Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~* The Mind-Blowing Collection Of MindFreak *~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: Banke ik saaya wo meri zindagi me aaya

    nice.....................

    Comment


    • #77
      Re: Meri Zindgi kia hai

      khooobsoorart
      __________________

      Comment


      • #78
        Re: Khilty rahy gy

        khooobsoorart
        __________________

        Comment


        • #79
          Re: Iss Shehar Kharabi mein

          khooobsoorart
          __________________

          Comment


          • #80
            Re: Uss ne bs itna kaha

            bohat khub jee

            I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani


            Comment


            • #81
              Re: Uss ne bs itna kaha

              very nice jee

              Comment


              • #82
                Re: Meri Zindgi kia hai

                nice............................................
                sigpic

                Comment


                • #83
                  Re: intezaar mein hain

                  Comment


                  • #84
                    manzil-e-jaanaa

                    manzil-e-jaanaa.N ko jab ye dil ravaa.N thaa dosto
                    tum ko mai.n kaise bataa_uu.N kyaa samaa.N thaa dosto

                    har gumaa.N pahane hue thaa ek malbuus-e-yaqii.n
                    har yaqii.n jaa.N daadaa-e-husn-e-gumaa.N thaa dosto

                    dil ki har dha.Dakan makaan-o-laamakaa.N par thii muhiit
                    har nafas raaz-e-do_aalam kaa nishaa.N thaa dosto

                    kyaa Khabar kis justajuu me.n is qadar aavaaraa thaa
                    dil ke jo ganjiinaa-e-sarr-e-nihaa.N thaa dosto

                    Dhuu.NDhane par bhii na milataa thaa mujhe apanaa vujuud
                    mai.n talaash-e-dost me.n yuu.N benishaa.N thaa dosto

                    markad-e-iqbal par haazir thii jab dil ki ta.Dap
                    zindagii kaa ek pardaa darmiyaa.N thaa dosto

                    qarb ne paidaa kiyaa thaa Khud hii duurii kaa samaa.N
                    faasalaa varna haa_il kahaa.N thaa dosto

                    beKhudii me.n jab mere ho.nTo.n ne chuumaa qabr ko
                    mere siina se gadaa-e-fursiyaa.N thaa dosto

                    ruu-ba-ruu-e-jalvaa-e-markad vujuud-e-kam ayaar
                    zar-e-naaqis sharmasaar-e-imtehaa.N thaa dosto

                    partav-e-dil me.n nihaa.N thii tah-bateh ye Khaamoshii
                    ishq kaa vo bhii ik izhaar-e-bayaa.N thaa dosto

                    jalvaagaah-e-dost kaa aalam kahuu.N mai.n tum se kyaa
                    jalvaa hi jalvaa vahaa.N thaa mai.n kahaa.N thaa dosto

                    sajdagaah-e-Khurshiyaa.N thaa yaa.N na jaane kyaa thaa vo
                    jo merii nazaro.n ke aage aastaa.N thaa dosto

                    dil ne har lamhe ko dekhaa ik niraale rang me.n
                    lamhaa lamhaa daastaa.N dar daastaa.N thaa dosto

                    jis ke sher-o-naGmagii par vusat-e-aalam thii tang
                    har subah ko vo dopahre bekaraa.N thaa dosto

                    so rahaa thaa Khaak ke niiche jahaan-e-zindagii
                    raaz-e-hastii merii nazaro.n par ayaa.N thaa dosto

                    kaash tum bhii merii palko.n kaa nazaaraa dekhate
                    ye nazaaraa kahkashaa.N dar kahkashaa.N thaa dosto

                    Comment


                    • #85
                      Sochaa Nahii Tha

                      tere baare mein jab sochaa nahin thaa
                      main tanha tha magar itana nahin thaa


                      terii tasviir se karataa thaa baate.n
                      mere kamrai mein aainaa nahin thaa



                      samandar ne mujhe pyaasa hi rakhaa
                      main jab sehra mein tha pyasa nahin thaa


                      manaane-roothane ke khel mein ham
                      bichar jaayeinge ye sochaa nahin thaa



                      sunaa hai band kar li us ne aankhein
                      kayi raaton se vo soyaa nahiin thaa

                      Comment


                      • #86
                        Is imtehaan main hon,dil ka baab kis ko don

                        Is imtehaan main hon,dil ka baab kis ko don
                        Nisaab-e-ishq pe likhi kitaab kis ko don

                        Har ek shakhs ko mujh se bohat mohabbat hai
                        Sawal yeh hai wafa ka jawab kis ko don

                        Mera khuloos,mohabbat,waf a hai sab ke liye
                        Sochti hon ke lab-e-lubaab kis ko don

                        Mere liye to sabhi log ek jese hain
                        Sukoon kis ko don,main izteraab kis ko don

                        Hujoom-e-husun ke melay main sochti hon main
                        Ke apne hath main thama gulaab kis ko don.....

                        Comment


                        • #87
                          tau ye meri muhabbat hay

                          Teri khaatir jo roti hoo'n tau ye meri muhabbat hay.
                          Jo motii rooll deti hoo'n tau ye meri Muhabbat hay.

                          Tumhari Yaad ki kirno ko aksar aankh main rakkh karr.
                          May apni nind kho-thi hoo'n tau ye meri muhabbat hay.

                          Huwa Ehsaas khushboo chandni ko dekh kar aksar.
                          Terey dhoke main rehti hoo'n tau ye meri muhabbat hay.

                          falak pe chand taaro k hasii'n jurmutt k manzar may.
                          tere chehrey ko takti ho'n tau ye meri muhabbat hay.

                          main apni zindagi k saarey jazbo'n ko merey jaanaa.
                          Tumhaare naam karti hoo'n tau ye meri muhabbat hay.

                          kabhi too dekh le Aa kar DUA'A raah-e-muhabbat main.
                          may khudd se khudd hi larhti ho0'n tau ye meri muhabat hay

                          Comment


                          • #88
                            tark-e-muhabbat par bhii hogi

                            tark-e-muhabbat par bhii hogii un ko nidaamat ham se ziyaadaa
                            kis ne kii hai kaun karegaa un se muhabbat ham se ziyaadaa


                            hamane maanaa aap me.n hogii sabr kii taaqat ham se ziyaadaa
                            dekhiye lekin utarii hu_ii hai aap kii suurat ham se ziyaadaa


                            uff vo tabassum halkaa halkaa haaye vo bhiigii bhiigii palake.n
                            vaqt-e-ruKhsat un pe giraa.N thaa lamahaa-e-ruKhsat ham se ziyaadaa


                            ko_ii tamannaa ko_ii masarrat dil ke qariib aane hii na dii
                            kisane kii hai ishq me.n yaaro.n Gam se muhabbat ham se ziyaadaa

                            Comment


                            • #89
                              tera khayal hai aur chaand raat hai..

                              mein hoo'n tera khayal hai aur chaand raat hai...
                              dil dard se nidhaal hai aur chaand raat hai...

                              aankho'n mein chubh gayein teri yaado'n ki kirchiya'n...
                              kandho'n pe gham ki shaal hai aur chaand raat hai...

                              dil torh kar khamosh nazaro'n ko kiya mila...
                              shabnam ka ye sawal hai aur chaand raat hai...

                              campus ki nehar pe hai tera haath, main hai haath..
                              mausam bhi lazawal hai aur chaand raat hai...

                              har aik kali ne orh liya maatami libaas...
                              har phool per malaal hai aur chaand raat hai...

                              meri to por por mein khush khush si bas gayi...
                              us per tera khayal hai aur chaand raat hai...

                              halka sa parh raha hai 'wasi' wehshato'n ka rang...
                              har cheez pe zawwal hai aur chaand raat hai...

                              Comment


                              • #90
                                Re: tera khayal hai aur chaand raat hai..

                                bohat khoob

                                Comment

                                Working...
                                X