Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehafil kabhi aisi to na thi
le gayaa chheen ke kaun aaj tera sabr-o-qaraar
beqaraari tujhe ae dil kabhi aisi to na thi
chashm-e-qaatil meri dushman thi hamesha lekin
jaise ab ho gaee qaatil kabhi aisi to na thi
unn ki aankho'n ne KHUDA jaane kiya kya jaadu
ke tabiyat meri maa'il kabhi aisi to na thi
aks-e-rukh-e-yaar ne kis se hai tujhe chamkaaya
taab tujh mein maah-e-qaamil kabhi aisi to na thi
kya sabab tu jo bigadta hai "Zafar" se har baar
khu teri hoor-e-shamaa'il kabhi aisi to na thi.
[BAHADUR SHAH ZAFAR "ZAFAR"]

Comment