Udas, Udasi, Mayoos, Mayoosi, Beqraar, Beqrari, Pareshan, Pareshani
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Is Haftey Ka Lafz (25/6-02/7): Udasi, Mayoosi, Beqrari, Pareshani
Collapse
X
-
Re: Is Haftey Ka Lafz (25/6-02/7): Udasi, Mayoosi, Beqrari, Pareshani
beqarari si beqarari hai
din bhi bhaarii hai raat bhaarii hai
zindagi ki bisaat par aksar
jiitii baazii bhi ham ne haari hai
toDo dil mera shauq se toDo
chiiz meri nahin tumhari hai
baar-e-hasti uThaa saka na koi
ye Gam-e-dil jahaaN se bhaarii hai
aaNkh se chhup ke dil men baiThe ho
haa_e kaisi ye pardaa-daari hai
Comment
-
Re: Is Haftey Ka Lafz (25/6-02/7): Udasi, Mayoosi, Beqrari, Pareshani
Udasiyan Joo na Latay Too or kia kartay
Ham Jasha-e-Shola Na Manatay Too or kia kartay
Andheara Mangnay Aya Tha Ham Say Rooshni K Bheak
Ham Apna Ghar Na Jalatay Too or kia kartay
Comment
Comment