Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

"DaaaL" Se Shuroo honay waaley asha'ar ..

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: "DaaaL" Se Shuroo honay waaley asha'ar ..

    dil kii dhaRkan mein tavazzun aa chalaa hai Khair ho
    meri nazarein bujh gai`n yaa teri raanai ga`i

    Comment


    • Re: "DaaaL" Se Shuroo honay waaley asha'ar ..

      Dar - o - baam sab nay saja liay sab hi rooshni ma naha liay
      mere unglya bhe jalas gae maher ek chiraagh jala nahe
      mere bazm - e - dil to ujar chuki mere farsh-e- jan to simat chuka
      sabhi ja chuky mery hum nasheen mager aik shakhs gaya nahe

      Comment


      • Re: "DaaaL" Se Shuroo honay waaley asha'ar ..

        dosti tere may ek nasha hai,
        tabhi to ye duniya humse khafa hai.!
        Na karo humse itni dosti, ki dil puche...
        Teri dhadkan kaha hai..?

        Comment


        • Re: "DaaaL" Se Shuroo honay waaley asha'ar ..

          dosti ka jo zikar chala
          Tum nay kion chupa liya chehra..............!

          Comment


          • Re: "DaaaL" Se Shuroo honay waaley asha'ar ..

            Din kuch aisay guzaarta hai koi
            Jaisay ehsaan utaarta hai koi
            Dil mai kuch yun sambhaalta hun gham
            Jaisay zevar sambhaalta hai koi
            Aaina daikh kar tassali hui
            Hum ko is ghar mai jaanta hai koi
            Pakk gaya hai shajar pay phal shayad
            Phir say pathar uchaalta hai koi
            Der say goonjtay hain sanaatey
            Jaisay hum ko pukaarta hai koi

            Comment


            • Re: "DaaaL" Se Shuroo honay waaley asha'ar ..

              Dua karo wo jo poori ho
              har kisi se MUDA'A nah kaho

              Comment


              • Re: "DaaaL" Se Shuroo honay waaley asha'ar ..

                Dua-e-bad nahin deta faqat itna he kehta hon
                jisay tu toot kar chahy woh tujh sa bewafa nikaly

                Comment


                • Re: "DaaaL" Se Shuroo honay waaley asha'ar ..

                  DILOUN ko tang nazri se bacha k deykh tu leytay...
                  Hamein wafa ka sabq deytay ho ..bewafai khud hee kartay ho

                  Comment


                  • Re: "DaaaL" Se Shuroo honay waaley asha'ar ..

                    dil se poucho es dil mein
                    Kitna dard hai
                    Har Shaks hi Apni Majbori per
                    Kitna baabas hai
                    kio kya samjhe ga kesi ka haal-e-dil
                    Jis pe guzarti hai sirf wohi jaanta hai
                    Has rahe hai jo chahre un ki aankhon se poucho
                    En mein Kitna silaab hai
                    Dard mein Bhi muskrana
                    kitna dardnaak hai
                    Palkon mein jo aanso chupa hai un aansowoh se poucho
                    woh bahney ko kitne betaab hai
                    Bus ab to intizar hai Mout ka bus har pal yehi socho
                    "Baqar" Kitni baki Zindagi hai

                    Comment


                    • Re: "DaaaL" Se Shuroo honay waaley asha'ar ..

                      DOSTI khon-e jigar chahti hai
                      kaam mushkil hai tu RAssata deykho

                      Comment


                      • Re: "DaaaL" Se Shuroo honay waaley asha'ar ..

                        Dil mein bikhry howay jalon se pareshan na ho
                        meray guzray howay salon se preshan na ho
                        mere awaz ki talkee ko gawara kar lay
                        meray gustakh sawalon se parehsan na ho

                        Comment


                        • Re: "DaaaL" Se Shuroo honay waaley asha'ar ..

                          dekhne mein shaaKh-e-gul lagte hain lekin dekhnaa
                          dast-e-gul_chiin k liye talvaar ban ja-aein gey hum

                          Comment


                          • Re: "DaaaL" Se Shuroo honay waaley asha'ar ..

                            Dard kiya hota ha Tanhai kisay kehtay hen
                            ab jo bichray hen tu ahsaas howa ha hum ko

                            Comment


                            • Re: "DaaaL" Se Shuroo honay waaley asha'ar ..

                              do ashk jaane kis liye palkoun pe aa kar Tik gaye
                              altaaf kii baarish terii ikraam ka dariyaa teraa

                              Comment


                              • Re: "DaaaL" Se Shuroo honay waaley asha'ar ..

                                Dil-e-Tabaah! Tera Mashvara Hai Kia, K Mujhay
                                Wo Phool Rang Sitaraa Bhi, Be-Wafa Saa Lagay

                                Comment

                                Working...
                                X