Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

life ashaar collection

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: life ashaar collection

    mujhy mohabaton sy kuch mila nhi
    mujhy us sy b koi gila nhi
    kui mein rastoon ko ilzaam doun
    mera hamsafar he sath chala nhi
    mein usko bewafa sa lgta hoon
    jisy khud wafa ka pta nhi

    Comment


    • Re: life ashaar collection

      Raat ne jalti tanhai main
      Andharoon k jaal bunay thay
      Dewaaron per tareeki ki gard jami thi
      Khushboon ka ahsas fiza main toot raha tha
      Gher ' angan khamoshi or'rhe jaag raha tha
      Derwaze banhain phailae ungh'h rahe thay
      Dur samander par hawain badlon se baatain
      Kerti thin
      Aise main aik neend ka jonkha
      Lehr bana aur guzzr gia
      Phir aankh khuli to
      Is mosam ki Pehli Barish
      Aur teri yadain
      Donon mil ker
      Toot't ker bersiin

      Comment


      • Re: life ashaar collection

        Tum ne kaha tha,
        Pehli barish ke parte hi,
        Laut aao ge..!!
        Hum aur tum mil kar bheegain ge,
        Dekho jana..!!
        Kitni phua’rain beet chuki hain,
        Saawan phir se laut ke aaya hai,
        Barson pehle kiya tha tum ne,
        Mujh se ehad,
        Nibhaa jao na,
        Janaan! Laut ke aajao naa,
        Ab to laut ke aajao naa..!!

        Comment


        • Re: life ashaar collection

          Ab k baras koi na ho ga Chatri le k barish men
          Ab k baras Bhegay Qadmoon se ghar wapis a jayen gay

          Comment


          • Re: life ashaar collection

            Ajh jab barish hui
            Yeh bhi aik khiyal aaya

            kiun na aik badal ko
            Razdaan banaoon main

            Jo bi mujh pe guzri hae
            Ous ko sab sunaoon main

            Tum say jo kehna hai
            Ous ko sab sunaaon main

            Phir tumhare Dil pe
            Ajh he barass jaye

            Comment


            • Re: life ashaar collection

              Aaj Phir Mujhko Uski Yaad Dila Di
              Baarish Ne
              Dil Mein Jo Bhool Ki Aag Thi Bhuja Di
              Baarish Ne
              Main Tanha Thi Apne Shehae
              Mein Zamane Se Dur
              Magar Mere Ghar Ki Deewar
              Saja Di Baarish Ne

              Uske Zikr Se Ho Gayi
              Meri Aankhen Nam
              Magar Doston Mein Yeh
              Saari Baat Chupa Di
              Baarish Ne
              Suna Hau Woh Bhi Roya Hai
              Aaj Bahot
              Lagta Hai Unko Meri Yaad Dila Di
              Barish Ne
              Wo Bewafa Ho To Phir Kya
              Hua Doston
              Aaj Mere Saath Rokar
              Wafa Nibha Di
              Barish Ne

              Comment


              • Re: life ashaar collection

                Suna Hai Ke Barish Use Bhi Passand Hai…

                Woh Bhi Meri Tarhan…

                Barasti Bundoon Ko Haathoon Mein Sameet Leta Hai…

                …Suna Hai Phool Use Bhi Passand Hein…

                Woh Bhi Meri Tarhan…

                Ghantoon Phooloon Se Baatein Karta Rehta Hai…

                Suna Hai Chand Use Bhi Aacha Lagta Hai…

                Woh Bhi Meri Tarhan…

                Raat Raat Bhar Use Takta Rehta Hai…

                Suna Hai Tanhai Use Bhi Bhaati Hai…

                Woh Bhi Meri Tarhan…

                Pehroon Tanha Beth Kar Kisi Ko Soocha Karta Hai…

                Yeh Saari baatein Saachi Hein Magar…

                Yeh Bhi Saach Hai…

                Mein Jo Us Ke Bare Mein…

                Har Baat Ki Khabar Rakhta Hoon…

                Yeh Bhi Jaanta Hoon Ke Us Ki…

                Sochoon Ka Mehwar Mein Nahein Hoon

                Comment


                • Re: life ashaar collection

                  Yaad Hain Hum Ko
                  Hamary
                  Sab Hi Gunnah .....
                  Ek
                  Mohabbat Ker Li,
                  Dusra
                  Tum Se Ker Li,
                  Teesra
                  Toot Ke Ker Li

                  Comment


                  • Re: life ashaar collection

                    Khawaboun key tukray hein
                    tootay jo palkon per
                    Aankhon main chubhtey hein...

                    Comment


                    • Re: life ashaar collection

                      "Palkon peh jo rehty hein
                      beh jatey hein
                      kiuyn akser
                      Sawaan hein
                      ya Sapney hein ..."

                      Comment


                      • Re: life ashaar collection

                        Raat darwaze pe

                        Kitni dastakon k

                        Zakhm thaY Mohsin....

                        Phir wahi pagal hawa

                        Phir mujhe dhoka huwa....

                        Comment


                        • Re: life ashaar collection

                          Ye Jantay Huye Bhi
                          K
                          Wo Hawa Hai Mere Hath Na Aye Ga
                          Wo Badal Hai Jisay Main Choo Na Paun Ga
                          Phir Bhi Main Ne
                          Hawa Ko Pakarna Chaha
                          Badal Ko Choona Chaha

                          Comment


                          • Re: life ashaar collection


                            مرے ساتھی
                            مری یہ روح میرے جسم سے پرواز کر جائے
                            تو لوٹ آنا
                            مری بے خواب راتوں کے عذابوں پر
                            سسکتے شہر میں تم بھی
                            ذرا سی دیر کو رکنا
                            مرے بے نور ہونٹوں کی دعاؤں پر
                            تم اپنی سرد پیشانی کا پتھر رکھ کے رو دینا
                            بس اتنی بات کہہ دینا
                            مجھے تم سے محبت ہے

                            Comment


                            • Re: life ashaar collection

                              Jab Woh Mera Naam,
                              Apne Haathon Ki
                              Lakeeron Mein
                              Talash
                              Kar K
                              Thak Geya,
                              To Dheeray Se
                              Sar
                              Jhukaya
                              Aur Muskura
                              K
                              Kaha,

                              'Lakeerein
                              Jhoot
                              Bolti
                              Hain'...!

                              Comment


                              • Re: life ashaar collection



                                وہ تُجھ کو بھولے ہیں تو تُجھ پہ بھی لازم ہے میؔر

                                خــاک ڈال، آگ لــگا، نــام نـہ لــے، یــاد نہ کــــر

                                Comment

                                Working...
                                X