Assalaam-O-Alaikum
Khulta kisi pay kiyon meray dil ka maamla
Shairoon kay intikhaab nay ruswa kia mujhay!
Aaj main yeh nayay thread ka aghaaz kar raha hoon jiss main apni pasand ki shayeri aur apna intikhaab aap say share karoonga, umeed hay aap ko bhi pasand aayay ga, itna aala mayar tou nahi mera :) Yeh rahi pehli ghazal iss bazm-e-sukhun ki nazar.
GHAZAL
Khush rahyeh, agli sharing jald hi karoon ga :)
FI Amaan ALLAH

Hum bhi kitnay saada dil hain, seedhi sachi baat karain
Logoon nay kia kia keh daala, lehjoon ki tehdaari main

Aanay walay kal ki khaatir, apna har pal qurbaan kia
Haal ko dafna daitay hain hum, jeenay ki tayaari main

Kayi dinoo say jism-o-jaan per, aik baykaifi chahye hay
Doob rahi hay raat sunayoo, koi ghazal darbaari main

Jab duniya per bas na chalay tou, andar andar kuRna kia
Kuch bailay kay phool khilayey, aangan ki phulwaari main

Tum bhi unn beetay barsoo ki koi nishaani lay aana
Main tum say milnay ayoon ga usi puranay safari main

Ab kay baar jo ghar jaana tou saaray album lay aana
Waqt ki deemak lag jaati hay, yaadon ki almari main!

Comment