Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

sirf Ahmed Faraz Poetry

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: sirf Ahmed Faraz Poetry

    apna samaj kar jis keliya ujar gaye hum Faraz
    wo kal ja raha tha kisi ajnabi k saath.

    Comment


    • #62
      Re: sirf Ahmed Faraz Poetry

      Samndar me Fanaa hona to kismat ki kahani hai FARAZ!
      Jo Marta hen Kinaroon par Mujhe Dukh un pe Hota hay.

      Comment


      • #63
        Re: sirf Ahmed Faraz Poetry

        Haseen yadoon ky kuch mosam ussay arsal karny hain faraz
        Suna hay sham ko tanhai ussy sony nahi dati

        Comment


        • #64
          Re: sirf Ahmed Faraz Poetry

          Apan hissa shumar karta tha,
          Mujhse itna woh pyar kerta tha,
          Woh banata tha meri tasveerain,
          Unse bataen hazaar karta tha,
          Mera dukh bhi khuloos-e-niyat se,
          Apna dukh he shumar karta tha,
          Such samajhta tha jhoot bhi mera,
          Yun mera aitbaar karta tha,
          Pehle rakhta tha phool rastay main,
          Phir mera intazaar karta tha,
          Aaj pehlu main woh nahi Faraz!
          Jo mujh pe jaan nisaar karta tha

          Comment


          • #65
            Re: sirf Ahmed Faraz Poetry

            Ab na wo mai hoon na tu hai na wo mazi hai faraz,
            Jaisay do shaks tamanna ke sirabo mai miley.

            Comment


            • #66
              Re: sirf Ahmed Faraz Poetry

              Phira Hoon Saray Zamanay Main Dar Bdar Kesa
              Main Teray Badd Bhi Zinda Raha Mager Kesa

              Wo Janta Tha Keh Kuch Rooz Wo Nahi Tha Tu Main
              Pukarta Raha Us Ko Edhar Udhar Kesa

              Na Aitabaar, Na Aasoodgi Na Qurb Tera
              Fqat Takalluf -e- Deewar o Darr Hai , Ghar Kesa

              Aziz Ter Thi Jesay Neend Shaam Wasaal Main Bhi
              Wo Teray Hijar Main Jaga Hai Umar Bhar Kesa

              Bas Ak Shaks Ki Khater, Bas Ak Dil Kay Liye
              Watan Ko Taj Dia Dewange Main Ghar Kesa

              Kaha Ke Doste, Kesa Faraq, Koon Faraz
              Main Khud Ko Bhool Gia Tujh Ko Bhool Kar Kesa

              Comment


              • #67
                Re: sirf Ahmed Faraz Poetry

                Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho
                Ae jaan-e-jahaaN ye koi tum saa hai ke tum ho

                Yeh khwaab hai, khushboo hai, ke jhoNka hai, ke pal hai
                Yeh dhuNd hai, baadal hai, ke saayaa hai, ke tum ho

                Is deed ki sahAat main kaiye rang hain larzaaN
                Mein hooN ke koi aur hai duniya hai ke tum ho

                DekhO yeh kisi aur ki aankhAin hain ke meri
                DekhooN yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho

                Yeh umr-e-gurezaaN kahin tahre to yeh jaanooN
                Har saaNs main mujh ko yeh lag ta hai ke tum ho

                Har bazm main mauzoo-e-suKhan dil zadgaaN ka
                Ab kaun hai Shireen hai ke Laila hai ke tum ho

                Ik dard ka phaila huA sahara hai ke mein hooN
                Ik mauj main aaya huAa dariya hai ke tum ho

                Woh waqt na aaiye ke dil-e-zaar bhi sochai
                Is shehar main tanha koi hum sa hai ke tum ho

                Aabaad hum aashufta sarOn se nahin maqtal
                Yeh rasM abhi shehar main zinda hai ke tum ho

                Ae jaan-e-'Faraz' itni bhi taufeeq kise thi
                Hum ko ghum-e-hasti bhi gawaara hai ke tu

                Comment


                • #68
                  Re: sirf Ahmed Faraz Poetry

                  لائف آپ اشعار اردو میں لکھا کریں تو پڑھنے اور مزا آئے گا
                  شکریہ


                  مزا برسات کا چاہو تو ان آنکھوں میں آبیٹھو
                  ساہی ہے، سفیدی ہے شفق ہے ابر باراں ہے


                  roseroseroseroseroseroserose

                  Comment

                  Working...
                  X