Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~ Where there is love there is life ~~ collection from the painful heart of pErIsH_BoY .>>>>>>

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Dua ............. !!!!!

    Asslam-o-Alikum Dosto....

    Aaj se aik naya thread shuru kar raha hoon jis ma har tarah ki duaiya Poetry Post ki jae gi... aap sab dost bhi barh char k is ma hisa lain kion k hum sab ko duaon ki bohat zaroorat ha..... Thanks


    Comment


    • Re: Dua ............. !!!!!



      Comment


      • Re: Dua ............. !!!!!



        Comment


        • Re: Dua ............. !!!!!

          "kabhi bhi ghum ka saya na tery pass aey
          khushi muskrahat piyar se tera daman bhar jaey
          mily itny chahat itny hansi itny khushi tumhen
          key unkey beech tu meri koi kami na paey"


          Comment


          • Re: Dua ............. !!!!!

            KHUDA -E- BARTAR DUA'AIN SUNLE

            Labon se lipti Sadayen Sunle

            Jo ghaltiyan hogayi hain hum se

            Woh dar guzar kar Maaf karde

            Basa de ujrre Dilon ki basti

            Kinare lag jaye tooti kashti

            Tere Karam pe yaqeen hai hum ko

            Tu jo kare ga woh Haq hi hoga

            Hum dastbasta kharre hain kab se

            Tu aansu'on ki zabaan samjh le

            Hayaat-e- no ka payaam dede

            Tu Hamari DUA'AIN Qabool karle

            **** AAMEEN **
            Last edited by pErIsH_BoY; 28 January 2014, 11:50.


            Comment


            • Re: Dua ............. !!!!!

              Dua to janay kaun si thi
              Zehan main nahi...
              Bus itna yaad hai kay
              Do hathailiyan mili howin thin
              Jin main aik meri thi
              Aur aik teri...

              *Parveen Shakir*


              Comment


              • Re: Dua ............. !!!!!

                Dua

                tumharay chehray pe jo sajay hain
                wo phool khushboo ke yon he taza rahain
                abad tak
                hayaat-e-nou main wo rang bhar dain
                ke anay wala har lamha
                naee umangon ka tarjuman ho
                naee baharon ke dastan ho
                wo dastan jiss ko parh kar dil main
                muhabbaton ka, musarraton ka yakin ho paida
                meri
                Dua
                Hay
                Tumhari aankhon k saray sapnay
                Mislay sooraj numaya ho kar
                Tumhari duniya ko jagmagayean
                Mislay mehtab-o-anjum
                Tumahri husti ko sajayain..!!~


                Comment


                • Re: Dua ............. !!!!!

                  Dua...!!

                  Utha Kay Haath Khuda Say Bas Mangi Yehi Dua,
                  Naseeb Hoon Khushiyan Tumhain, Tum Khush Raho Sada,



                  Tumhain Rahat Milay, Tumhain Chahat Milay,
                  Tumhain Saray Jahan Ki Mohabbat Milay,



                  Jahan Main Sab Say Hoon Achay Tumharay Naseeb,
                  Koi Dukh Kabhi Bhi Na Aaye Kareeb,



                  Tumharay Dil Ki Har Arzoo Pori Khuda Karay,
                  Tumharay Chahnay Waloon Ko Kabhi Juda Na Karay,



                  Mill Jain Tum Ko Meray Bhi Naseeb Ki Khushiyan,
                  Dua Hai Bas Tumhain Kabhi Ghum Na Milay Yahan,...
                  Last edited by pErIsH_BoY; 28 January 2014, 11:52.


                  Comment


                  • Re: Dua ............. !!!!!



                    Comment


                    • Re: Dua ............. !!!!!

                      KHUDA -E- BARTAR DUA'AIN SUNLE

                      Labon se lipti Sadayen Sunle

                      Jo ghaltiyan hogayi hain hum se

                      Woh dar guzar kar Maaf karde

                      Basa de ujrre Dilon ki basti

                      Kinare lag jaye tooti kashti

                      Tere Karam pe yaqeen hai hum ko

                      Tu jo kare ga woh Haq hi hoga

                      Hum dastbasta kharre hain kab se

                      Tu aansu'on ki zabaan samjh le

                      Hayaat-e- no ka payaam dede

                      Tu Hamari DUA'AIN Qabool karle

                      **** AAMEEN **
                      Last edited by pErIsH_BoY; 28 January 2014, 11:53.


                      Comment


                      • Re: Dua ............. !!!!!

                        kisi ko alwida kehna bohat takleef deta hay
                        ummeden toot jati hain
                        yaqeen pay bay yaqeeni ka kuhar
                        kuch aisa charhta hay
                        dikhaai kuch nahi deta
                        sujhaai kuch nahi deta ...

                        duaa k lafz honton pay musalsal kapkapatay hain
                        ksi khuwahish k andeshay zehan main dor jatay hain
                        gumaan kuch aisa hota hay
                        k jesay mill na paain gay
                        ye gehraay zakhm furqat k
                        kisi say sill na paain gay ...

                        kabhi aisa bhi ho yaa Rab !
                        to...duaain maan leta hay
                        to koi mujza kar day
                        to aisa kar bhi sakta hay ...
                        meray hathon ki janib dekh
                        inhen to bhr bhi sakta hay ...

                        judaai ki ye tekhi dhaar
                        dilo'n ka khoon karti hay
                        judaai ki aziyyat say
                        mera dill ab bhi darta hay ...

                        judaai do gharee ki ho to koi dill ko samjhaaye
                        judaai chaar pall ki ho, to koi dill ko behlaaye ...

                        judaai umar bhr ki ho.. to charah kia karay koi
                        k ik milnay ki hasrat main , bhala kab tak jiye koi ..

                        meray moula karam kar day ...
                        to aisa kar bhi sakta hay ...
                        meray hathon ki janib dekh
                        inhen to bhr bhi sakta hay ...!!!!
                        Last edited by pErIsH_BoY; 28 January 2014, 12:00.


                        Comment


                        • Re: Dua ............. !!!!!

                          Udaasiyon ka sabab jo likhna
                          tu yeh bhi likhna
                          k chand, taray, shabab ankhain badal gae hain
                          woh zinda lamhai jo teri rahon main
                          tere anay k muntazir thay
                          woh thuk k sayoo main dhul gae hain
                          woh teri yadain,khayal tere,ranj tere,mala tere
                          woh teri ankhain sawal tere
                          woh tum se mere tamam rishtey bichar gae hain ujar gae hain
                          udaasiyon ka sabab jo likhna
                          tu yeh bh likhna
                          larazte honton pe larkharati duaa k soraj
                          pighal gae hai
                          tamam sapne he jal gae haiUdaasiyon ka sabab jo likhna
                          tu yeh bhi likhna
                          k chand, taray, shabab ankhain badal gae hain
                          woh zinda lamhai jo teri rahon main
                          tere anay k muntazir thay
                          woh thuk k sayoo main dhul gae hain
                          woh teri yadain,khayal tere,ranj tere,mala tere
                          woh teri ankhain sawal tere
                          woh tum se mere tamam rishtey bichar gae hain ujar gae hain
                          udaasiyon ka sabab jo likhna
                          tu yeh bh likhna
                          larazte honton pe larkharati duaa k soraj
                          pighal gae hai
                          tamam sapne he jal gae hai
                          Last edited by pErIsH_BoY; 28 January 2014, 11:59.


                          Comment


                          • Re: Dua ............. !!!!!

                            raat gaye aksar aisa bhi hota hai
                            jese dil seene mein
                            chup ho jata hai
                            har so aik andhyara ghup ho jata hai
                            iss lamhe
                            bas aik dua yaad ati hai
                            ya Rab....!
                            tu os ko kush rakhna....!
                            Last edited by pErIsH_BoY; 28 January 2014, 11:59.


                            Comment


                            • Re: Dua ............. !!!!!



                              Comment


                              • Re: Dua ............. !!!!!

                                Utha kay haath Khuda say bas maangi yahi dua

                                naseeb hon khushiyan tumhain

                                tum khush raho sada

                                tum ko rahat milay ,

                                tum ko chahat milay

                                tumhain saray jahan ki muhabbat milay

                                jahan main sab se hon achay tumharay naseeb

                                koi dukh kabhi bhi na aaye qareeb tumharay

                                dil ki har aarzooo poori Khuda karay

                                tumhain chahnay walon ko kabhi bhi na juda karay

                                mil jayen tum ko meray bhi naseeb ki khushiyaan

                                dua hay bad tum ko kabhi gham na milay yahan
                                Last edited by pErIsH_BoY; 28 January 2014, 12:01.


                                Comment

                                Working...
                                X