Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

    Originally posted by phonix_24 View Post
    Kuch Meri Taraf se

    Ham kisi chashm-e-fusoon saz mein rakhay huay hain
    Khwab hain, khwab kay andaz mein rakhay huay hain

    Taab anjam-e-muhabbat ki bhala kya latay
    Natawan dil wahin, aaghaz mein rakhay huay hain

    Jaltay jaen gay abhi aur chraghon say chragh
    Jab teri anjuman-e-naaz mein rakhay huay hain

    Ay hawa!aur khizaon kay ilawa kya hai
    Waswasay kion teri aawaz mein rakhay huay hain?

    Ik sitaray ko to main subh talak lay aaei,
    Beshtar,raat kay aaghaz mein rakhay huay hain

    Kat kay woh par to hwaon mein kahin ur bhi gaey
    Dil yahin,hasrat-e-prwaz mein rakhay huay hain

    Ham to hain aab-e-zar-e-ishq say likhay huay harf

    Baish qeemat hain, buhat raaz mein rakhay huay hain

    Originally posted by phonix_24 View Post
    Main tumharay aks ki aarzoo mein bass aayina hi bani rahi
    Kabhi tum na samnay aa sakay, kabhi mujh pay gard pari rahi

    Woh ajeeb shaam thi,aaj tak meray dil mein uss ka malal hai
    Meri tarah jo teri muntazir, teray rastay mein khari rahi

    Kabhi waqf-e-hijr main ho gaei,kabhi khwab-e-wasl mein kho gaei
    Main faqeer-e-ishq bani rahi, main aseer-e-yaad huwi rahi

    Bari khamshi say sarak kay phir meray dil kay gird lipat gaei
    Woh rida-e-abr-e-sfed jo sar-e-kohsar tani rahi

    Huwi uss say jabb meri baat bhi,thi shareek-e-dard woh zaat bhi
    To na janay kon si cheez ki meri zindgi mein kami rahi

    Originally posted by phonix_24 View Post
    Chashm hairan bhi hai, ehed ki paband bhi hai

    Dil jisay chahta hai us say gila mand bhi hai

    Poshish-e-gahm pay na itna bhi koi nazan ho
    Is mein hlki si khushi ka kahin pewand bhi hai

    Baray,us deed say aankhon ko mila hai kuch chaen
    Lekin is dil ki tarap aaj say dochand bhi hai

    Aap kay sr mein kisi aur ka soda,herat!
    Jb isi sr ki hmaray liay sogand bhi hai

    Raat,tnhai,taaqub mein musalsal koi chaap,
    Aur jb ilm ho, aagay yeh gli band bhi hai

    Nabz pr dst-e-msiha nahin,hai dst-e-hbib
    Gr yeh ht jaey to ik aan mein dil band bhi hai
    ______________________________________
    Khan Je last sher specialy aap ke liye hai...

    Comments and Sharing r wellcome372-shock

    Originally posted by phonix_24 View Post
    For My Special Friend....Khan Khanteddy

    Usy Mien Nay He Likha Tha
    K Lehjy Barf Ho Jaien To Phir Pighla Nahi Karty...
    Parindy Dar K Urr Jaein To Phir Louta Nahi Karty..

    Usy Mein Nay He Likha Tha
    Yaqeen Uth Jay To Shayad Kabhi Wapis Nahi Aata...
    Hawaoon Ka Koi Tofaan Kabhi Barish Nahi Lata.....

    Usy Mein Nay He Likha Tha
    K Shesha Toot Jaye To Kabhi Phir Jurr Nahi Pata...
    Jo Rasty Say Bhatak Jaye Wo Wapis Murr Nahi Pata...

    Usy Kehna Wo Be-Mani Addhory Khat Usy Mien Nay Hee Likhy Thy..

    Usy Kehna K Deewany Muqamal Khat Nahi Likhty....

    Bohat Umdah Intakhaab.
    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

    Comment

    • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

      Originally posted by phonix_24 View Post
      woh na dur hai, na karib hai

      ye jo hijr hai, ye nasib hai...

      jo wisaal tha woh to khwab tha
      ye khyaal kitna ajeeb hai...

      wahi ansuon mein duaaon mein
      wahi dukh sukh mein karib hai..

      jo main sochta hun keh sakun
      mera harf harf rakib hai....

      ye falak zamin ko samet le

      mera dil bhi kitna garib hai...

      Originally posted by phonix_24 View Post
      Kar Liya Hai Faisla, Kehna Usey

      Ab Na Hoga Raabta, Kehna Usey

      Jis Pe Hum Chalte Rahe Hain Sath Sath
      Kho Gaya Woh Raasta, Kehna Usey

      Teri Yaadein Dil Se Rukhsat Ho Gayin
      Ho Chuka Yeh Saaneha, Kehna Usey

      Ab Na Dekhe Ga Tumhara Raasta
      Dil Ko Main Samjha Chuka, Kehna Usey

      Chain Se Sone Na De Ga Ab Gham Tujhe
      Raat Bhar Ab Jaagna, Kehna Usey

      Aashna Ban Kar Na Milna Raah Mein
      Dosti Ik Khwaab Tha, Kehna Usey

      Murh Ke Peeche Hum Bhi Dekhte Nahi
      Soch Kar Munh Pherna, Kehna Usey..

      Originally posted by phonix_24 View Post
      Ik Kiran Ummeed ki, toota Sitaara bann gayee...

      Saawam ki aee thi jhari, ashkoun ka dhaara bann gayee....

      Toot kar ik shaakh ki maanind kal jo gir paree....
      Aaj woh nanhi qalam, fasl-e-bahaaran' bann gayee....

      Ikk zara si deep mein duniya jahan ka husn thaa....
      Aaj teri ik nazar misl'e nazaara bann gayee....

      Abb waqt khushiyaan laega, gham ka zamaana thamm gaya....
      Yeh aas, thamti saans takk dill ka sahaara bann gayee...

      Jaane kis manzil ki khaatir chall diye kashti liye....
      Aarzoo ki nao khud apna kinaara bann gayee.....

      Ik teri ummeed pe qaayem hay apni zindagi......
      Toot bhee gar yeh gayee tou wasl'e yaraan bann gayee....
      ______________________________________________

      Comments and Sharing is Wellcome

      Bohat Umdah janaab.:)
      aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
      kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

      Comment

      • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

        Aag hai,pani hai,mitti hai,hawa hai mujh main
        aur pher maanna parta hai k khuda hai mujh main

        ab tu le de k wohi shaks bacha hai mujh main
        mujhko mujh se juda kar k jo chopa hai mujh main

        mera ye haal ubharti hoe lehrain jaisay
        wo badi dair se kuch dhoondh raha hai mujh main

        jitnay mousam hain sub jaisay kahen mil jaaen
        in dino kaisay bataoun jo fiza hai mujh main

        aaena ye tu bata'ta hai k main kia hon lekin
        aaena es pe hai khamoush k kia hai mujh main

        ab tu bas jan he dainay ki hai bari aay noor
        main kahan tak karoun sabit k wafa hai mujh main
        aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
        kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

        Comment

        • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

          Muhabbat main koe sadma uthana chahiye tha
          bholaya tha jisay wo yaad aana chahiye tha

          koe tu baat karna chahiye thi khud se aakhir
          kahen tu mujh ko bhe ye dil lagana chahiye tha

          meri apni aur uski aarzo main farq ye tha
          mujhay bus wo,usay sara zamana chahiye tha
          aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
          kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

          Comment

          • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

            Gir jaaey jo dewaar tu matam nahi kartay
            kartay hain bohat loog magar hum nahi kartay

            hai apni tabiyat main tu khami ye he hai
            hum ishq tu kartay hain magar kum nahi kartay

            nafrat se tu behtar hai k rastay he juda hon
            bekaar gozar-gahun ko baham nahi kartay

            har saans main dozakh ki tapish se hai magar hum
            soraj ki tarha aag ko madham nahi kartay

            kia ilm k rotay hon tu mar jatay hon
            wo loog jo kabhi aankhoun ko num nahi kartay
            aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
            kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

            Comment

            • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

              Originally posted by khan khan View Post

              Buhat ache Khan Jee:jazak:

              Comment

              • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                Khabhi milein phir
                Ussi terhan
                Ussi jagha
                Unhi lamhoon main
                Ore unhi lamhoon ki lazaatoon main
                Wahi khush gumaniyun k chaand
                Wahi bad-gumaniyun k bhanwar
                Wahi madd-o-juzer rafaqatoon k
                Wahi azaab raqabatoon k
                Main kisi sey koi kahani khaoon
                Tum kisi sey koi kahanai kaho
                Ore
                Asal main aik kahani ho
                Jo apni ho
                Khabhi milein phir ussi terhan, ussi jagah ?

                Comment

                • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                  MaiN ye kis ke naam likhooN jo alam guzar rahay haiN
                  Meray shehar jal rahay hain, meray log mar rahay haiN

                  Koi guncha ho ke gul ho, koi shaakh ho shajar ho
                  Wo hawaa-e-gulstaan hai ke sabhi bikhar rahay hain

                  Kabhi rehmatain thi nazil issi khita-e-zamee'n par
                  Wohi khitta-e-zamee'n hai ke azaab utar rahay hain

                  Wohi taairo'n ke jhurmut jo hawa main jhooltay thay
                  Wo fizaa ko dekhtay hain to ab aah bhar rahay hain

                  BaRi aarzoo thi humko naye khwaab dekhnay ki
                  So ab apni zindagi main nay kwhaab bhar rahay hain

                  Koii aur to nahi hai pas-e-khanjar aazmaai
                  hamee qatal ho rahay haiN, hamee qatal ker rahay haiN

                  Comment

                  • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                    YAAD

                    Khabhi khabhi koi yaad
                    Koi buhat purani yaad
                    Dil key derwazey per
                    Aisey dastak deti hey
                    Shaam ko jaisey tara nikley
                    Subha ko jaisey phool
                    Jaisey dhreey dhreey zameen per
                    Roshniyun ka nazool
                    Jaisey rooh ki piyaas bhujaney
                    Utrey koi rasool
                    Jaisey roety rotey achanak
                    Hans dey koi malool
                    _________________________________________________
                    :welcome:Comments and Sharing Plz:dance2:

                      Bohat Khoobsorat Itakhaab:)
                      aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                      kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                      Comment

                      • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                        Tujhay rooz daikhoun qareeb se
                        meray shouq bhe hain ajeeb se
                        mujhay maangna hai tujhi ko bus
                        apnay rub aur apnay habeeb se
                        meri aankh main bhe hai aajzi
                        meray khawaab bhe hain gareeb se
                        meray sub dukhoun ki dawa ho tum
                        milay kia sakon pher tabeeb se
                        main bohat khush hon joor kar
                        naseeb apna teray naseeb se
                        aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                        kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                        Comment

                        • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                          Khamoush zuban k lafzoun main
                          kuch posheda se batain hain
                          in posheda se batoun main
                          kuch chahat ki barsatain hain
                          in batoun ko hum muddat se
                          senay main chopaaey bethay hain
                          kuch paaey bina kuch kho dena
                          ye piyaar main hum ne sekha hai
                          soraj main,chand sitaroun main
                          har shay main tumhi ko daikha hai
                          dharkan main bhe nagma bankar
                          sagar ki tarha tum behtay ho
                          ye piyaar nahi tu tum he kaho
                          pher piyaar kisay tum kehtay ho
                          aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                          kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                          Comment

                          • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                            Mujhko shikast-e-dil ka maza yaad aa gaya
                            tum keun udaas ho gaey kia yaad aa gaya

                            kehnay ko zindagi thi bohat mukhtasir magar
                            kuch u basar hoe k khuda yaad aa gaya

                            barsay baghiar he jo ghata ghir se khul gaae
                            ek be-wafa ka ehd-e-wafa yaad aa gaya

                            u chounk uthay wo sun k mera shikwa-e-firaaq
                            jaisay inhain bhe koe gila yaad aa gaya

                            maangain gain ab dua k usay bhool jaaen hum
                            lekin jo wo ba-waqt-e-dua yaad aa gaya

                            hairat hai tumko daikh k masjid main aay khumaar
                            kia baat ho gae jo khuda yaad aa gaya

                              Buhat Acha Hai:jazak:

                              Comment

                              • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                                Aankhon se kaho khaamosh rahen...
                                Ik doojay se hum bichar chale!
                                Go aaj se bilkul ujar chale,
                                ab jeewan hoga zindaan sa...
                                ab yaadain roz satayen gi,
                                ab saansain ruk ruk ayengi...
                                ab raat ko dair se soyenge
                                ab neend se uth uth royenge...
                                per zabt hai ab laazim chanda!
                                iss lamhe ashk bahao mat
                                tum jee ko or jalaao mat..
                                yeh zakhm-e-wafa chup chaap sahen
                                aankhon se kaho khaamosh rahen!

                                Comment

                                Working...
                                X