Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Jung Talti Rahe To Behtar Hai

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Jung Talti Rahe To Behtar Hai

    Jung talti rahe to behtar hai
    Poem by Sahir Ludhianvi

    Ae Sharif Insaanoen Khoon apna ho ya paraaya ho
    Nasl-e-adam ka khoon hai aakhir
    Jung mashriq mein ho ki magrib mein
    Amn-e-alam ka khoon hai aakhir
    Bomb gharoen par giren ya sarhad par
    Rooh-e-ta'amir jakhm khaati hai
    Khet apne jalein ki auroen ke Jis't faakoen se tilmilaati hai
    Tank aage badhe ki peeche hatein Kokh dharti ki baanjh hoti hai
    Fatah ka jash'n ho ki haar ka sog Jindegi mayatoen pe roti hai
    Jung to khud hi ek mash'ala hai Jung kya mash'aloen ka ha'l degi
    Aag aur khoon aaj bakhshegi Bhookh aur eh'tiyaj kal degi
    Is liye ae sharif insaanoen Jung talti rahe to behtar hai
    Aap aur hum sabhi ke aangan mein Shamaa jalti rahe to behtar hai
    Bartari ke suboot ki khaatir Khoon bahaana hi kya zaroori hai
    Ghar ki taarikiyan mitaane ko Ghar jalaana hi kya zaroori hai
    Jung ke aur bhi toh maidan hai Sirf maidaane kushtoen-khoon hi nahni
    Haasil-e-zindagi khi'rad bhi hai Haasil jindagi joonon hi nahni
    Aao is tirabakht duniya mein Fiqr ki roshni ko aam karein
    Aman ko jinse taqbiyat pahunche Aisi jung-oen ka ehtimam karen
    Jung, baha'sat se barbiriyat se Aman, tahaziboen irtika ke liye
    Jung, magr-afreen shiyasat se Aman, insaan ki baka ke liye
    Jung aflaas aur gulaami se Aman behtar nizm ke khaatir
    Jung, bhatki huyi qiyaadat se Aman, bewas aawam ke khaatir
    Jung sharmaaye ke tas'loot se Aman, jumhoor ki khooshi ke liye
    Jung, jungoen ke falsafe ke khilaaf Aman, pur'an jindagi ke liye
    Is liye ae sharif insaanoen Jung talti rahe to behtar hai
    Aap aur hum sabhi ke aangan mein Shamaa jalti rahe to behtar hai
    Bismillah-ur- Rahmaan-ur- Rahieem
    Asallam-o-Aallikum
    yeh bari khubsurat poem hai khas ker aaj kal jo India or Pakistan ki tension chal rahi.
    Please please please, people all Indian and Pakistanis kiya hum jung chahte hain nahi jung kisi masla ka hal nahi hai kiya kuch logoun kay khrab honay say hum sab buray hojate hain.
    Kiya hum eik nahi humari eik hi zameen nahi kiay humary emotions eik jaisay nahi sirf sarhadein dal denay say hum dusmun kyon hogai
    Think well humko eik dosray kay khilaf nahi balqay eik dosray kay sath milker terrorist kay khilaf larna hai
    Aun ka maqasd hi yehi hai kay India Pakistan kay bech peace nah ho yehi chahte hain who log kay hum apas mein larein aur who faida authaein.
    Mein yeh nahi kahoun gi kay I am Pakistani aur Indian first of all I am a human jo Mumbai mein howa hum sab buth dukh hai afsoos hai aap sab humarya apne hain we all are one.
    Nafratoun ko rokein Pyar phelien Ayien mil ker kaam karein
    حنا طاہر



  • #2
    Re: Jung Talti Rahe To Behtar Hai

    Buhat khoobsoorat POem ..
    Koi b jang nahi chhata magar kuch mafad parast

    Allah Taalah INN sab ko naiki ki hadayat de
    jo sirf zidd aur Anan k masaa`el ko issue bana k
    Masoom logoun ki janoun se kheltay hein

    Allah Hamein shar pasnad beyrooni aur androoni awamil se door rakhay ameen sum ameen

    Comment


    • #3
      Re: Jung Talti Rahe To Behtar Hai

      Originally posted by Gul View Post
      Buhat khoobsoorat POem ..
      Koi b jang nahi chhata magar kuch mafad parast

      Allah Taalah INN sab ko naiki ki hadayat de
      jo sirf zidd aur Anan k masaa`el ko issue bana k
      Masoom logoun ki janoun se kheltay hein

      Allah Hamein shar pasnad beyrooni aur androoni awamil se door rakhay ameen sum ameen
      well said sister :thmbup:
      buhat achi nazam hai

      aur jung tu aik laanat hai .... Allah Pak hame is se mehfooz farmyae :dua

      Comment


      • #4
        Re: Jung Talti Rahe To Behtar Hai

        Aasallam-o-Aalllikum,
        thank you for liking the poem aapki replies ka buht buht shukira sahi kaha hai aap logoun kay ALLAH tallah humein aisay tamam logoun say bachai apnay mafad kay liye jo bay gunah logoun ko marte hain aur islam ko bad naam ker rahay hain.
        حنا طاہر


        Comment


        • #5
          Re: Jung Talti Rahe To Behtar Hai

          so nice.................

          Comment


          • #6
            Re: Jung Talti Rahe To Behtar Hai

            Buhat khoobsoorat Poem TFS :lpop:

            Comment

            Working...
            X