Dil se wisaal-e-yaar ka armaan bhi gaya
Dekha jo ghar udaas to mehmaan bhi gaya
Kar li hai usne phir gham-e-jaana se dosti
Lo apne hath se dil-e-nadaan bhi gaya
Mushkil tha apni raah pe lana usey magar
Tha baat mein khuloos to wo maan bhi gaya
Dikhlaaye kiya bahaar ne josh-e-junoon ke rang
Daaman bacha rahe thy girebaan bhi gaya
Us ki wafa na haasil hui mujhe Faiz
Main us ke dar pe le ke dil-o-jaan bhi gaya

Comment