Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Nasir Kazmi

    Originally posted by phonix_24 View Post
    dukh kii lahar ne chhe.Daa hogaa

    dukh kii lahar ne chhe.Daa hogaa
    yaad ne ka.nka.D phe.nkaa hogaa

    aaj to meraa dil kahataa hai
    tuu is vaqt aakelaa hogaa

    mere chuume hue haatho.n se
    auro.n ko Khat likhataa hogaa

    bhiig chalii.n ab raat kii palake.n
    tuu ab thak kar soyaa hogaa

    rel kii gaharii sii.nTii sun kar
    raat kaa jangal guu.Njaa hogaa

    shahar ke Khaalii sTeshan par
    ko_ii musaafir utaraa hogaa

    aa.Ngan me.n phir chi.Diyaa.N bole.n
    tuu ab so kar uThaa hogaa

    yaado.n kii jalatii shabanam se
    phuul saa mukha.Daa dhoyaa hogaa

    motii jaisii shaql banaakar
    aa_iine ko takataa hogaa

    shaam hu_ii ab tuu bhii shaayad
    aapane ghar ko lauTaa hogaa

    niilii dhundhalii Khaamoshii me.n
    taaro.n kii dhun sunataa hogaa

    meraa saathii shaam kaa taaraa
    tujh se aa.Nkh milaataa hogaa

    shaam ke chalate haath ne tujh ko
    meraa salaam to bhejaa hogaa

    pyaasii kurlaatii kuunjuu.N ne
    meraa dukh to sunaayaa hogaa

    mai.n to aaj bahut royaa huu.N
    tuu bhii shaayad royaa hogaa

    'Nasir' teraa miit puraanaa

    tujh ko yaad to aataa hogaa
    Bohat Khoob.
    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

    Comment

    • #17
      Re: Nasir Kazmi

      Originally posted by phonix_24 View Post
      kaun is raah se guzarataa hai

      kaun is raah se guzarataa hai
      dil yuu.N hii intazaar karataa hai

      dekh kar bhii na dekhane vaale
      dil tujhe dekh-dekh Darataa hai

      shahar-e-gul me.n kaTii hai saarii raat
      dekhiye din kahaa.N guzarataa hai

      dhyaan kii sii.Diiyo.n pe pichhale pahar
      ko_ii chupake se paa.Nv dharataa hai

      dil to meraa udaas hai 'Nasir'
      shahar kyo.n saaye.n-saaye.n karataa hai
      ------------------------------------------

      Comments and Sharing plz:clap:
      Bohat Khoob.
      aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
      kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

      Comment

      • #18
        Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

        Soz-e-ghum de mujhay us ne ye irshaad kia
        jaa!tujhay kash-makash-e-dehar se aazaad kia

        eska rona nahi keun tum ne kia dil barbaad
        eska ghum hai k bohat dair se barbaad kia

        itna manous hon fitrat se k,kali jub chatki
        jhuk k main ne kaha,mujh se kuch irshaad kia

        mujhko tu housh nahi,tumko ho khabar shayed
        loog kehtay hain k tum ne mujhay barbaad kia

        dil ki choutoun ne kabhi chain se sonay na diya
        jub chali sard hawa main ne tujhay yaad kia
        aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
        kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

        Comment

        • #19
          Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

          Hamaray dil k gulshan main na keun ab k bahaar aa'ay
          khizan jo qarz thi hum par usay tu hum utaar aa'ay

          bulanay par wo aa jaey magar pher bhe rahay hasrat
          hamain milnay kabhi ek baar wo be-ikhtayaar aa'ay

          tu kaisay zindagi jetay na khud se gar alag hotay
          hamain jena tujhi main tha khudi apni utaar aa'ay

          jo khushiyan dil ko deta hai wohi dil bhe dukhata hai
          jahan dil ko mili rahat wahen dil se figaar aa'ay

          wo kaise jadu nagri thi wo kaisa tha sehar us ka
          gaaey thay milnay do pal ko magar jewan gozaar aa'ay
          aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
          kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

          Comment

          • #20
            Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

            Originally posted by untruefeelings View Post
            :jazak:

            bht khoob
            Originally posted by khan khan View Post

            :jazak:for sharing and urtruefeeling thanks for reply and waiting for ur sharing:welcome:. Khan Bhai shari buhat achi hai keep it up:clap:

            Comment

            • #21
              Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

              ****************************************
              Kaha Us Nay Bharoosa Dil Par Nahi Kartay
              Kaha Mein Nay Mohabbat Mein Soocha Nahi Kartay

              Kaha Us Nay Bahut Khush Rang Dunya Kay Nazaray Hain
              Kaha Mein Nay Jab Tum Ho Tu Kuch Daikha Nahi Kartay

              Kaha Us Nay Kah Mein Tum Say Door Hoon Lakin Tumhary Hon
              Kaha Mein Nay Kah Sapnay Dil Ko Bahlaya Nahi Kartay

              Kaha Us Nay Tumhari Chahat Tumhain Ruswaiyaaan Day Gi
              Kaha Mein Nay Shohrat Say Ghabraya Nahi Kartay

              Kaha Us Nay Samjho Samjho Aye Meray Dewanay
              Kaha Mein Nay Kah Dewanay Ko Samjhaya Nahi Kartay !!!
              ****************************************

              Comment

              • #22
                Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chalay jana
                Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chalay jana

                Jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay may
                Usay puri tarha se tum bhulado phir chalay jana

                Ye saray pair poday tum bin kai raat jagay hai
                Tum aakay ek baar inko sulado phir chalay jana

                Kisi ko chahne ka aur kisi se chahay janay ka
                Jo hai ahsaas tum usko bhulado phir chalay jana

                Bus ik murda hansi se apnay ashko ko chupanay ka
                Jo fun aata hai tum ko, wo sikhado phir chalay jana

                Wo jo ik lafz-e-ulfat hai, juda hai apnay maani se
                Bus in alfaz-o-mani ko milado phir chalay jana

                Jo kehte kahte ruk gaye, un sari bato ki
                Sama'at ko talab hai wo suna do phir chalay jana

                Na janay q hai lakin dekhne ki tum ko aadat hai
                Meri ye be-waja aadat chura do phir chalay jana

                Merey in roz-o-shab ka ek fakat unwan bus tum ho
                Mujhe tum doosra unwan lado phir chalay jana

                Pyar ki koshish, ay Khuda, na jaye raigan
                Mujhe is sabr ka kuch phal dila do phir chalay jana

                Comment

                • #23
                  Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                  Woh Bikhra Hua Lehjaa Yaad Hai Ab Tak

                  Jab Us Ne Kaha tha Mujh Sey

                  In Pighaltay Ayyam Main

                  Aur Haqiqatoon Ki

                  Kari Dhoop Main Jhulas Kar

                  Teray Liye Sochna

                  Acha Lagta Hai

                  Ye Jantay Huay Bhi

                  Ke Rastay Juda Hain

                  Tu Mera Muqqaddar Nahin

                  Apnay Aap Ko Dhoka Dena

                  Acha Lagta Hai

                  Kion ke Istarah Zeest Mujhay

                  Bari Aasaan Lagi Hai....
                  ---------------------------------

                  Comments and Sharing is More then Wellcome:welcome:

                  Comment

                  • #24

                    Wonderful collection:rose
                    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                    Comment

                    • #25
                      Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                      :jazak:Khan Bhai:welcome:

                      Comment

                      • #26
                        Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                        Dil ki baat laboon per la ker ab tuk hum dukh sehte hein
                        Hum ne suna tha is bustii mein dil walay bhee rehte hein

                        Beet gaya sawan ka maheena, mosum ne nazrein bedleen
                        Lekin in pyaari ankhon se ab tuk aansoo` behte hein

                        Ik hamein aawarah kehna koi bara ilzaam nahi
                        Duniya walay dil waloon ko aur bohat kuch kehte hein

                        Jin ki khatir shehr bhee chora jin ke liye budnaam howay
                        Aaj wohi hum se be-ganay be-ganay se rehte hein.

                        Comment

                        • #27
                          Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                          phir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko
                          Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko

                          Din ko aaram hay na rat ko hay chain kabhi
                          Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko

                          Dukh to yeh hay keh zamanay main milay ghair sabhi
                          Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko

                          Jab koi bhi na raha kandha meray ronay ko
                          Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko

                          Youn to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
                          Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko

                          Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha
                          Maot nay piyar say pehloo main bithaya mujh ko

                          Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi
                          Gham ki andhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko

                          kaisay bhoolon ga wohi wasl kay lamhay
                          Yad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko

                          Comment

                          • #28
                            Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                            Main Umr K Rastey Mein Chup Chaap Bikhar Jaataa
                            Ek Din Bhi Agar Apni Tanhaaii Se Dar Jaataa

                            Main Tark E Ta'alluq Par Zinda Huun So Mujrim Huun
                            Kaash Uss K Leye Jiitaa, Apney Leye Mar Jaataa

                            Uss Raat Koii Khushbu Qurbat Mein Naheen Jaagi
                            Main Varnaa Sanvar Jaataa,Aur Voh Bhi Nikhar Jaataa

                            Uss Jaan-E-Takallum Ko Tum Mujh Se Tou Milvatey
                            Taskheer Na Kar Paataa, Hairaan Tou Kar Jaataa

                            Kal Saamney Manzil Thii, Peechhey Meri Aavaazain
                            Chaltaa Tou Bichhar Jaataa,Ruktaa Tou Safar Jaataa

                            MaiN Shehr Ki Rounaq Mein, Gum Ho K Bohot Khush Thaa
                            Ik Shaam Bachaa Laitaa, Ik Roz Tou Ghhar Jaataa

                            Mehroom Fazaaoun Mein,Mayuus Nazaron Mein
                            Tum AZM Naheen Tehrey, Main Kaise Tehar Jaataa
                            __________________________________________

                            :phool:Comments & Sharing r wellcome:salam:

                            Comment

                            • #29

                              Waah Jee
                              Bohat Umdah:rose
                              aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                              kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                              Comment

                              • #30
                                Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                                *Ussay Meri Chup Nay Rula Dia...
                                *Ussay Meri Chup Nay Rula Dia...

                                Usay apnay ferda ki fiker thi wo jo mera wakif-e-kaar tha
                                Wo jo us ki subh-e-urooj thi wohi mera wakt-e-zawaal tha

                                Kahan jaogay kahan aao gay mein ye pooch pooch ke thuk gaya
                                Wo jawaab mujh ko na de saka wo tow khud hee sarapa sawaal tha

                                Meri baat kaise wo maanta mera derd kaise wo jaanta
                                Wo tow khud fana ke safer mey tha usay rokna bhi mahaal tha

                                Wo jo us ke saamnay aagaya wohi roshni mey naha gaya
                                Ajab us ki hebat-e-ishq thi ajab us ka rung-e-jamaal tha

                                Dum-e-wapsi arey kya hua na wo roshni na wo taazgi
                                Wo sitara kaise bikhar gaya wo jo aap apni misaal tha

                                Wo mila tow sadiyon ke baad bhi mere lub pe koi gila na tha
                                Usay meri chup ne rula diya jisay guftugu mey kamal tha

                                Mere saath lug ke wo roo diya mujhe sirf itna hee keh saka
                                Jise janta tha mein zindagi wo tow mera wehm-o-khayaal tha

                                Comment

                                Working...
                                X