Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~Terey Aaney Sey~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~Terey Aaney Sey~

    Kuchh betukiyaan :p
    :rose :rose :rose :rose :rose :rose


    Meri zindagi mein aik bohat bada khila tha, aik aisey khila jo mujh sey bhara jana mumkin nazar na aata tha. Merey paas tha to sab kuchh, kaam, ghar-baar, gadi, paisa, dost, ehbaab. Mujhey raton ko neend bhi aati thi, go kam sahi magar so jata tha, aur subah uth ker kaam per bhi jata tha. In tmam baton key bawajood kuchh tha jo nahin tha. Dil mein aik khalish si rehti thi aik kami si rehti thi, aik tazabzab rehta tha keh woh kya hai jiski mujhey kami mehsoos hoti hai?

    Main aksar sahil-e-samundar per jaa ker ghanto aatey jatey behri jahazon ka nazara karta, samundari paani ka satah-e-zameen per charh aaney key betaab rehna aur is bechaini mein moajzan rehnta. Parindon ka satah-e-aab per aai chhoti chhoti machhliyon ko pakarna, aik doosrey sey chhenena aur shore karna. Sahil per apney aap ko chust rakhney walon ki dor, idher sey udher bhagna. Bhudron ka aik bench per baith kar apni sochon mein gum dekhna - aur sochein to merey paas bhi hain. Aur meri soch mein woh aik khila hai jissey main pur nahin kar paa raha tha.

    Main ney apni sochon mein bohat safar kiya hai. Itna safar jis ney mujhey bohat thaka diya hai. Ab mujhey koi naee soch nahin aa rahi thi keh jab dil-o-dimagh mein aik intishaar ho to takhleeq nahin hoti. Main ney likhna chhor diya tha main ney parhna chhor diya hai. Merey khila ney mujhey be'bas sa kar diya tha. Phir yak'dam sey woh noor phoota. Woh roshnee taloo hui, woh shama jali jisney meri dil ki anjuman mein mojood andherey door kar diyey. Har janib aik jagmag si honey lagi, meri khoi hui sochon ko aik naee zindagi mili, aik murdah jism mein rooh ki taazgi mehsoos honey lagi.

    Main ney tumhein paa liya hai, tum merey wajood ka aik an'toot ang ho, tum ney mujhey har us khushi sey roshnaas karwaya hai jo merey liye aik sapna thi. Terey wajood ney meri soch ko neya jila bakhsi hai aur woh khila jo main saal ha saal sey mehsoos kar raha tha, woh bhara hai...

    aey meri jaan-e-tamana
    aey meri jaan-e-wafa
    tu mili to mujhey
    yeh ehsaas huwa
    keh yeh jazbah-e-muhabbat
    hota hai kiya?
    woh meri zindagi mein
    jo ik khila sa tha
    teri qurbat ney ussey
    bhar hai diya
    tera andaaz-e-muhabbat
    hai juda juda sa
    dil mein hai iqraar
    per kehna dushwar
    keh main teri hoon bahar
    tu mera hai pyar
    per main yeh janta hoon
    peyam-e-muhabbat manta hoon
    tu meri hai sanam
    yeh hamara janam
    aik saath beetey ga
    aik saath beetey ga :)

    :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: ~Terey Aaney Sey~

    Hmmmm ................ :mm: :mm:


    Masood yahan aaiyeh me thormometer ai ker aati hoon, U ka temp check kerna hai, tabiyat to theikh hai na :tasali:


    Jock a part, buhut sweet sa likha hai, specially the poetry :)
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: ~Terey Aaney Sey~

      Originally posted by Saima Shaheen
      Hmmmm ................ :mm: :mm:


      Masood yahan aaiyeh me thormometer ai ker aati hoon, U ka temp check kerna hai, tabiyat to theikh hai na :tasali:


      Jock a part, buhut sweet sa likha hai, specially the poetry :)
      kyun ji aap ki mera jism tapta huwa lag raha hai jo thermometer ley ker aaein gi - waisey ab to mujhey bhi yaqin ho geya hai keh aap kahi nurse to nahin ho :p - aasar kuchh aisey hi lag rahey hain :tauba

      pasandeedgi ka shukriyah :)
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: ~Terey Aaney Sey~

        Originally posted by Masood
        kyun ji aap ki mera jism tapta huwa lag raha hai jo thermometer ley ker aaein gi - waisey ab to mujhey bhi yaqin ho geya hai keh aap kahi nurse to nahin ho :p - aasar kuchh aisey hi lag rahey hain :tauba

        pasandeedgi ka shukriyah :)
        Haan me ne for 1 yrs as school nurse bhi job ki thi, First Aid tak ka knowledge to hai, worry not :tasali: U are in safe hands :p :lol
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: ~Terey Aaney Sey~

          Originally posted by Saima Shaheen
          Haan me ne for 1 yrs as school nurse bhi job ki thi, First Aid tak ka knowledge to hai, worry not U are in safe hands


          ahan to phir me very relax - ab to saans naa bhi aai to I know someone is nearby who can give me first aid
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • #6
            Re: ~Terey Aaney Sey~

            Originally posted by Masood
            ahan to phir me very relax - ab to saans naa bhi aai to I know someone is nearby who can give me first aid

            Aur ager yeh first aid waley experiment mei U ka kaam bilkul hi tamam ho gaya to ?? :p
            sigpic

            Comment


            • #7
              Re: ~Terey Aaney Sey~

              Originally posted by Saima Shaheen
              Aur ager yeh first aid waley experiment mei U ka kaam bilkul hi tamam ho gaya to ?? :p
              .... to ham duniya walon ko yeh to btaa sakein gey na keh larkiyaan waqiye mein qatil hoti hai, kabhi najjjrrron sey kabhi adaoun sey aur kabhi first aid detey maar daalti hai :wk
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • #8
                Re: ~Terey Aaney Sey~

                Assalaam-0-Alaikom:rose

                buht zabardast
                For New Designers
                وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                Comment


                • #9
                  Re: ~Terey Aaney Sey~

                  nice.....
                  Visit My Early PS Work
                  You Are Welcome To Comment

                  Comment

                  Working...
                  X