Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Bazm-e-Ummid

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Bazm-e-Ummid

    Originally posted by ummid
    Manzeelein

    "Ajnabi si rahon ka......


    Ajnabi musafir aik..........


    Mujh se pooch baitha hai.....


    rasta bata do gye???????


    ajnabi si rahon ke....


    ajnabi musafir sun.....


    rasta koi bhi ho...


    wasta koi bhi ho......


    manzalein nahi miltein.......


    manzalein to dhoka hain.....


    manzalein jo mil jayein.....



    tu justajoo nahi rehti.....


    zindagi ko jeene ki."






    kya baat hai sis, bahut hi umdah :thmbup:
    Dheeray Dheeray Machal Aye Dill-e-Beqarar

    Comment


    • Re: Bazm-e-Ummid

      Originally posted by jugnoo217
      kya baat hai sis, bahut hi umdah :thmbup:
      Thank you nadeem bhai...:phool:
      pasand karne ke liye shukria......

      Comment


      • Re: Bazm-e-Ummid

        Originally posted by ummid
        Jin ki bondoon se mitti mehekne lage

        jin k mausam me ye dil chehekne lage

        jin se aaye fizaoon me ek tazgi

        sare aalam pe chaye ajab sarkhooshi

        jin k mamnoon ye khait ye gulsitaan

        barishoon ki qasam..!!!!!

        tum to wo kuch ho, jo bareshain bhi nahi.:)

        Assalaam-0-Alaikom:rose

        yeh poem mairay paas bhi hai:shh:
        aur is ko compose karna chahti hoon lakin image nahin mil rahi itnio achi:blush:
        For New Designers
        وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

        Comment


        • Re: Bazm-e-Ummid

          Originally posted by ummid
          Aap ki "higher note" wali baat ke jawab mein ek aur nazam...:)
          shaid aap ko pasand aye..

          "kab kaun kisi ka hota hai"

          kab kaun kisi ka hota hai.....

          sab jhootay rishtay naatay hain...

          sab dil rakhnay ki baatain hain....

          sab aslee roop chupatay hain...

          ikhlaaq say khali log yahan....

          lafzon key teer chalatey hain..

          Aik baar nigaahon mein aa ker...

          phir saari umer rulatay hain..

          lo jis nay humain hain ashk diye..

          ab us ko bhool hi jaatay hain!!!
          yeh poem jo mairay paas hai us main ikhlaq kay bajaeye ikhlaas ka word hai
          wat do u think :hhh:
          For New Designers
          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

          Comment


          • Re: Bazm-e-Ummid

            mere pass bhi ikhlaq hi likha hai, ab konsa drust hai....?
            Attached Files


            Comment


            • Re: Bazm-e-Ummid

              Originally posted by Rida
              yeh poem jo mairay paas hai us main ikhlaq kay bajaeye ikhlaas ka word hai
              wat do u think :hhh:
              :donno: hume kuch accha lagta hai tu aap sub se share ker lete hain....warna hume tu shairy ka Alif bey bhi nahi aata...:tauba Aap Masood bhai se confirm karwaiye waise shakeel bhai ki compose ki hoi poetry mein bhi "Ikhlaq" hi hai...

              Comment


              • Re: Bazm-e-Ummid

                Uddasi jis kay dil mein ho ussi ki neend udti hai..........

                kissi ko apnai ankhoon say, koi sapna nahi daita....

                uthana khud he padta hai thaka,toota badan fakhri...

                kay jab tak sans chalti hai koi kandhaa nahi daita!!

                Comment


                • Re: Bazm-e-Ummid

                  Uddasi jis kay dil mein ho ussi ki neend udti hai..........

                  kissi ko apnai ankhoon say, koi sapna nahi daita....

                  uthana khud he padta hai thaka,toota badan fakhri...

                  kay jab tak sans chalti hai koi kandhaa nahi daita!!

                  Yeh qita bohat pasand aaya :) last wala misra to kamal ka hay aur bohat bari sachayi hay is main :) kamal ka intekhab hay aap ka :) keep it Up :
                  Allah

                  Comment


                  • Re: Bazm-e-Ummid

                    Originally posted by Yaaram
                    Uddasi jis kay dil mein ho ussi ki neend udti hai..........

                    kissi ko apnai ankhoon say, koi sapna nahi daita....

                    uthana khud he padta hai thaka,toota badan fakhri...

                    kay jab tak sans chalti hai koi kandhaa nahi daita!!
                    Yeh qita bohat pasand aaya :) last wala misra to kamal ka hay aur bohat bari sachayi hay is main :) kamal ka intekhab hay aap ka :) keep it Up :
                    shukriya Adnan bhai...:phool:
                    padhne k liye bhi aur pasand karne ke liye bhi...:)

                    Comment


                    • Re: Bazm-e-Ummid

                      aakhiri tees aazamaane ko.....
                      jee to chaha tha muskurane ko....

                      yaad itani bhi sakht jaan to nahi.....
                      ik gharaundaa raha hai dahane ko...

                      sangrezoon mein dhal gaye aansu.....
                      log hansate rahe dikhaane ko....

                      zakhm-e-nagmaa bhii lau to deta hai...
                      ik diya rah gaya jalaane ko......

                      jalane vaale to jal bujhe aakhir...
                      kaun deta khabar zamaane ko.....

                      kitane majabur ho gaye honge.....
                      an-kahi baat Munh pe laane ko....

                      khul ke hansana to sab ko aata hai....
                      log tarasate rahe ik bahaane ko....

                      rezaa rezaa bikhar gayaa insaan...
                      dil ki viraaniyaan jataane ko.....

                      hasaraton ki panaah gaahon mein....
                      kya thikaane hain sar chhupaane ko???

                      hath kanton se kar liye zakhmi....
                      phul baalon mein ik sajaane ko....

                      aas ki baat ho ki saans 'Ada'....
                      ye Khilaune hain tut jaane ko....

                      Comment


                      • Re: Bazm-e-Ummid

                        nice sharing..
                        Life is more strict than a teacher
                        A teacher teaches a lesson
                        and takes an exam.
                        But life takes an exam
                        and then teaches a lesson

                        Comment


                        • Re: Bazm-e-Ummid














                          Comment


                          • Re: Bazm-e-Ummid

                            yeh shairy abhi abhi kuch dair pahle hume Sms ke zariye aaiyi..........beutifulll......hume pasand aaiyi is liye soacha aap se shair karein...........'

                            gum zindagi........
                            gum bandagi.....
                            gum do-jahan........
                            gum jawadan.....
                            meri her nazar.......
                            teri muntazir........
                            teri aik nazar........
                            mera imtehan.......

                            Comment


                            • Re: Bazm-e-Ummid

                              mashallah bohth khoob thanks ...






                              khoob hi khooooooooooooob.
                              YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                              Comment


                              • Re: Bazm-e-Ummid

                                Originally posted by Lexicon
                                mashallah bohth khoob thanks ...






                                khoob hi khooooooooooooob.
                                Aap ka bhi shukriya hi shukriyaaaaaaaaaaaaaaaaaa..............:)

                                Comment

                                Working...
                                X