Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

sirf Romantic poetry

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: sirf Romantic poetry

    Us ne Chaha to Chahaton Ki Hadon Se Barh Kr

    Kehti Thi Haath Na Chorungi Tuufano Se Darr Kr

    Phir Khud Hi Tor dia Wo Ta'aLLuq Zindagi K Ik Morr Par

    Aaj Mai ne Pocha to Kehti Hai Wo Lamha Tha Jo Guzar Gaya Kinaron Ko Torr Kr

    Khud Hi Ro Parri Wo Ik Zindagi K Morr Par

    Or Keh Gyi Tum Kisi Or K Ho Jao Mujhe Chhorr Kr

    Mai Hasrat Se Dekhta Raha Usay Apne Haathon Ko Jorr Kar

    Or Wo ChaL Parri Meri Wafaon Ko Chhor Kr

    Mgar Mai Karun ga Intezar Un Lamhaat Ko Phir Se Jorr Kr

    Kbhi To Hoga Usay bhi Ye Ehsas K

    Kisi Ne Chaha Tha Usay Duniya Ko Chhor Kar..,

    Comment


    • #17
      Re: sirf Romantic poetry


      Dil Chahta Hai Zamaane Se Chhupa Loon Tujh Ko
      Dil Ki Dhadhkan Ki Tarah Dil Me Basaa Loon Tujh Ko,

      Koi Ehsaas Judaai Ka Na Rehne Paye
      Is tarah Khud Me Meri Jaan Chhupa Loon Tujh Ko,

      Tu Jo Rooth Jaye Mujh Se Mere Dil Ki Roshni
      Saari Duniya Se Khafa Ho Kar Manaa Loon Tujh Ko,

      Jab Bhi Mai Dekhoon Tere Chehre Pe Udaasi Ka Saya
      Bas Yeh Chahoon Kisi Tarah Hasa Loon Tujh Ko,

      Tu Kabhi Duniya Se Bezaar Ho Jaye To
      Dil Ye Chahe Ki Bahon Me Apni Chhupa Loon Tujh Ko...!!

      Comment


      • #18
        Re: sirf Romantic poetry

        Mohabbaton K Nisaab Jesa'
        Woh Ik Chehra Keetab Jesa' ♡

        Mahakta Hai Mere Qalb-o-Jaan Mein'
        Woh Shaks Khilty Gulab Jesa' ♡

        Yaqeen Bhi Hai Woh Mery Dil Ka'
        Gumaan Bhi Hai Saraab Jesa' ♡

        Woh Bansuri Hai Jo Hont Rakhon...
        Jo Dekhon Chhoo K, Rubab Jesa. ♡

        Comment


        • #19
          Re: sirf Romantic poetry

          kitne ajeeb hai mere andar ki tanhai

          hazaron apne hain magar yaad tum hi atay ho

          Comment


          • #20
            Re: sirf Romantic poetry

            Tu mehwar hai main tera daairah hoon
            Teray aaghaaz ki main intayhaa hoon

            Hisaar-e-dast mein rakhna hawa hai
            Dayaar-e-aarzoo ka main diya hoon

            Iraadon ko bikhernay hi na doon ga
            Teri himmat hoon, tera housla hoon

            Tu meri dherkanon ka saaz hai or main
            Teray honton pay lehraati sadaa hoon

            Tu dekhay sirf jis mein aks apna
            Wo hi main khush muqaddar aaina hoon

            Hoon meelon door tujh say yaar laykin
            Mujhay lagta hai main saaya tera hoon

            Kabhi sapnon ki soorat neend teri
            Kabhi aankhon ka teri ratt-jaga hoon

            Sun a khushboo gulaab-e-jaan faza sun
            Safer jis mein karay tu wo hawa hoon

            Main teray dil ki dherkan ban gaya hoon
            TU SUN LAY ! MAIN TUJH MEIN JEE RAHA HOON.

            Comment


            • #21
              Re: sirf Romantic poetry

              Mohabbaton mein wafaaon mein qaid rakhoon ga
              Tamaam umer duaaon mein qaid rakhoon ga

              Bacha k rakhoon ga nafrat ki dhoop say her pall
              Preet k pair ki chaaon mein qaid rakhoon ga

              Meray labon k jo derwaazay waa na ker paayein
              Hamayshah aisi sadaaon mein qaid rakhoon ga

              Tu ik qadam bhi akayla na jaa sakay ga kaheen
              Main apna dil teray paaoon mein qaid rakhoon ga

              Tamaam umer na kuch or dekhna chaahay
              Ye aankh teri adaaon mein qaid rakhoon ga.

              Comment


              • #22
                Re: sirf Romantic poetry

                -:||:- Kaash Ye Lamha Theher Jaaye Zara -:||:-


                Zerd madhum roshni mein gulaabi aanchal ki dhanak
                Serd kamray mein machalti germ saanson ki mehek
                Baazoo’on k sakht halqay mein koi naazuk badan
                Silwatein malboos per, aanchal bhi kuch dhalka hua
                Germi-e-rukhsaar say dehki hui thandi hawa
                Nerm zulfon say mulaa’im ungliyon ki chair chaar
                Surkh honton per sharaarat k kisi lamhay ka aks
                Reshmeen baanhon mein choori ki kabhi madhum khanak
                Shermageen lehjon mein dheeray say kabhi chaahat ki baat
                Do dilon ki dherkanon mein goonjti thi ik sada
                Kaanptay honton pay thi KHUDA say sirf ik dua
                Kaash ye lamha theher jaaye, theher jaaye zara … !

                Comment


                • #23
                  Re: sirf Romantic poetry


                  آجا کہ ابھی ضبط کا موسم نہیں گزرا
                  آجا کہ پہاڑوں پہ ابھی برف جمی ہے

                  خوشبو کے جزیروں سے ســــــتاروں کی حدوں تک
                  اس شہر میں سب کچھ ہے بس اک تیری کمی ہے

                  Comment


                  • #24
                    Re: sirf Romantic poetry

                    Ek Roz Yunhi Chalte Chalte Uss Ne Pocha Mujh Se,
                    ..........Kon Ho Tum?
                    Aur Kon Hon Men?
                    ...........Mei Muskuraya...
                    Aur Kaha,
                    Raasta Hon Main,
                    Aur
                    Manzil Ho Tum.........!!!!

                    Comment


                    • #25
                      Re: sirf Romantic poetry

                      -:||:- Haan Wo Naam Tera Hai -:||:-


                      Aas K Jazeeron Per


                      Haath Ki Lakeeron Per


                      Wo Jo Naam Likha Hai


                      Haan Wo Naam TERA Hai


                      Haan Wo Naam TERA Hai !

                      Comment


                      • #26
                        Re: sirf Romantic poetry



                        Mujh pay kaisa khumaar hai tera
                        Chaaron jaanib hisaar hai tera

                        Bikher rahi hai jo roshni her-soo
                        Dhool hai yaa ghubaar hai tera

                        Lab pay her-dam sajaaye rakhta hoon
                        Ye tabassum qaraar hai tera

                        Kiun na meri ghazal haseen thehray
                        Meray hurfon mein piyaar hai tera

                        Rooh ka jaisay zindagi per hai
                        Dil pay yun ikhtiyaar hai tera

                        Jaisay aankhon ko ho ujaalay ka
                        Yun mujhay intayzaar hai tera

                        Chain dayta hai lay k bay-chaini
                        Bas yehi kaarobaar hai tera.

                        Comment


                        • #27
                          Re: sirf Romantic poetry


                          انا کے قید خانے کا ، میں وہ باغی سا مجرم ہوں .. ..
                          جسے پھانسی چڑھا ڈالا ، محبت کے وکیلوں نے .. !!

                          Comment


                          • #28
                            Re: sirf Romantic poetry

                            یہ آنکھ بھی ، یہ خواب بھی

                            یہ آنکھ بھی ، یہ خواب بھی ، یہ رات اسی کی
                            ہر بات پہ یاد آتی ہے ہر بات اسی کی

                            جگنو سے چمکتے ہیں اسی یاد کے دم سے
                            آنکھوں میں لیے پھرتے ہیں سوغات اسی کی

                            ہر شعلے کے پیچھے ہے اسی آگ کی صورت
                            ہر بات کے پردے میں حکایات اسی کی

                            لفظوں میں سجاتے ہیں اسی حسن کی خوشبو
                            آنکھوں میں چھپاتے ہیں شکایات اسی کی

                            کیا کیجیئے اچھی ہمیں لگتی ہے ہمیشہ
                            دیوانگئ دل میں ہر بات اسی کی

                            جس شخص نے منظر کو نئے پھول دیئے تھے
                            ہیں دور خزاں پر بھی عنایات اسی کی

                            آتا ہے نظر مجمع احباب میں عادل
                            لاکھوں میں اکیلی ہے مگر ذات اسی کی

                            Comment


                            • #29
                              Re: sirf Romantic poetry


                              وہ میرا خیال رکھتی تھی


                              میں آئینہ تھا ، وہ میرا خیال رکھتی تھی
                              میں ٹوٹتا تھا تو چن کر سنبھال رکھتی تھی

                              میں جب بھی ترک تعلق کی بات کرتا تھا ،
                              وہ روکتی تھی مجھے ، کل پے ٹال رکھتی تھی

                              وہ میرے درد کو چنتی تھی اپنی پوروں سے
                              وہ میرے واسطے خود کو نڈھال رکھتی تھی

                              وہ ڈوبنے نہیں دیتی تھی دکھ کے دریا میں
                              میرے وجود کی ناؤ اچھال رکھتی تھی

                              دعائیں اس کی بلائو کو روک لیتی تھیں
                              وہ میرے چار سو ہاتھوں کی ڈھال رکھتی تھی

                              اک ایسی دھن کے نہیں پھر کبھی میں نے سنی
                              وہ منفرد سا ہنسی میں کمال رکھتی تھی

                              اسے ندامتیں میری کہاں گوارہ تھیں
                              وہ میرے واسطے آسان سوال رکھتی تھی

                              بچھڑ کے اس سے میں دنیا کی ٹھوکروں میں ہوں محسن
                              وہ پاس تھی تو مجھے لازوال رکھتی تھی

                              Comment


                              • #30
                                Re: sirf Romantic poetry

                                اجاڑ لمحوں کی داستانیں

                                اجاڑ لمحوں کی داستانیں جو تم کہو تو سنائیں تم کو
                                بہت سا ہم جاگتے رہے ہیں چلو ذرا سا جگائیں تم کو

                                تم ہی ہو جو روشنی سی بن کر ہماری آنکھوں میں آبسے ہو
                                جب اپنی آنکھیں ہی کہ دیا ہے تو پھر بھلا کیوں رلائیں تم کو

                                غبار آلود راستوں میں تلاش کر کر کے تھک گئے ہیں
                                کہاں پہ جا کے بسے ہوئے ہو، کہاں سے ہم ڈھونڈھ لائیں تم کو

                                تمہیں تو سکھ آ گئے میسر، تمھیں تو ہم یاد ہی نہیں ہیں
                                مگر یہ بتاؤ کہ ہم جو چاہیں تو کس طرح بھلائیں تم کو

                                کہو کہ جاذب یہ جھوٹ ہے نا کہ تم نے اس کو بھلا دیا ہے
                                ابھی تلک جس کی شوخ یادیں ہر ایک لمحے ستائیں تم کو

                                Comment

                                Working...
                                X