Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #91
    Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

    HaQeeqat hAi YaQeen Kar lO Main Us Ko BhOol Kar KhUsh hOn
    MOhabbat Mar ChUkki hAi Ab Main Us Ko BhOol Kar KhUsh hOn


    Badaltii rUtt Kii Wajah Sey tAbiyet Kuch BOjhal Sii hAi
    YOun Mera Haal Na POocho Main Us Ko BhOol Kar KhUsh hOn


    Meray Lehjey Par Mat ChOnko Merii AankhOun Mein Mat JhankO
    YOun Hairat Sey Na Dekho Main Us Ko BhOol Kar KhUsh hOn


    TUmhien Kya Weham hAi kyOun Raat Bhar Milney Nahi Aatien?
    Aey Meri Neend Kii PariyO Main Us Ko BhOol Kar KhUsh hOn


    Bhala kyOun Roz Bahaien AansOo kyOun Mujh Sey Milney Aatii hAin
    TUm Us Kii Yaad Sey Keh dO Main Us Ko BhOol Kar KhUsh hOn


    Udaasii Sarey Ghar Mein Phailtii jAtii hAi Gham Ban Kar
    Har Dewaar Par Likh dO Main Us Ko BhOol Kar KhUsh hOn
    :phool:___________________________________________ ___:phool:

    Comment


    • #92
      Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

      Originally posted by phonix_24 View Post
      Khan Jee Yeh Aap Ke Liye...Kese Hain Aap372-scare
      ___________________________________________
      Piyar ke deep jalane wale kuch kuch pagal hote hen,
      Apni jan jalane wale kuch kuch pagal hote hen,

      Hijir ke gahre zakham mile to mujh ko yeh ahisas huwa,
      Paagal ko samajne wale kuch kuch pagal hote hen,

      Is jhooti nagri men hum ne yehi hamesha dekha hai,
      Sachi baat batane wale kuch kuch pagal hote hen,

      Piyar jinhen ho jae un ko chain bhala kab ata he,
      Shab bhar ashk bahane wale kuch kuch pagal hote hen,

      Jan se piyaray logon se bhi kuch kuch parda lazin hai,
      Saari bat batanay wale kuch kuch pagal hote hen,

      Us ke ashkoon men bheeg ke aahy aahy haahy ham,

      hum ko yeh ehsas huwa, Dil ki nagri lutanay wale kuch kuch pagal hote heni
      Bohat Umdah & m fi9 & thnx
      ye aapki ghazal ka jawaab:)


      Kuch khawaab hain jinko likhna hai
      tabeer ki sorat deni hai
      kuch loog hain ujray dil walay
      jinhain apni muhabbat deni hai
      kuch phool hain jin ko chunna hai
      aur yaad ki sorat deni hai
      kuch apni neendain baqi hain
      jinhain baantna hai kuch logon main
      unko bhe tu rahat deni hai
      aay umr-e-rawan.........aahista chal!!
      abhi khasa qarz chukana hai
      aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
      kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

      Comment


      • #93
        Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

        Aaj ashqoon ka taar toot gaya,
        Rishta_e_intzaar toot gaya,


        Yuun wo thukra ke chal diye goya,
        Ikk khilona thaa pyaar toot gaya,


        Roye reh reh kar hichkiyaan lekar,
        Saaz_e_gam baar baar toot gaya,


        Aap ki berukhi ka shikwa kya,
        Dil thaa na_paidaar toot gaya,


        Dekh lee dil ne besabati_e_gul,
        Phir tilism_e_bahar toot gaya,


        Kya chaar din ki ranjish se,
        Itni muddat ka payar toot gaya
        ___________________________
        Comments and Sharing...
        Khan Je aap ki Bari hai...Intazar rahe ga:phool:

        Comment


        • #94
          Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

          Originally posted by phonix_24 View Post
          Aaj ashqoon ka taar toot gaya,

          Rishta_e_intzaar toot gaya,


          Yuun wo thukra ke chal diye goya,
          Ikk khilona thaa pyaar toot gaya,


          Roye reh reh kar hichkiyaan lekar,
          Saaz_e_gam baar baar toot gaya,


          Aap ki berukhi ka shikwa kya,
          Dil thaa na_paidaar toot gaya,


          Dekh lee dil ne besabati_e_gul,
          Phir tilism_e_bahar toot gaya,


          Kya chaar din ki ranjish se,
          Itni muddat ka payar toot gaya
          ___________________________
          Comments and Sharing...

          Khan Je aap ki Bari hai...Intazar rahe ga:phool:
          Bohat Khoob:)
          aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
          kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

          Comment


          • #95
            Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

            Originally posted by khan khan View Post
            Bohat Umdah & m fi9 & thnx


            ye aapki ghazal ka jawaab:)


            Kuch khawaab hain jinko likhna hai
            tabeer ki sorat deni hai
            kuch loog hain ujray dil walay
            jinhain apni muhabbat deni hai
            kuch phool hain jin ko chunna hai
            aur yaad ki sorat deni hai
            kuch apni neendain baqi hain
            jinhain baantna hai kuch logon main
            unko bhe tu rahat deni hai
            aay umr-e-rawan.........aahista chal!!
            abhi khasa qarz chukana hai

            :jazak:Wah Je Wah Yeh Ghazal Meri aik Friend Ne PK main College main sunai thi aur kuch din pehle muje buhat yaad aai ghazal ki:wk...too main London se usko call ki aur kaha muje likh kar txt karoo. lakin usnne nahin ki372-scare....lakin aap ne likh di thanks...very nice one lakin maine next likh di hai...ab apki turn hai...
            Last edited by phonix_24; 31 January 2009, 21:12.

            Comment


            • #96
              Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

              Originally posted by phonix_24 View Post
              Aaj ashqoon ka taar toot gaya,

              Rishta_e_intzaar toot gaya,


              Yuun wo thukra ke chal diye goya,
              Ikk khilona thaa pyaar toot gaya,


              Roye reh reh kar hichkiyaan lekar,
              Saaz_e_gam baar baar toot gaya,


              Aap ki berukhi ka shikwa kya,
              Dil thaa na_paidaar toot gaya,


              Dekh lee dil ne besabati_e_gul,
              Phir tilism_e_bahar toot gaya,


              Kya chaar din ki ranjish se,
              Itni muddat ka payar toot gaya
              ___________________________
              Comments and Sharing...

              Khan Je aap ki Bari hai...Intazar rahe ga:phool:
              Koe dhundhla sa ek chehra meri aankhoun main rehta hai
              koe bhatka sa ek jugno meray khawaboun main rehta hai
              ek manous se aawaaz mujhay sonay nahi deti
              koe uljha sa ek jumla meri yadoun main rehta hai
              mujhay khud par nahi qabo na main kuch bool sakta hon
              asar ye kis k lafzoun ka meri batoun main rehta hai
              december ki khunk ratain mujhay be-chain rakhti hain
              lams ka ek haath ab tak meri sochoun main rehta hai
              hai dil bhe muztarib,ehsaas bhe,sochoun ki uljhan bhe
              ye kis ki aankh ka aanso meri aankhoun main rehta hai
              aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
              kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

              Comment


              • #97
                Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                khan sb aap jeet gai yahan akeele reh reh kar abb woh poetry yaad nahin hai lakin aap buhat ache zook ki malik hain...yeh sirf sirf aur sirf app k liye...

                Na Sawal Ban Kar Mila Karo
                Na Jawab Ban Kar Mila Karo
                Meri Zindgi Mere khuwaab Hain
                Mujhe khuwab Ban Kar Mila Karo

                Mujhe Achay Log Buhut Milay
                Mein To Unke Qarz Se Bhar Gaya
                Jo Ho Sakey To Kabhi kabhi
                To Kharab Ban Kar Mila Karo

                Abhi Sochna Hai To Soch Lo
                Abhi Chorna Hai To Chor Do
                Nae Mosmon Mein Milo Mujhe
                To Gulab Ban Kar Mila Karo

                Comment


                • #98
                  Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                  Originally posted by phonix_24 View Post
                  woh aye humare ghar main khuda ki qudrat hai

                  kabhi hum unko kabhi apne ghar ko dekhte hai


                  :salam:Hala Jee Buhat sukriaya aur aap ka reply per kar buhat acha laga. keep visiting...aur yeh thead main apka thread perh kar h start kiya. so aap inspration hain and u r always wellcome here for replies and sharing:welcome:
                  heheheh... wahi jab main first time yeah title latest post ... pe dekhi ..to yeahi sochi ko jaan phechaan ki thread and subject lag rahi hai :khi:
                  any wayz.. keep sharing .. we all are here for reading... :thmbup:
                  u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                  :pr:

                  Comment


                  • #99
                    Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                    Originally posted by *Hala* View Post
                    heheheh... wahi jab main first time yeah title latest post ... pe dekhi ..to yeahi sochi ko jaan phechaan ki thread and subject lag rahi hai :khi:
                    any wayz.. keep sharing .. we all are here for reading... :thmbup:

                    Hala jee aap ka intakhab buhat acha hai aur apki sharing ka muje too buhat intazar hai...
                    Last edited by phonix_24; 31 January 2009, 21:35.

                    Comment


                    • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                      Aaankhoun main baqi reh gaaey,ab teray khad-o-khaal se
                      lub pe hain kuch sawaal se,dil main hain kuch malaal se

                      tu jo gaya tu u laga,tanha hon kaa'enaat main
                      ratain thaki thaki meri,din bhe meray nidhaal se

                      tujh se hasen ghazal koe,mujh sa ghazal sara koe
                      duniya main ho agar kahen,waaze karo misaal se

                      mujhko hain kaam aur bhe,kuch tu karo mera khayaal
                      aatay ho jub khayaal main,jatay nahi khayaal se

                      itnay qareeb hon teray,rasta na weham ko milay
                      soo'oun teray hisaar main,jagoun teray jamaal se

                      us se gila aay dostoun,itna sa hai k wo mujhay
                      samjha nahi hai aaj tak,ghafil hai meray haal se
                      aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                      kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                      Comment


                      • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                        Originally posted by phonix_24 View Post
                        khan sb aap jeet gai yahan akeele reh reh kar abb woh poetry yaad nahin hai lakin aap buhat ache zook ki malik hain...yeh sirf sirf aur sirf app k liye...


                        Na Sawal Ban Kar Mila Karo
                        Na Jawab Ban Kar Mila Karo
                        Meri Zindgi Mere khuwaab Hain
                        Mujhe khuwab Ban Kar Mila Karo

                        Mujhe Achay Log Buhut Milay
                        Mein To Unke Qarz Se Bhar Gaya
                        Jo Ho Sakey To Kabhi kabhi
                        To Kharab Ban Kar Mila Karo

                        Abhi Sochna Hai To Soch Lo
                        Abhi Chorna Hai To Chor Do
                        Nae Mosmon Mein Milo Mujhe
                        To Gulab Ban Kar Mila Karo
                        hum yahan kise mouqaable main shareek nahi hain.es liye haar aur jeet ka sawaal he nahi.wo aap ne parha he ho ga na k
                        "if we both exchange 1 dollar,we both have 1 dollar each.
                        but if we exchange 1 gud thought,we both hve 2 gud thoughts"
                        tu koe competition nahi just achii sharing ko exchange karna hai:)
                        aur umdah intakhaab hai aapka.
                        aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                        kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                        Comment


                        • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                          Poochtay ho tu suno kaisay basar hoti hai
                          raat khairaat k sadqay ki sahar hoti hai

                          saans barhanay ko tu jena nahi kehtay YaaRub
                          dil he dukhta hai na ab aasteen tar hoti hai

                          jaisay jagi hoe aankhoun main chubhain kaanch k khwaab
                          raat es tarha dewanoun ki basar hoti hai

                          ghum he dushman hai mera ghum he ko dil dhoondhta hai
                          eak lamhay ki judai bhe agar hoti hai

                          eak markaz ki talaash ek bhataktii khushbo
                          kabhi manzil kabhi tamheed-e-safar hoti hai

                          Ghazal by Mena Kumari
                          aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                          kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                          Comment


                          • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                            Na wafaoun ki hai mehak yahan,na muhabbatoun ka gulaab hai
                            yahan umar gozray ge kis tarha, yahan saans lena azaab hai
                            kabhi loot letay hain dost he,kabhi meharbanoun k hain sitam
                            yahan kaisay jane kise ko hum,yahan sub k rukh pe naqaab hai
                            aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                            kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                            Comment


                            • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                              Originally posted by khan khan View Post
                              Poochtay ho tu suno kaisay basar hoti hai

                              raat khairaat k sadqay ki sahar hoti hai

                              saans barhanay ko tu jena nahi kehtay YaaRub
                              dil he dukhta hai na ab aasteen tar hoti hai

                              jaisay jagi hoe aankhoun main chubhain kaanch k khwaab
                              raat es tarha dewanoun ki basar hoti hai

                              ghum he dushman hai mera ghum he ko dil dhoondhta hai
                              eak lamhay ki judai bhe agar hoti hai

                              eak markaz ki talaash ek bhataktii khushbo
                              kabhi manzil kabhi tamheed-e-safar hoti hai


                              Ghazal by Mena Kumari

                              Originally posted by khan khan View Post
                              Na wafaoun ki hai mehak yahan,na muhabbatoun ka gulaab hai
                              yahan umar gozray ge kis tarha, yahan saans lena azaab hai
                              kabhi loot letay hain dost he,kabhi meharbanoun k hain sitam
                              yahan kaisay jane kise ko hum,yahan sub k rukh pe naqaab hai

                              Originally posted by khan khan View Post
                              hum yahan kise mouqaable main shareek nahi hain.es liye haar aur jeet ka sawaal he nahi.wo aap ne parha he ho ga na k

                              "if we both exchange 1 dollar,we both have 1 dollar each.
                              but if we exchange 1 gud thought,we both hve 2 gud thoughts"
                              tu koe competition nahi just achii sharing ko exchange karna hai:)

                              aur umdah intakhaab hai aapka.

                              Buhat Achi Poetry aur abb main really apki thoughts ka bhi fan ho gaya hon...buhat achi baat kahi aapne...lakin main bhi mouqabla nahin kar raha tha lakin aap ke jawab itne ache hote hain ke maine kaha aap jeet gai. buhat achi choice hai aap ki.

                              Comment


                              • Re: Poetry for Males & Female Both!!!(Daily Updated)

                                suno tum laut ao na
                                wo dekho chand nikla hai
                                sitare jagnagae hain
                                tumhari muntazir ankhen
                                duan mangti ankhen
                                tumhain wapis bulati hain
                                suno tum laut ao na
                                ye dil jab bhi dhadakta hai
                                tumhara nam leta hai khushi jo aye bhi
                                tumhare bin adhori hai
                                kay barish jab bhi hoti hai
                                tumhi ko yad karti hai
                                suno tum laut ao na
                                suno tum laut ao na

                                Comment

                                Working...
                                X