Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~Straight from the heart of THEFIRE1~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~Straight from the heart of THEFIRE1~

    Assalaam-O-Alaikum

    Khulta kisi pay kiyon meray dil ka maamla
    Shairoon kay intikhaab nay ruswa kia mujhay!

    Aaj main yeh nayay thread ka aghaaz kar raha hoon jiss main apni pasand ki shayeri aur apna intikhaab aap say share karoonga, umeed hay aap ko bhi pasand aayay ga, itna aala mayar tou nahi mera :) Yeh rahi pehli ghazal iss bazm-e-sukhun ki nazar.

    GHAZAL

    Hum bhi kitnay saada dil hain, seedhi sachi baat karain
    Logoon nay kia kia keh daala, lehjoon ki tehdaari main

    Aanay walay kal ki khaatir, apna har pal qurbaan kia
    Haal ko dafna daitay hain hum, jeenay ki tayaari main

    Kayi dinoo say jism-o-jaan per, aik baykaifi chahye hay
    Doob rahi hay raat sunayoo, koi ghazal darbaari main

    Jab duniya per bas na chalay tou, andar andar kuRna kia
    Kuch bailay kay phool khilayey, aangan ki phulwaari main

    Tum bhi unn beetay barsoo ki koi nishaani lay aana
    Main tum say milnay ayoon ga usi puranay safari main

    Ab kay baar jo ghar jaana tou saaray album lay aana
    Waqt ki deemak lag jaati hay, yaadon ki almari main!

    Khush rahyeh, agli sharing jald hi karoon ga :)

    FI Amaan ALLAH
    sigpic

  • #2
    Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

    Originally posted by thefire1 View Post

    Walikum Assalam
    wah g wah
    bahut hi umda intakhaab
    v nice sharing
    keep it up
    :bou::rose

    Comment

    • #3
      Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

      Nawazish app ki, adaab arz hay :)
      sigpic

      Comment

      • #4
        Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

        W.Salaam,
        bohat he umdah intakhaab hai
        khush rahain
        aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
        kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

        Comment

        • #5
          Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

          Bohat bohat nawazish, adaab arz hay :)
          sigpic

          Comment

          • #6
            Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

            Originally posted by thefire1 View Post
            Assalaam-O-Alaikum

            Khulta kisi pay kiyon meray dil ka maamla
            Shairoon kay intikhaab nay ruswa kia mujhay!

            Aaj main yeh nayay thread ka aghaaz kar raha hoon jiss main apni pasand ki shayeri aur apna intikhaab aap say share karoonga, umeed hay aap ko bhi pasand aayay ga, itna aala mayar tou nahi mera :) Yeh rahi pehli ghazal iss bazm-e-sukhun ki nazar.

            GHAZAL

            Hum bhi kitnay saada dil hain, seedhi sachi baat karain
            Logoon nay kia kia keh daala, lehjoon ki tehdaari main
            Walaikum Salaaam

            Kiya baat hai janab ........... We will get something more from the way of your Heart ;)

            Comment

            • #7
              Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

              Certainly sir, wait and watch, my heart has many precioous secrets which will be revealed upon you soon INSHA-ALLAH, thanks for liking, khush rahyeh :)
              sigpic

              Comment

              • #8
                Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

                W.Salam

                Originally posted by thefire1 View Post
                Khulta kisi pay kiyon meray dil ka maamla
                Shairoon kay intikhaab nay ruswa kia mujhay!
                mein be hamesh logo sy yahi kehani ki koshish karti rehti ho :p
                @ buht khubusrat ghazal ki sath apni starting kia hai...
                waiting for more.
                be happy
                u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                :pr:

                Comment

                • #9
                  Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

                  Zaroor, kal aik aur ghazal share karoon, nawazish aap ki, adaab arz hay :)
                  sigpic

                  Comment

                  • #10
                    Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

                    Ek aur nazraana aap iss basm-e-sukhan ki nazar

                    GHAZAL

                    Tehri tehri see tabiyat main rawaani aayee
                    Aaj phir yaad mohabbat ki kahaani aayee

                    Aaj phir neend ko ankhoon say bichaRtay dekha
                    Aaj phir yaad koi choo'ut puraani aayee

                    Mudatton baad chala unn pay humara jadooo
                    Mudatton baad humain baat banani aayee

                    Mudatton baad pashayman huwa darya hum per
                    Mudatton baad humain Piyaaas chupaani aayee

                    Mudatton baad khuli wusa'at-e-sehra hum per
                    Mudatton baad humain Khaak uRaaani aayee

                    Mudatton baad muyaasir huwa MAA ka aanchal
                    Mudatton baad humain neend suhaani aayee

                    Itni asaani say milti nahin funn ki doulaat
                    Dhal gayi umr tou ghazloon pay jawaani aayee
                    sigpic

                    Comment

                    • #11

                      beautifull gazal
                      nice sharing:bou::rose

                      Comment

                      • #12
                        Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

                        Shukria jee :)
                        sigpic

                        Comment

                        • #13
                          Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

                          Ek Shair jo dil kay bohat qareeb hay

                          Din ko masmaar huway, raat ko tameer huway
                          Khuwab hi khuwab, faqat rooh main jageer huway
                          Umr bhar likhtay rahay, phir bhi warq saada raha
                          Jaanay kia lafz thay, jo hum say naa tehreer huway
                          !
                          sigpic

                          Comment

                          • #14
                            Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

                            Originally posted by thefire1 View Post
                            Ek Shair jo dil kay bohat qareeb hay

                            Din ko masmaar huway, raat ko tameer huway
                            Khuwab hi khuwab, faqat rooh main jageer huway
                            Umr bhar likhtay rahay, phir bhi warq saada raha
                            Jaanay kia lafz thay, jo hum say naa tehreer huway!
                            wah ji
                            aap ki shari bahut hi lajawaab hen
                            bahut hi nice :bou::rose

                            Comment

                            • #15
                              Re: ~Straight from the heart of THEFIRE1~

                              Buhat Khooob.......
                              Umda ........

                              Keep SharinG.

                              Comment

                              Working...
                              X