Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

yaadaoN ke dareeche se

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • yaadaoN ke dareeche se



    yaadaoN ke dareeche se jab dil meiN wo aataa hei
    houtaa hei mukhaaTib aur yooN poochtaa jaataa hei

    kyaa tum vohi shayer hou kyaa tum vohi Nazir hou
    jou dasht o bayhaabaaN ke mazloom musaafir hou

    jou route rulaate thay aur ashk bahaate thayh
    jou hanste hansaate thay aur shour machaate thay

    kyaa Haal tumhaaraa hei aayienah zaraa dekho
    jou bujh gaiee rou roukar wo shamA jalaa dekho

    maiN souchtaa rehtaa hooN kis TarH se lab khoulooN
    roodaad-e-gham-e-hasti boulooN keh nahiN boulooN

    Soorat nahiN koiee bhii uljhan se rihaayi kii
    SeHraa meiN sazaa kam hei kyaa aabilah paayhi kii

    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: yaadaoN ke dareeche se

    Bohat Umdah!
    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

    Comment


    • #3
      Re: yaadaoN ke dareeche se

      zabardast.

      Comment

      Working...
      X