Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~Straight from the heart of THEFIRE1~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

    Originally posted by thefire1 View Post
    Assalaam-O-Alaikum


    Khulta kisi pay kiyon meray dil ka maamla
    Shairoon kay intikhaab nay ruswa kia mujhay!


    Aaj main yeh nayay thread ka aghaaz kar raha hoon jiss main apni pasand ki shayeri aur apna intikhaab aap say share karoonga, umeed hay aap ko bhi pasand aayay ga, itna aala mayar tou nahi mera :) Yeh rahi pehli ghazal iss bazm-e-sukhun ki nazar.


    GHAZAL

    Hum bhi kitnay saada dil hain, seedhi sachi baat karain
    Logoon nay kia kia keh daala, lehjoon ki tehdaari main

    Aanay walay kal ki khaatir, apna har pal qurbaan kia
    Haal ko dafna daitay hain hum, jeenay ki tayaari main

    Kayi dinoo say jism-o-jaan per, aik baykaifi chahye hay
    Doob rahi hay raat sunayoo, koi ghazal darbaari main

    Jab duniya per bas na chalay tou, andar andar kuRna kia
    Kuch bailay kay phool khilayey, aangan ki phulwaari main

    Tum bhi unn beetay barsoo ki koi nishaani lay aana
    Main tum say milnay ayoon ga usi puranay safari main

    Ab kay baar jo ghar jaana tou saaray album lay aana
    Waqt ki deemak lag jaati hay, yaadon ki almari main!



    Khush rahyeh, agli sharing jald hi karoon ga :)


    FI Amaan ALLAH
    walaikom Assalam
    buht khobsorat ghazal hai ....best of the best ... buht psand aai ..:thmbup:
    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

    Comment


    • #17
      Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

      Originally posted by thefire1 View Post
      Ek aur nazraana aap iss basm-e-sukhan ki nazar

      GHAZAL


      Tehri tehri see tabiyat main rawaani aayee
      Aaj phir yaad mohabbat ki kahaani aayee

      Aaj phir neend ko ankhoon say bichaRtay dekha
      Aaj phir yaad koi choo'ut puraani aayee

      Mudatton baad chala unn pay humara jadooo
      Mudatton baad humain baat banani aayee

      Mudatton baad pashayman huwa darya hum per
      Mudatton baad humain Piyaaas chupaani aayee

      Mudatton baad khuli wusa'at-e-sehra hum per
      Mudatton baad humain Khaak uRaaani aayee

      Mudatton baad muyaasir huwa MAA ka aanchal
      Mudatton baad humain neend suhaani aayee

      Itni asaani say milti nahin funn ki doulaat
      Dhal gayi umr tou ghazloon pay jawaani aayee
      Originally posted by thefire1 View Post
      Ek Shair jo dil kay bohat qareeb hay


      Din ko masmaar huway, raat ko tameer huway
      Khuwab hi khuwab, faqat rooh main jageer huway
      Umr bhar likhtay rahay, phir bhi warq saada raha
      Jaanay kia lafz thay, jo hum say naa tehreer huway
      !

      buht uda....
      la jawaaaaaab
      :clap:
      For New Designers
      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

      Comment


      • #18
        Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

        Bohat Nawazish Nadia, Wish_mater and Rida :)
        sigpic

        Comment


        • #19
          Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

          Zabardast!
          :oldie:
          S T I L L W A I T I N G
          sigpic

          Comment


          • #20
            Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

            Nawazish Jee :)
            sigpic

            Comment


            • #21
              Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

              Thakns For Sharing

              Comment


              • #22
                Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

                Aik aur GHAZAL iss bazm-e-Sukhun ki nazar

                GHAZAL

                Hum piyar tumahara kiyon chahain, hum haath tumhara kiyon maangain
                Jeenay ka hunr jab jaantay hain, jab saath tumhara kiyon maangain

                Tum ko jo humari chaa nahin, hum ko bhi kuch parwaah nahin
                Jab chand zameen par la saktay hain, tou hum aik sitara kiyon maangain

                Ek zara see koshish kar lain gain, sooraj muthi main bhar lain gain
                Ek masoom see titlee say koi, jugnoo bichaara kiyon maangain

                Hum mouj main jab aajayain gain tou phir khizaan main bhi gul khilayain gain
                Har manzar mann kay andar hay, mousam say nazaara kiyon maangain

                Jab sangee saathi dour khaRay taktay bhi rahay, hanstay bhi rahay
                Phir doobnay waalay log bhala, saahil say kinaara kiyon maangain!!!
                Last edited by thefire1; 12 February 2010, 22:28.
                sigpic

                Comment


                • #23
                  Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

                  GHAZAL

                  Apnay ehsaas ko lafzoon ki qaba kiyon nahin daitay
                  Uss ko chaha hay tou phir usko bata kiyon nahin daitay

                  Woh jo tumhain choR gaya, majbori-e-halaat suna kar
                  Uski tasweer ko kamray say hata kiyon nahin daitay

                  Yeh zaroori tou nahin aik hi mehboob rahay
                  Apni sochoon ko koi rang naya, kiyon nahin daitay

                  Jab say toota hay mera rabt, meri sansoon say
                  Meray hi ghar main mujhay log jagah kiyon nahin daitay!!
                  sigpic

                  Comment


                  • #24
                    Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

                    Assalaam-O-Alaikum

                    Aik aur dil kay qareeb GHAZAL aap sab say share kar raha hoon, umeed hay pasand aayay gi :)

                    GHAZAL

                    Kuch nahin badla dewanay thay, dewanay hi rahay
                    Hum nayay shehron may reh kar bhi puranay hi rahay

                    Dil ki basti main, hazaroon inqilaab aayay magar
                    Dard kay mousam suhnay thay, suhanay hi rahay

                    HUM NAY APNI SEE BOHAT KI WOH NAHIN PIGHLA KABHI
                    USS KAY HONTON PER BAHANAY THAY, BAHANAY HI RAHAY

                    Ay parindoon hijratain karnay say kia haasil hua
                    Chonch main thay char danay, char daanay hi rahay

                    Gayoon ki masoon nadiyon nay bohat rouka magar
                    Shehar kay baadal siyanay thay, siyanay hi rahay

                    !!!!!!
                    sigpic

                    Comment


                    • #25
                      Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

                      Ahmed Faraz Sahab ki yeh Ghazal bhi dil kay bohat qareeb hay, aap sab say share karnay ki jasaarat kar raha hoon :)

                      GHAZAL

                      Wehshat thi magar chaak libaada bhi nahin tha
                      Yoon zakhm numayee ka iraada bhi nahin tha

                      Hum marhaba kehtay teray har teer-e-sitam per
                      Sach baat kay dil itnaa kushaada bhi nahin tha

                      Hum khoon say nahlayay gayay teri gali main
                      Aur tuu kay sar-e-baam sataada bhi nahin tha

                      Yaroon koi tadbeer karoo tum kay woh hum say
                      Nakhush tha, magar itna ziyada bhi nahin tha

                      PAGAL HO FARAZ AAJ TO RAAH DEKH RAHAY HOO
                      JUB USS SAY MULAAQAAT KA WAADA BHI NAHIN THA!!
                      sigpic

                      Comment


                      • #26
                        Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

                        pagal ho faraz aaj to raah dekh rahay hoo
                        jub uss say mulaaqaat ka waada bhi nahin tha!!
                        sigpic

                        Comment


                        • #27
                          Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

                          meri pasand ki aik aur ghazal paish-e-khidmat hay :)

                          Haseen Yaadoon Main Khooya Tha, BichaRnay Say Zara Pehlay
                          BaRa Khush Fahm Soya Tha, BichaRnay Say Zara Pehlay

                          Woh Jis Ka Haath Tak Choonay Ko Bay-Adbi Samajhtay Thay
                          Galay Say Lag Kay Roya Tha, BichaRnay Say Zara Pehlay

                          Usay Maloom Tha Shayed Judai Hay Muqaddar Main
                          Woh Kin Sochoon Main Khoya Tha, BichaRnay Say Zara Pehlay

                          Humara Pyar Uss Lamhay Bulandi Per Wafa Ki Tha
                          Koi Bhi Gham Na Goya Tha, BichaRnay Say Zara Pehlay

                          Humaray Pyar Kay Gulshan Main Jaanay Kis Nay aa Kar Kay
                          Ghamoon Ka Beej Boya Tha, BichaRnay Say Zara Pehlay

                          Woh Jis Ko Dekh Lainay Say, BaRa Kuch Chand Rehta Tha
                          Bohat Hi Aaj Roya Tha, BichaRnay Say Zara Pehlay!!!
                          sigpic

                          Comment


                          • #28
                            Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

                            good to see u back ...aap nay kafi time bad update kia thread ko :--)


                            sharing kartay rehian :thmbup:
                            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                            Comment


                            • #29
                              Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

                              Jee, aaj soch kay nashtar dil ko zakhmi kar gayay tou ehsaasat iss screen per bikhar gayay :)
                              sigpic

                              Comment

                              Working...
                              X