Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

mareez-e-shab-e-Gam

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • mareez-e-shab-e-Gam

    ye kah kar diye meri qismat main naale
    tumhari amaanat tumhare havale
    bas itni hai doori ye manzil hai ye main hoon
    kahan aake phoote hain paaon ke chaale
    karoon aisa sajda woh ghabraa ke kah den
    Khuda ke liye ab to sar ko uthaa le
    mareez-e-shab-e-Gam ki saans aaKhiri hai
    charaagh-e-sahar le rahaa hai sambhaale
    kabhi mar bhi chuk ay mareez-e-muhabbat
    pareshaan baithe hain ghar jaane vaale
    qayamat hain zaalim ki neechi nigaahen
    Khudaa jaane kyaa ho jo nazaren uthaa le
    "Qamar main hoon mukhtar tanzeem-e-shab ka
    hain mere hee bas main andhere ujaale

  • #2
    Re: mareez-e-shab-e-Gam

    Bohat khoob.
    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

    Comment

    Working...
    X