Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ghalib Ayaz ki ek Ghazal

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ghalib Ayaz ki ek Ghazal

    Gham hai ya ezteraar sa kuch hai
    Yaa mujhe intezaar sa kuchh hai


    Be sabab aur kaun bhatke ga
    Dil hai aur be qarar sa kuch hai


    Jab bhi chahun udas hojaun!
    Khud pe ab ikhteyar sa kuch hai


    Zindagi itni badnumaa to nahi
    Aayeene pe ghubar sa kuch hai


    Ab gumaN ho raha hai manzil ka
    Saamne regzaar sa kuch hai


    Hauslon ko abhi pata na chale
    Raste me hisaar sa kuch hai !

    (Ghalib Ayaz)
    sigpic
    :hii:

  • #2
    Re: Ghalib Ayaz ki ek Ghazal

    Bas tere liye udaas aankhen !!!!
    uff! maslehat nashanaas aankhen

    Be noor hui hian dheere dheere
    Aayi nahi mujh ko raas aankhen!

    Aakhir ko gaya wo - kaash rukta
    Karti rahin iltemaas aankhen!!

    Khaabeeda haqiqaton ki maari
    Paamaal aur bad hawaas aankhen

    Dar pesh junu.n ka marhala, aur
    Faqa hai badan to pyas aankhen




    (Ghalib Ayaz)
    sigpic
    :hii:

    Comment


    • #3
      Re: Ghalib Ayaz ki ek Ghazal


      Mere husn e bayaaN me shamil thaa
      Woh meri daastaaN me shamil thaa


      Meri basti ko lootne waalaa
      Wafd e rahat rasaaN me shamil thaa


      Us ki khaatir jahaan haar gaye
      Kya maza us zayaaN me shamil thaa


      Justajoo maaNd parti jati thi
      Dil ajab kaarwaaN me shamil thaa


      Gumrahi ka wo bad numa lamhaa
      Meri tatheer e jaaN me shamil thaa





      Ghalib Ayaz
      sigpic
      :hii:

      Comment


      • #4
        Re: Ghalib Ayaz ki ek Ghazal

        Originally posted by Nazia Afroz View Post
        Gham hai ya ezteraar sa kuch hai
        Yaa mujhe intezaar sa kuchh hai


        Be sabab aur kaun bhatke ga
        Dil hai aur be qarar sa kuch hai


        Jab bhi chahun udas hojaun!
        Khud pe ab ikhteyar sa kuch hai


        Zindagi itni badnumaa to nahi
        Aayeene pe ghubar sa kuch hai


        Ab gumaN ho raha hai manzil ka
        Saamne regzaar sa kuch hai


        Hauslon ko abhi pata na chale
        Raste me hisaar sa kuch hai !

        (Ghalib Ayaz)
        Originally posted by Nazia Afroz View Post
        Bas tere liye udaas aankhen !!!!
        uff! maslehat nashanaas aankhen

        Be noor hui hian dheere dheere
        Aayi nahi mujh ko raas aankhen!

        Aakhir ko gaya wo - kaash rukta
        Karti rahin iltemaas aankhen!!

        Khaabeeda haqiqaton ki maari
        Paamaal aur bad hawaas aankhen

        Dar pesh junu.n ka marhala, aur
        Faqa hai badan to pyas aankhen




        (Ghalib Ayaz)
        Very Nice Collection.
        aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
        kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

        Comment


        • #5
          Re: Ghalib Ayaz ki ek Ghazal

          wah Bohat Acha intekhab
          :(

          Comment


          • #6
            Re: Ghalib Ayaz ki ek Ghazal






            Thanks for appreciation: One more:



            Kucha e dilbaraan ke the hi nahin
            Ahl us imtehaan ke the hi nahin




            Andhiyon ke amal dakhal me rahe
            Hum kisi aashiyan ke the hi nahin.




            Sah gaye rizq ke liye wo lafz !!
            Jo hamari zabaN ke the hi nahin.




            Chara gar se wo zakhm kiya bharte
            Jo adoo ki senaan ke the hi nahin




            Jis ka anjaam khush nateejaa ho
            Hum to us dastaan ke the hi nahin.




            Is tarah hum ne chhor dee duniya
            Jaise pahle yahaan ke the hi nahin.





            (Ghalib Ayaz)
            sigpic
            :hii:

            Comment


            • #7
              Re: Ghalib Ayaz ki ek Ghazal

              nice

              Comment


              • #8
                Re: Ghalib Ayaz ki ek Ghazal

                Jab bhi chahun udas hojaun!
                Khud pe ab ikhteyar sa kuch hai
                buhat khub...yeh iktayar too hai humare pass...Acha hai

                Comment


                • #9
                  Re: Ghalib Ayaz ki ek Ghazal

                  Bahot khoobsurat sharing janab
                  sigpic

                  Comment


                  • #10
                    Re: Ghalib Ayaz ki ek Ghazal

                    Khush numa lafz ki sawari bas
                    Shahr walon ko ek madari bas

                    Ishq me aur kya hua hum se
                    Dhang se ki hai ashk bari bas

                    Ek nauras kali ka gul banna
                    Zindagi!! teri payedaari bas

                    Fasl e gul kaynat ki, mujh ko
                    Teri chahat ki aik kiyari bas

                    Manzilen ghair ke liye makhsus
                    Apne hisse me khabkari bas

                    Ek bejaan muskurahat hai !!!!
                    Oonche logon ki inkesaari bas

                    Aur kiyaa seekhte zamaane se
                    Hogaye hum bhi kaar o baari bas


                    by: Ghalib Ayaz
                    sigpic
                    :hii:

                    Comment


                    • #11
                      Re: Ghalib Ayaz ki ek Ghazal

                      nice sharing
                      sigpic

                      Comment


                      • #12
                        Re: Ghalib Ayaz ki ek Ghazal


                        Khuda ka shukr mujhe besh-az-gumaan mila
                        Tumhare reshmi aanchal ka saayabaan mila.



                        Na jaane mujh men samaayi thin hijraten kitni
                        Tumhare lams se mujh ko mera makaan mila.



                        Khuda ne humpe haden kitni bandh rakhkhi hain
                        Hisaar e jism se nikle to aasmaan mila !!



                        Hum uske jabr ka qissaa sunaate kis kis ko
                        Yahaan to jo bhi milaa, uska hamzaban mila.



                        Hikayaten thin meri raaviyon ke narghe men
                        Phir uske baad jahaan mujh se bad gumaan mila



                        Suna hai shahr ki buniyaad usne daali thi
                        Jo shakhs kal meri basti me be amaan mila.



                        Ye shayeri mujhe maqdur bhar mili hi nahin
                        Magar abhi bhi koi le to mujh se taan mila.

                        By: Ghalib Ayaz
                        sigpic
                        :hii:

                        Comment


                        • #13
                          Re: Ghalib Ayaz ki ek Ghazal

                          Originally posted by Nazia Afroz View Post
                          Khuda ka shukr mujhe besh-az-gumaan mila
                          Tumhare reshmi aanchal ka saayabaan mila.


                          Na jaane mujh men samaayi thin hijraten kitni
                          Tumhare lams se mujh ko mera makaan mila.


                          Khuda ne humpe haden kitni bandh rakhkhi hain
                          Hisaar e jism se nikle to aasmaan mila !!


                          Hum uske jabr ka qissaa sunaate kis kis ko
                          Yahaan to jo bhi milaa, uska hamzaban mila.


                          Hikayaten thin meri raaviyon ke narghe men
                          Phir uske baad jahaan mujh se bad gumaan mila


                          Suna hai shahr ki buniyaad usne daali thi
                          Jo shakhs kal meri basti me be amaan mila.


                          Ye shayeri mujhe maqdur bhar mili hi nahin
                          Magar abhi bhi koi le to mujh se taan mila.
                          By: Ghalib Ayaz
                          buhat acha intakhab haai...keep rocking:salam:

                          Comment


                          • #14
                            Re: Ghalib Ayaz ki ek Ghazal

                            Husn ke zer e baar ho ke na ho!!
                            Ab mere dil me pyar ho ke na ho


                            Marg e amboh dekh aate hain!!!!
                            Aankh phir ashkbaar ho ke na ho


                            Karb e paiham se hogaya pat_thar
                            Ab ye seenaa figaar ho ke na ho


                            Phir yahi rut ho ain mumkin hai
                            Par tera intezaar ho ke na ho


                            Shakh e zatoon ke amiN hum hain
                            Shahr me ishtehaar ho ke na ho


                            Daagh e dil hum dikhaye jate hain
                            Us pe hai _ Sharmsaar ho ke na ho






                            by: Ghalib Ayaz
                            sigpic
                            :hii:

                            Comment

                            Working...
                            X