Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mansoob thay jo....

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mansoob thay jo....


    Mansoob thay jo log meri zindagi kay saath
    akser wohi milay hain bari bayrukhi kay saath



    yoon to main hans para hoon tumharay liye mager
    kitnay sitaaray toot paray ik hansi kay saath



    fursat milay to apna garaibaan bhi dekh lay
    aye dost yoon na khel meri baybasi kay saath



    majbooryun ki baat chali hay to main kahan?
    hum nay piya hay zehr bhi akser khushi kay saath



    chehray badal badal kay mujhay mil rahay hain log
    itna bura salook meri saadgi kay saath?




    میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


    میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

  • #2
    Re: Mansoob thay jo....

    buth khoob bari beautiful ghazal aur peash karney ka andaz be utna he khoobsoorat
    I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

    Comment


    • #3
      Re: Mansoob thay jo....

      Assalaam-O-Alaikum Mehwish

      Bohat hi khoobsurat andaaz main post ki gayi yeh ghazal na jaanay kitni kafiyat ko dil hi dil main ujaagar kar gayi..... shayed kisi nay sach hi kaha hay kay shaaeri kabhi kabar apni hi dastaan lagti hay, jab insaan usay paRhta hay tou aisa mehsoos hota hay kay apnay aap say guftagoo kar raha hay! poori ghazal hi bohat achay alfaz main likhi gayi hay par na jaanay kiyon yeh shaair jaisay dil kay taar cho gaya :)
      majbooryun ki baat chali hay to main kahan?
      hum nay piya hay zehr bhi akser khushi kay saath

      Humesha ki tarhan aaj bhi aap ki tehreer aur yeh bohat hi nafaasat kay saath paish ki gayi yeh ghazal qabil-e-tareef hay, isi tarhan apni tehreer say nawazteen rahi.

      Fi Amaan ALLAH
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: Mansoob thay jo....

        wow nice poetry
        thanks 4 sharing

        Comment


        • #5
          Re: Mansoob thay jo....

          Assalam o alaikum wr wb..

          Intikhaab pasand karnay ka shukria :)
          khush rahain..


          میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


          میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

          Comment

          Working...
          X