barsaat :)

              Hum
              Kuch Is tarah hum tery nazdeek aa chuky
              Khud ko tery wojood ka hissa bana chuky
              Ab tum hamary dard ki kow dawa kero
              Hum to tumhain apna maseeha bana chukya

              Comment


              • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                Hum

                Kuch is tarah hum tery nazdeek aa chuky
                khud ko tery wajood ka hissa bana chuky
                Ab tum hamary dard ki koe dawa kero
                Hum to tumhain apna maseeha bana chuky

                Comment


                • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                  DARD

                  Comment


                  • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                    phool

                    Phool ab k bhi khila he nahi shayed koi
                    ab k bhi apnay qafas tak nahi aai khushboo
                    sigpic

                    Comment


                    • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                      Khushboo................My own ..
                      Attached Files

                      Comment


                      • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                        lamha
                        ik samandar hai k mere muqabil hai
                        ik qatra hai k mujh se sanbhala nahi jata
                        ik umar hai jo bitani hai tere bager
                        ik lamha hai k mujh se guzara nahi jata

                        Comment


                        • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                          aap ko ..above submitted sher mein se lafz ley k koi sher likhna tha ...

                          Comment


                          • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                            Umar..

                            Umar Bhar Likhtay Rahay, Phir Bhi Varq Saada Raha
                            Jaanay Kiya Lafz^ Thay, Jo Hum Se Na TeHreer Huye..
                            Muflisi K DinoN Main Jo BichhaR Gaya Mujh Se
                            Usay Talaash KarooNga Main Naukari Ki T^arah..

                            Comment


                            • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                              tehreer

                              Naqsh faryadi hai kis ki shokhi-e tehreer ka
                              kaaghzi hai perahan har paikr-e tasweer ka

                              Comment


                              • Re: Shairoun ki Barsaat :)

                                TaSveer..

                                Aur Jub Voh Le Saka Mujh Se Na Koi Intiqaam
                                Daal Di Ik Khaak Ki MuThii Meri TaSveer Par..
                                Muflisi K DinoN Main Jo BichhaR Gaya Mujh Se
                                Usay Talaash KarooNga Main Naukari Ki T^arah..

                                Comment

                                Working...
                                X