Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~* The Mind-Blowing Collection Of MindFreak *~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Khilty rahy gy

    KhooooB
    :oldie:
    S T I L L W A I T I N G
    sigpic

    Comment


    • #17
      Re: Khilty rahy gy

      wah ki baat hay Saaghar Siddique sahab unn shaeroon main say hain jinn kay qalm say alfaaaz nikal kar phooloon ki tarah mehaknay lagay aur hum jaisay log aaj tak un lafzoon ki khushboo say mehzooz horahay hain, bohat Khooob, keep sharing
      sigpic

      Comment


      • #18
        Re: Pathar Bna dia Mujhy Ronay nahi dia

        Bohat hi khoobsurat ghazal share ki hay aap nay Nasir Kazmi sahab ki, keep sharing, khush rahyeh :)
        sigpic

        Comment


        • #19
          Re: Meri Zindgi kia hai

          Wah bohat hi khoooburat ghazal hay, really nice, keep shraing, khush rahyeh
          sigpic

          Comment


          • #20
            Re: Meri Zindgi kia hai

            Bohat khoob
            Allah

            Comment


            • #21
              Mujhy Chorrny ka Faisla

              مجھے چھوڑنے کا فیصلہ تو روز کرتا ھے وہ شخص مگر اس کا بس نہیں چلتا میری وفا کے سامنے

              Comment


              • #22
                Re: Mujhy Chorrny ka Faisla

                Bohat Khoob!
                :oldie:
                S T I L L W A I T I N G
                sigpic

                Comment


                • #23
                  Main Mohabbat Hoon

                  Main Mohabbat hoon, Main Ibadat hoon.
                  Har dil ki justjoo Har nigah ki talash,
                  Main Hontho ki pyaas,
                  Main khushi ka ehsas,
                  Main rishton ki buniyaad,
                  Jawaan dilon ki dhadkanon se main abaad,
                  Main junoon main hi sukoon,
                  Main mohabbat hoon.

                  Main har rang mein,
                  Main raahi ke sang mein,
                  Baawre jogi, har mast malang mein,
                  Main suron ki tarang mein,
                  Main jawani ke vayang mein,
                  Main mohabbot hoon har ajab dhang mein.

                  Main kisi ki yaad, Main kisi ki tammana,
                  Main kisi ki muskurahat, Main kisiki mayoosi,
                  Main kahin khushi, Main kahin gham,
                  Main khayalon mein, Main swaalon mein,
                  Main kabhi subah, Main klabhie shaam,
                  Main kabhie raat, Main kabhi jazbaat,
                  Main jeet hoon, Main preet hoon,
                  Main aakh ka ishara, Main dil da hulara,
                  Main kahin dhadkan, Main kahin saansein
                  Main kahin dilbar, Main kahin mehbooba,
                  Main kahin yaar, Main kahin Rabb,

                  Bata mujhe main kahan nahin,
                  Main yahan, Main wahan,
                  Mujhse hi yeh saara jahan,
                  Mujhse koi judaa nahin,
                  Main tujhe mein, Main mujh mein,
                  Main kabhie tera dilbar haseen,
                  Kabhie tera jaanasheen,
                  Main har waqt tujh mein,
                  Bas kehte hain mujhe pardanasheen,

                  Main jo sab mein hoon,
                  Main hi to mohabbat hoon.

                  Comment


                  • #24
                    Banke ik saaya wo meri zindagi me aaya

                    Banke ik saaya wo meri zindagi me aaya!

                    Na jaane kaun, aaya kaha se thaa ? ........

                    Aahat Se Uski Mujhe Hone Lagi Thi Wahshat,

                    Par woh mujh ko Paigham-e-mohabbat De Gaya Tha !

                    Dil mein uthi Tadap, us ki Sakhawat dili ki wajah se,

                    Aur aisa nasha hua, jo ki jaavedaa tha!

                    Us ke aane say jo is dil main roshni hui hai ab

                    Warna to is dil mein koi taara bhi na chamka tha

                    Dekha Jab sab ne , meri aankho main us ka chehra,

                    Sab ko laga aaj who mujhey apney dulhan bana gaya tha!

                    Comment


                    • #25
                      kwahishain

                      meray dil main bi kuch kwahishain hain
                      mian bi bohut kuch teray naam pay sochna chahti hoon
                      aam bohut aam si lerki hoon
                      aur teray khwab jagti aankhoon say dekhna chahti hoon
                      main bi chahti hoon teray kuch lumhay faqt meray wastay hoon
                      aik ho manzil teray meray rastay hoon
                      kai baar main teay uthtay qadam rokna chahti hoon
                      bohut khamoshi hai kuch bolna chahti hoon
                      lakin
                      ik khuf terkay tualuk ka meray damangeer hai
                      meri aana meray kadmmon main peri zanjeer hai
                      kay khud ko kho ker kisi ko pana meri fitert nahi hai
                      bohut aam sahi main lakin yeh bi haisiiat nahi hai
                      kay khud ko kho to main ik lumha na jee paoon gi
                      tum gunnwah bi diya to chund din main behul jaoon gi
                      kay tum
                      chahat ho meri sherta.e. zindagi nahi ho
                      pehly kwahish ho mager aakhri nahi ho

                      Comment


                      • #26
                        Ho ijazat agar aapki to

                        Ho ijazat agar aapki to ik baat pochoo.
                        Jo suno to aaj dil ki ik baat kahoo.
                        Jabse aapse mile, tabse fool mehakane lage.
                        Jabse aapko dekha, yeh raste gulshan hone lage.
                        Jaane kyun har pal hum aapke khayalo mein khone lage.

                        Mujhe kehna nahi aata kaise kahoo,
                        Mujhe jatana nahi aata kaise bataoo,
                        Bas jaan lo tum itna,
                        Hui hai dil mein ik dastak,
                        Ke kahin wo tum hi to nahi.

                        Ho gar ijazat to ik baat pochoo,
                        Jo suno, to aaj dil ki ik baat kahoo,
                        Mujeh nahi aata batana,
                        Tum khud hi jaan lo,
                        Gar tumhe nahi aitraaz to hamein apna maan lo.

                        Comment


                        • #27
                          intezaar mein hain

                          gul aur gulzar ki mehek hain charoon taraf
                          hum tho ek kali ke khilne ke intezaar mein hain

                          bijli aur aatish hain roshan charoon taraf
                          hum tho ek jugnoo ki roshni ke intezaar mein hain

                          caravan saje chale ja rahe hain har su
                          hum tho ek anjaan rahi ke intezaar mein hain

                          kash aaj tho aaaye woh hamari chaukat pe
                          ankheen bichaye sadiyoon se unhikay intezaar mein hain

                          Comment


                          • #28
                            Kisi ki to aarzoo ho

                            Kisi ki to aarzoo ho,
                            Kisi ka to intezaar ho,
                            Kisi se kisi se to pyaar ho,
                            Kisi pe to yeh jaan bhi nisaar ho,
                            Jaisa bhi sahi kaisa bhi sahi koi yaar ho,

                            Kisi se nazrein hum bhi milaye,
                            Kisi ke sang khwaab hum bhi sajayein,
                            Bina baat hum bhi kahin kho jayein,
                            Kyun na hum bhi Khaton pe syahee bahayein,
                            Koi to ho jise hum apna bulayein.

                            Koi humein bhi chaahe,
                            Kisi ko hum bhi chaahein,
                            Koi humse hi sab bataye,
                            Kisi ko hum bhi sab batayein
                            Koi humein dekh muskuraye,
                            Kisi ko dekh hum bhi khush ho jayein.

                            Kahin se dhoond lao,
                            Koi bhi dhoond lao,
                            Kaisa bhi dhoond lao,
                            Koi mere liye mera apna dhoond lao,
                            Ab tanha akele jeena hua dushwaar,
                            Humein bhi ho jaye ik baar yeh pyaar.

                            Comment


                            • #29
                              Muhabbat ka asar...

                              Ek Din Jab Savere Savere,
                              Survai Se Andhere Ki Chadar Hata K, Ek Parwat K Takiye Se,
                              Surej N Sar Jo Uthaya, To Dekha....
                              Dil Ki Vadiyon Me Chahat Ka Mausam He,
                              Aur Yado Ki Daliyon Par, Annginat Bite Lamho Ki Kaliya, Mahakne Lagi He....
                              Annkahi Annsuni Aarzoo Aadhi Soi Hui, Adhi Jagi Hui,
                              Aankhe Malte Hue Dekhti He....
                              Lahar D Lahar, Mauz Dar Mauz, Bahti Hui Zindagi,
                              Jese Har Pal Nai He, Aur Phir Bhi Wahi Haa Wahi Zidagi,
                              Jiske Daman Me Muhabbat Bhi He, Ek Hasrat Bhi He....
                              Pass Ana Bhi He Door Jana Bhi He....
                              Aur Ye Ehsaas He,
                              Waqt Zarne Se Bahta Hua, Ja Raha He Ye Kahta Hua,
                              Dil Ki Wadion Me Chahta Ka Mausam He, Aur Wadion Ki Dalion Par....
                              Anginat Bite Lamho Ki Kaliyia, Mahakne Lagi He.....

                              Comment


                              • #30
                                Yeh Main Hun

                                [ATTACH]87504[/ATTACH]

                                Comment

                                Working...
                                X