Is haftey ham woh ashaar post karein gey jis mein MUSKRAHAT, HANSI, TABASSUM, KHANDAAN key alfaaz aaein ...
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Is Haftey Ka Lafz "" Muskrahat ""
Collapse
X
-
Re: Is Haftey Ka Lafz "" Muskrahat ""
Mast nazaron se dekh lena tha
agar tamanna thi aazmaane ki
Hum to behosh yoon hi ho jaatey
kiya zaroorat thi muskuraaney ki
Comment
-
Re: Is Haftey Ka Lafz "" Muskrahat ""
Aankhon mein jitney Ashk thay Jugnoo sey bun gaey
Woh muskuraaya, aur Meri Duniya badal gaya
Comment
-
Re: Is Haftey Ka Lafz "" Muskrahat ""
Jawaab soch ke Dil mein Woh muskuraatey hain
Abhi Zubaan par Meri sawaal bhi tou na tha
Comment
-
Re: Is Haftey Ka Lafz "" Muskrahat ""
Hujoom-e-Ghum meri haalat badal nahin sakta
Mein kiya karoon, Mujhey aadat hai muskuraney ki
Comment
-
Re: Is Haftey Ka Lafz "" Muskrahat ""
Muskura ke Mila karo Hum sey
Kuch kaha, kuch suna karo Hum sey
Baat karney sey baat barhti hai
Roz baatein kiya karo Hum sey
Comment
-
Re: Is Haftey Ka Lafz "" Muskrahat ""
Assalaam-0-Alaikom:rose
laboon ko laakh tabassum say baaz rakh lakin
tairi tu aankhain buht muskaranay wali hain
Comment
Comment