Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~ Where there is love there is life ~~ collection from the painful heart of pErIsH_BoY .>>>>>>

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Yeh kahani hai pyaar ki...


    Yeh kahani hai pyaar ki...
    pyaar karne waalon ki...
    Pyaar mein log laakhon sapney dekhte hain...
    hazaaron waade karte hain...
    lekin... bahoot kam log aise hote hain...
    jo waade nibhaate hain.
    ..
    sapney sach kar dekhaate hain
    aur...
    kai log aise bhi hote hain jo...
    sapney dikhaa kar ...
    chhod jaate hain
    intezaar mein............

    aur intezaar karne waale...
    aakhri saans...
    aakhri dhadkan...
    aakhri pal tak intezaar karte hain
    aur kabhi kabhi...

    uske baad bhi...


    Comment


    • [ Haar Gaye ]

      [ Haar Gaye ]


      UsS NeY P0cha!
      Rabt-E-Baham Ki Koi So0rat

      MaiNe Kaha

      Tum Phone Bhi Kar SakteY Ho Mujh Ko


      LikhNa Chaho T0 Khat'T Likh L0


      Waqt Gar Mill JaeY T0 Mil Lena Aa KaR

      Bola Chutti Lena Bhi HeY



      JeseY Joay-Sheeer Ko LanaY Jesa


      Lakhon Aur Bakheray Har Pal
      Jaan SeY LipteY

      Soch Raha H0on


      Pindi Ma¡N He Aan Baso0N Ma¡N

      You'N Har R0oZ MilunGa TumseY


      Lekin ''Nokri'' Ik Masla HeY


      Da¡Kha TumneY
      ! ! !


      Jeet GaeY AkhiR JiWan KeY GoRakh DhandheY


      Aur Hum Dono0'N Haar GaeY HA¡N . . . /

      (Fakhira Bat0oL)



      Comment


      • Guriya Aaj Bhi Andhi Hai



        Khailtey Khailtey Donon Mein Se

        Ekk Ne Doojay Ki Guriya Ki Noch Lee Aankhein
        Larki Cheekhi,
        Daikho, Tum Ne Meri Guriya Andhi Karr Di
        Ab Sapney Kaise Daikhey Gee?


        Larka Nadamm Ho Krr Bola.....
        Mein Jab Abu Jitna Ho Kar Shaher Giya To
        Ye Wa'da Karta Hoon Tum Se
        Sab Se Pehley
        Iss Ki Aankhein Laon Gaa
        Sunna Hai Shaher Giya Wo Ekk Din


        Janey Iss K Baad Kiya Hua
        Ye Maloom Nahin Lekin
        Aaj Achanak Uss Larki Ko Rah Mein Daikha
        Haath Mein Uskey Ekk Guriya Thee
        Haan Batlana Bhool Gai Mein..!!!!
        Guriya Aaj Bhi Andhi Hai





        Comment


        • Chaand gulab aur mein...........!!



          Comment


          • zinda Laash meri......!!


            Jaane aa pohnchi kis raH pe main
            Yunhi chalte hue
            ke na khabar hai ab
            manziloN ke nishaN ki
            Dil ki aur na jism o jaaN ki
            Chalti bas jaa rahi hooN main ab
            Inhi anjaani si raahoN pe
            daste yaadoN ke naag jahaN

            hoga kya sochta dil hai mira
            iss bhiyaanak se andhere ne
            meri zaat o hayaat ko yuN
            kiya hai mehsoor ke
            har tarf haiN kayee humsafar mere aur
            phir bhi hooN jaane kyuN
            tanha........tanha.......yahaN
            phaile qehqe mere har taraf

            phir bhi hooN jaane kyuN
            ghamzada.....ghamzada... main yahaN
            hota mehsoos yuN ab mujhe
            ke udaasi ke kafan meiN lipti si hai
            zinda laash meri
            ho gayee ab yahaN
            uss lehad se bhi badh kar yeh zaat meri..!!





            Comment


            • Aur haiN daaman meiN mire kaante...........!!



              Saraapa e aziyat

              Main saraapa e aziyat
              Aur haiN daaman meiN mire kaante
              Khushi ke phool main laaoN
              Chun ke aakhir kis jahaN se





              Talkh yaadoN ki haiN zanjeereiN ab har soo
              Kaante hi kaante mere har soo
              tum mohabbat ke matlaashi
              aur hooN saraapa e nafrat
              laaoN halaawat ke main gul
              Chun ke aakhir kis jahaN se





              Apne hi hisaar meiN yuN
              Hui muqayad ke ab koi raah e faraar nahiN hai
              TumheiN miri sangat ki
              Aur saraapa e hijr hooN main
              phool sangat ke main laaoN kis jahaN se





              Rista lahoo dil ki in surkh deewaroN se
              girta ho wo jharna jaise aabshaaroN se
              ChahtoN ki barkha ho tum
              Aur hooN saraapa e Vehshat
              Dil ki narm laaoN mitti main
              Chun ke aakhir kis jahaN se





              Kar parastish tu na meri baad az khuda
              De sakooN gi na main silla ke hoon be wafa
              samjhe mujhe muqadas tum
              aur hooN saraapa e haqaarat
              yeh saheefe gulloN ke laaoN to laaoN
              Chun ke aakhir kis jahaN se





              Muqadar hua hai KANWAL ka bas yeh paani
              phir talaab ho ya ho ashk e rawaani
              Tum aman ke matlaashi hue aur
              main saraapa e baghaawat





              HaaN

              Tum saraapa e murawat
              Aur main saraapa e adaawat
              Main sakooN ke phooL laaoN
              Chun ke aakhir kis jahaN se




              Comment


              • Re: zinda Laash meri......!!

                :thmbup:
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment


                • Re: zinda Laash meri......!!

                  Beautiful sharing

                  Comment


                  • Re: zinda Laash meri......!!

                    Originally posted by aanchal View Post
                    :thmbup:
                    thanks for visting.......ouf


                    Comment


                    • Re: zinda Laash meri......!!

                      Originally posted by mr.khan View Post
                      beautiful sharing

                      thanks for visting......


                      Comment


                      • Re: Guriya Aaj Bhi Andhi Hai

                        nyc but sad poetry


                        Comment


                        • Re: zinda Laash meri......!!

                          nyc sharing


                          Comment


                          • Re: Suno tum ne kaha tha na!!

                            Nice sharing

                            Comment


                            • Re: for you mAyA (AURAT ZAAT)

                              Nice one.

                              Comment


                              • Re: for you mAyA (AURAT ZAAT)

                                wah kya baat ai bht khoobsurt thanks PB khush raho...:jazak:


                                Comment

                                Working...
                                X