Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

sirf Wasi Shah Poetry

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • sirf Wasi Shah Poetry







    yeh thread mera life activity kay leye hai






    Suno!
    Wo Kehta Hy K Tm Badal Gaye Ho,
    Suno!
    Wo Ye Ni Manta K M Ni Tm Badl Gaye Ho,
    Manty Han Hm K Hmy Milti Han Fursaten Bht Dair Sy,
    Mgr Jb Bat Krty Han To Kehta Hy Tm Badal Gaye,
    Suno!
    Hm Ny Lgai Thi Ik Bazi Khel-E-Ishq Ki,
    Hm Har Ky Bi Jeet Gaye Wo Kehta Hy Tm Har Gaye Ho,
    Suno!
    Wo Aksar Krta Hy Baten Berukhi Ki,
    Hm Ny Jb Ki Bt Wafa Ki Wo Kehta Hy Tm Bewafa Ho Gaye Ho,
    Suno!
    M Aksar Sochti Hun Paari Koi To Batla Dy Mjy,
    M Badal Gai Hun Ya Per
    TUM BADAL GAYE HO?






    2..




    Abhi kuch bhi nahin badla,
    Darakhton par wohi mausam abi tak muskuratey hain,
    Abhi tak surmeyi shamain hamarey sath roti hain,
    Abhi tak mere honton per tumhare honton ki khushbu
    Raqss karti hai,
    Abhi tak meri ankhon mein tumhare khawb hanstey hain,
    Abhi tak mere hathon per tumhari ungliyon
    ki narm pooron se likhey sab harf
    zinda hain,
    Abhi tak mere seeney mein tumhari saans chalti hai,
    Abhi to raston par doodhiya pairon se parney waley
    sarey naqsh qayem hain,
    Abhi almaariyon mein sarey tohfey gungunatey hain,
    Tumhare khat abhi bhi raat ki tanhai mein mujh se,
    Tumhari baat kartey hain,
    Bohat se saal guzrey hain,
    Bohat se waqt beeta hai,
    Meri chahat nahin beeti,
    Meri himmat nahin guzri,
    Abhi kuch bhi nahin badla,
    Abhi kuch bhi nahin badla,
    Agar chaho,
    Agar samjho,
    Meri maano,
    To laut aao…






  • #2
    Re: sirf Wasi Shah Poetry

    Na tumhey hosh rahey or na mujhey hosh rahey,
    Is qadar toot kay chaho mujhey pagal kar do..

    Comment


    • #3
      Re: sirf Wasi Shah Poetry

      s qadar toot kay tum par humey pyar ata hai,
      Apni bahon me bharien mar hi dalien tum ko..

      Comment


      • #4
        Re: sirf Wasi Shah Poetry

        Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah
        Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah
        Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga
        Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah
        Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga’uon Ga,
        Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,
        Mere Hee Dil Ka Makee.n Nikla Wo Shakhs “Wasi”
        Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah

        Comment


        • #5
          Re: sirf Wasi Shah Poetry

          Tum mere dard bhi, gham bhi, alaam bhi tum,
          Tumn mera chain ho jana, mera araam bhi tum,
          Kamyaabi ko nahin hum ne tumhe chahaa hai ,
          Hum tumhare hain bhaley ho gaye nakaam bhi tum,
          Main maseeha hoon agar, mera wazeefa tum ho,
          Main hoon mujrim meri jaan mera ilzaam bhi tum,
          Kya zaroorat hai mujhe dard ke me’khaanon ki,
          Tumhi nasha, tumhi paimaana, mera jaam bhi tum,
          Mukhtlif se bahaanon se mujhe sochtey ho,
          Aik din khul ke pukaro ge mera naam bhi tum,
          Yeh seyaasat bhi ajab khail hai bholey panchi,
          Yahan seyaad bhi tum ho, to teh’daam bhi tum,
          Jis se roshan mera aangan hai tumhi ho woh chiraag,
          Sach to yeh hai ke tumhi ghar ho, dar-o-baam bhi tum,
          Raat din tum ko faqat tum ko mujhe sochna hai,
          Meri furssat bhi tumhi aur mera har kaam bhi tum..

          Comment


          • #6
            Re: sirf Wasi Shah Poetry

            Sochta Hoon Ke Usay Neend Bhi Aati Hogi
            Ya Meri Tarah Faqat Ashk Bahati Hogi
            Wo Meri Shakal Mera Naam Bhulanay Wali
            Apni Tasweer Se Kia Aankh Milati Hogi ?
            Is Zameen Pe Bhi Hay Selaab Meray Ashkon Say
            Meray Matam Ki Sada Arsh Helati Hogi
            Shaam Hotay Hi Wo Chokhat Pay Jala Kar Shamain
            Apni Palkon Pay Kaii Khowab Sulati Hogi
            Us Nay Silwa Bhi Liye Hongay Siya Rang Lebaas
            Ab Moharram Ki Tarah Eid Manati Hogi
            Hoti Hogi Meray Bosay Ki Talab Main Pagal
            Jab Bhi Zulfon Main Koii Phool Sajati Hogi
            Meray Tareek Zamano Say Nikalnay Wali
            Roshni Tujh Ko Meri Yaad Dilati Hogi
            Dil Ki Masoom Ragain Khud Hi Sulagti Hogi
            Joon Hi Tasweer Ka Kona Wo Jalati Hogi
            Roop Day Kar Mujhay Us Main Kisi Shehzaday Ka
            Apnay Bachon Ko Kahani Wo Sunati Hogi

            Comment


            • #7
              Re: sirf Wasi Shah Poetry

              Jab Mohabat Karni Hai To Phir Halaat Se Darna Kesa.,

              Jang Lazim Ho To Lashkar Nahi Dekhe Jate...!!!

              Comment


              • #8
                Re: sirf Wasi Shah Poetry

                Mery mtlb ka Shakhs tha wo..!

                Afsos...!
                Matlabi nikla...

                Comment


                • #9
                  Re: sirf Wasi Shah Poetry

                  Aao Mill K Matam Kren Muhabbat Ka

                  Tum Ishq Ki
                  Zanjeer-Zani
                  Karo Main Wafa Ki Aag Pe Chalta Hun.

                  Comment


                  • #10
                    Re: sirf Wasi Shah Poetry

                    Chalo ik nazm likhte hain,
                    .
                    .
                    Kisi k naam karte hain,
                    .
                    .
                    Magar ye sochna hai ab,
                    .
                    .
                    K us me zikr kis ka ho,
                    .
                    .
                    K us me baat kis ki ho,
                    .
                    .
                    K us me zat kis ki ho,
                    .
                    .
                    Aur ye bhi farz karte hain,
                    .
                    .
                    K jis pe nazm likhte hain,
                    .
                    .
                    Hamen us se muhabbat hai,
                    .
                    .
                    Hamare sare jazbon ko,
                    .
                    .
                    Bs uski hi zarorat hai,
                    .
                    .
                    Chalo ik kam karte hain,
                    .
                    .
                    K hm jo nazm likhte hain,
                    .
                    .
                    Wo"RABB"k naam karte hai,
                    .
                    .
                    Wohi unwan ho is ka,
                    .
                    .
                    Usi ka zikr ho is mai,
                    .
                    .
                    Ussi ki baat ho is mai,
                    .
                    .
                    Ussi ki zaat ho is mai,
                    .
                    .
                    K.. Wohi Khaliq.
                    Wohi Malik.
                    Wohi Raziq.
                    Wohi Hakim.
                    Wohi Awwal.
                    Wohi Aakhir.
                    .
                    .
                    Wohi haqdar hai is ka,
                    .
                    .
                    k ALLAH naam hai jiska.!!

                    Comment


                    • #11
                      Re: sirf Wasi Shah Poetry

                      Wo larka
                      Wo larka
                      Jis k chehre per
                      Har waqt udaasi rehti thi
                      Jis k hont kabhi
                      Ikhlaqan bhe hanste tou
                      Yun lagta tha ke agar
                      Aik lamha bhi !
                      Aur hansay To..
                      Uski aankhein Rou deingee
                      Sab se alag
                      Apni he dunya mein
                      Gum rehta tha
                      Wo khamosh,
                      Udaas sa larka jab bhi,
                      Uss larki se milta
                      Tou uss lamhay usko
                      Itni khushi hoti
                      ke wo saari udaasiyan, Saare
                      ghum
                      Bhool Jata..
                      Ander he ander apne dil mein
                      Hans deta..
                      Uske honton k humrah
                      Uski aankhein bhi hansti thi
                      Lekin Jab wo uss se juda hone
                      lagi
                      To wo Pehle se
                      Aur bhi zyada
                      Tanha,
                      Gum sum
                      Aur, udaas ho gaya...

                      Comment


                      • #12
                        Re: sirf Wasi Shah Poetry

                        Wo larki shayad pagal thi
                        Din raat hi gum sum rehti thi
                        kuch sharam-o-haya ka pekar
                        thi
                        kuch naram mizaaj rakhti thi
                        Aankon me neem nasha sa tha
                        baaton se deewani lagti thi
                        Hum.raaz na tha us ka koi
                        bus khud se baaten karti thi
                        Ek sham k aanchal me aksar
                        jazbaat chupae rakti thi
                        Darti thi juda ho jane se
                        ya pyar se shayad darti thi
                        kya sabr tha us deewani ka
                        kya zabt-e-muhabbat rakhti
                        thi
                        Hae rashk muje us pagli pe
                        kya khoob muhabbat karti thi

                        Comment


                        • #13
                          Re: sirf Wasi Shah Poetry

                          Chalo Hussain (R.A) Ki Taqleed Bhi
                          Kare Koi,
                          Ke Sirf Soog Manany Se Kuch Nahi
                          Hoga…
                          Utho Ke Hum Bhi Jhuka Dein Kisi
                          Yazeed Ka Sar
                          Lahu Ke Ashk Bahany Se Kuch

                          Comment


                          • #14
                            Re: sirf Wasi Shah Poetry

                            Pal Pal Uska Saath Nibhaate
                            Hum
                            Aik Ishare Peh Duniya Chhor
                            Jate Hum
                            Samundar K Beech Me
                            Pohanch Kr Fareb Kiya Usne
                            Woh Kehta To Kinare Peh Hi
                            Doob Jate Hum…

                            Comment


                            • #15
                              Re: sirf Wasi Shah Poetry

                              Kyon Hota Hai Yeh Aitbar Ki Dehlizoon Pe Aksar..?

                              Bohat Apny Jo Hoty Hain Wo Apny Kyon Nhi Rehty.

                              Comment

                              Working...
                              X