Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

"kabhi naraz mar hona"

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • "kabhi naraz mar hona"

    "KABHI NARAZ MAR HONA"

    Gilay chahe boht krna..

    Rulana or boht larna !

    Suno naraz mat hona !

    Kbhi aisa jo ho jay !

    Key teri yad se gafil !

    Kisi lamhe jo ho jaon !

    Bina dekhe teri surat !

    Kisi shab main jo so jaon !

    To sapno main chaly aana !

    Mujhey ehsas dila jana !

    "SUNO NARAZ MAT HONA"

    Kbhi aisa jo ho jaey !

    Jinhain kehna zarori ho !

    Wo mujh se lafz kho jaein !

    Anaa ko beech mat lana !

    Meri awaz ban jana !

    "KABHI NARAZ MAT HONA"

  • #2
    Re: "kabhi naraz mar hona"

    Originally posted by geosada;
    "KABHI NARAZ MAT HONA"[/SIZE][/FONT]
    moHtaram/moHtaramah

    salaam arz hai

    aap jo bhee haiN sada jiyeN ,doodhoN nahaa'eN pootoN phaleN
    daad aur mubaarak baad aap kee itne achhee kaavish kee naze
    aap se guzaarish hai chooNkeh aap ne apnee nazm meN lafz (suno) istemaal kiyaa hai jis se bayaan aur adaa'igee meN urdu zubaan kee miThaas shaamil hai is se jo raNg o ta'aCCur aap kee nazm meN shaamil huwaa hai use aap ne lafz tu, teri, waGhairah ko istemaal kar ke kam kar diyaa hai,teri yaad se Ghaafil likhne se nazm kee KhoobSooratee maaNd paR rahee hai ,agar aap ise yuN kahen keh

    tumhaaree yaad se Ghaafil

    to iss se aap kee nazm meN bayaan o andaaz meN nikhaar aur dilkashee payedaa ho gee aur urdu adab ke shaa'eyqeen ke liye ziyaadah mu'aCCar Caabit ho gee

    aisa naheeN hai keh lafz tera teree yaa tu manaA hai mamnooA hai aap agar yuN kahen keh

    sun naaraaz mat hona

    aur phir kaheN teri yaad se Ghaafil tow durust maanaa jaa'ey gaa bayaan karne ke aitbaar se kyuN keh zubaan kaa raNg e izhaar aap ne ek jaisaa hee iKhtiyaar kiya hai laikin ek jagh suno aur dooree jagh teri tumhaaree kee jagh istemaal karne se aadaa'igee aur bayaan meN ayeb payedaa hotaa hai

    meree ko'ee baat tabee'at par giraaN guzree ho tow mu'aafee kaa talabgaar hooN

    muKhliS
    Ismail Ajaz (Khayaal)

    muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
    Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

    Comment


    • #3
      Re: "kabhi naraz mar hona"

      achi nazam hai

      Comment

      Working...
      X