Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

sirf Wasi Shah Poetry

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: sirf Wasi Shah Poetry

    Yazeed Dafan Hai Taboot E Zulm Main Ab Bhi..!!
    .
    .
    Wafa Ke Baagh Main Mera HUSSAIN (A.S.) Zinda Hai..!!

    Comment


    • #17
      Re: sirf Wasi Shah Poetry

      Hathyar Hain,
      Ozaar Hain,
      Afwaaj Hain,
      Lekin ...!!!
      Wo Teen Soo Taira Ka Lashkr Ni Milta...!

      Comment


      • #18
        Re: sirf Wasi Shah Poetry

        Wo aksr Hum Se kaha krta Tha K Zindgi Tumhary Naam kr Di...
        .
        .
        .
        Na Jany Zindgi Mery Naam Kr K Wo Khud Kis K Naam Ho Gaya...

        Comment


        • #19
          Re: sirf Wasi Shah Poetry

          Yeh lehja Yeh Aadawat, Ye Tarz-e-
          Muhabbat Tumhari
          Samjh Paaon To Bikhar Jaon, Na
          Samjhon To Ulajh Jaon

          Comment


          • #20
            Re: sirf Wasi Shah Poetry

            Meray zwaal say pehlay chh0rr gaya w0 mujhay ,,,

            Haseen t0 tha hi zaheen kitna tha.....!

            Comment


            • #21
              Re: sirf Wasi Shah Poetry

              Na Kar TaNG SooNay Dey MUjhE
              AEY ISHQ

              __KhuDa Ki QasaM MaiN TErE AaGey
              Haar Giya !
              Haar Giya !
              Haar Giya !

              Comment


              • #22
                Re: sirf Wasi Shah Poetry

                Ishq Karo To Us K Adab-E-Wafa Bhi Seekho,
                Ye Farigh Waqat Ki Be-Qarari Mohabbat Nahi Hoti...

                Comment


                • #23
                  Re: sirf Wasi Shah Poetry

                  Akely Chalny lagy ho
                  .
                  .
                  .
                  Kitny Sambhal gaye ho Tum.

                  Comment


                  • #24
                    Re: sirf Wasi Shah Poetry

                    شکایت کی ہے
                    ہاں میرا جرم ہے کہ میں نے محبت کی ہے
                    چلتی پھرتی لاشوں کو گلہ ہے مجھ سے
                    شہر میں رہ کر میں نے جینے کی حسرت کی ہے
                    آج پہچانا نہیں جاتا چہرا اس کا
                    اک عمر میرے دل پہ جس نے حکومت کی ہے
                    آج پھر دیکھا ہے اسے محفل میں پتھر بن کر
                    میں نے آنکھوں سے نہیں دل سے بغاوت کی ہے
                    اس کو بھول جانے کی غلطی بھی نہیں کر سکتا
                    ٹوٹ کر کی ہے تو صرف محبت کی

                    Comment


                    • #25
                      Re: sirf Wasi Shah Poetry

                      Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se Khauf Aata Hai ?
                      Mujhe Tou Chaand Sitaaron Se Khauf Aata Hai,
                      Main Dushmanon K Kisi Waar Se Nahi Darta,
                      Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai,
                      Khiza Ka Jabar Tou Seene Pay Rok Lete Hain,
                      Hamein Udaas Bahaaron Se Khauf Aata Hai,
                      Mile Hain Dosto Besaakhiyon Se Gham Itne,
                      Mere Badan Ko Sahaaron Se Khauf Aata Hai….
                      Main Iltifaat Ki Khandaq Se Door Rehta Hun,
                      Ta’alluqaat K Gaaron Se Khauf Aata Hai..

                      Comment


                      • #26
                        Re: sirf Wasi Shah Poetry

                        Kesa khaufnaak sa manzar hai keyi sadiyon se,
                        Mera qadmon pe mera sar hai keyi sadiyon se,
                        Khauf rehta hai na sailaab kahin le jaye,
                        Meri palkon pe mera tera ghar hai keyi sadiyon se,
                        Ashk aankhon mein sulagtey huye so jatey hain,
                        Yeh meri aankh jo banjar hai keyi sadiyon se,
                        Kaun kehta hai mulaqat meri aaj ki hai,
                        Tu meri rooh ke andar hai keyi sadiyon se,
                        Mene jis ke liye har kisi ko naraaz kiya,
                        Rooth jaye na yehi dar hai keyi sadiyon se,
                        Uss ko aadat hai jarr’en* kaat’tey rehne ki Wasi,
                        Jo meri zaat ka mehwar* hai keyi sadiyon se..

                        Comment


                        • #27
                          Re: sirf Wasi Shah Poetry

                          Apna to chahton mein yehi ik asool hai,
                          Tera bhalaa bura humain sab kuch qubool hai,
                          Yeh umar bhar ka jaagna bekaar hi na jaye,
                          Tu naa mila to saari reyaazat fazool hai,
                          Khud hi kaha tha tu ne meri jaan chorr de,
                          Ab chorr di to kyon tera chehra malool hai,
                          Aye Maan yeh meri shohrtain meri yeh iztain,
                          Kuch bhi nahin bass tere kadmon ki dhool hai,
                          Aayi jo teri yaad to aankhain barass parri,
                          Iss waqt tere dard ka dil per nazool hai,
                          Ik doosrey ke waastey dono baney Wasi,
                          Guldaan mera dil hai teri yaad phool hai..

                          Comment


                          • #28
                            Re: sirf Wasi Shah Poetry

                            Ajeeb saanehaa guzraa hai mujh pe aaj ki sham,
                            Main aaj shaam tumhare hijar main udaas na tha,
                            Ab aik saal to yeh aik gham hi kaafi hai,
                            Tumhari salgiraah par bhi tumhare paas na tha..

                            Comment


                            • #29
                              Re: sirf Wasi Shah Poetry

                              Maan lai ab bhi meri jaan-e-adaa, dard na chun,
                              Kaam aati nahin phir koi duaa, dard na chun,
                              Aur kuch dair mein mujh ko chale jana hoga,
                              aur kuch dair mujhe khawab dikha, dard na chun,
                              Aik bhi dard na kam hoga keyi sadiyon mein,
                              Ab bhi kehta hoon tujhe waqt bachaa, dard na chun,
                              Woh jo likha hai kisi taur nahin ttal sakta,
                              Aa mere dil main koi deep jala, dard na chun,
                              Main tere lamss se mehroom na rah jaaon kahin,
                              Aakhri baar mujhe khud se laga, dard na chun,
                              Ab to yeh raishmi purain bhi chaddi jati hain,
                              Khud ko ab bakhssh bhi de, zulm na dhaa, dard na chun,
                              Yeh nahin hon ge to khali nahin ho jaon ga mein,
                              Mere zakhmon se koi geet bana, dard na chun,
                              Kuch na de ga yeh masaayel se ulajhtey rehna,
                              Chorr sab kuch meri banhon mein samaa, dard na chun..

                              Comment


                              • #30
                                Re: sirf Wasi Shah Poetry

                                Sari raat ki jaagi aankhein,
                                College mein kiya parrhti hon gi,
                                Yunhi khoye, dil hi dil mein,
                                Jaanay kiya kiya karti hon gi,
                                Sari raat ki jaagi aankhen,
                                Koi bolay, kaan na dharna,
                                Koi hillay to ek dam darna,
                                Koi daikhe in ka barhna,
                                Apne aap say larti hon gi,
                                Sari raat ki jagi aankhein,
                                Apni kitaabein phartey rehna,
                                Us ki baaten kartey rehna,
                                Us ki yaadein ghartey rehna,
                                Jeetay jeetay marti hon gi,
                                Sari raat ki jagi aankhein,
                                College mein kiya parrhti hon gi..

                                Comment

                                Working...
                                X