Jung talti rahe to behtar hai
Poem by Sahir Ludhianvi
Ae Sharif Insaanoen Khoon apna ho ya paraaya ho
Nasl-e-adam ka khoon hai aakhir
Jung mashriq mein ho ki magrib mein
Amn-e-alam ka khoon hai aakhir
Bomb gharoen par giren ya sarhad par
Rooh-e-ta'amir jakhm khaati hai
Khet apne jalein ki auroen ke Jis't faakoen se tilmilaati hai
Tank aage badhe ki peeche hatein Kokh dharti ki baanjh hoti hai
Fatah ka jash'n ho ki haar ka sog Jindegi mayatoen pe roti hai
Jung to khud hi ek mash'ala hai Jung kya mash'aloen ka ha'l degi
Aag aur khoon aaj bakhshegi Bhookh aur eh'tiyaj kal degi
Is liye ae sharif insaanoen Jung talti rahe to behtar hai
Aap aur hum sabhi ke aangan mein Shamaa jalti rahe to behtar hai
Bartari ke suboot ki khaatir Khoon bahaana hi kya zaroori hai
Ghar ki taarikiyan mitaane ko Ghar jalaana hi kya zaroori hai
Jung ke aur bhi toh maidan hai Sirf maidaane kushtoen-khoon hi nahni
Haasil-e-zindagi khi'rad bhi hai Haasil jindagi joonon hi nahni
Aao is tirabakht duniya mein Fiqr ki roshni ko aam karein
Aman ko jinse taqbiyat pahunche Aisi jung-oen ka ehtimam karen
Jung, baha'sat se barbiriyat se Aman, tahaziboen irtika ke liye
Jung, magr-afreen shiyasat se Aman, insaan ki baka ke liye
Jung aflaas aur gulaami se Aman behtar nizm ke khaatir
Jung, bhatki huyi qiyaadat se Aman, bewas aawam ke khaatir
Jung sharmaaye ke tas'loot se Aman, jumhoor ki khooshi ke liye
Jung, jungoen ke falsafe ke khilaaf Aman, pur'an jindagi ke liye
Is liye ae sharif insaanoen Jung talti rahe to behtar hai
Aap aur hum sabhi ke aangan mein Shamaa jalti rahe to behtar hai
Bismillah-ur- Rahmaan-ur- Rahieem
Asallam-o-Aallikum
yeh bari khubsurat poem hai khas ker aaj kal jo India or Pakistan ki tension chal rahi.
Please please please, people all Indian and Pakistanis kiya hum jung chahte hain nahi jung kisi masla ka hal nahi hai kiya kuch logoun kay khrab honay say hum sab buray hojate hain.
Kiya hum eik nahi humari eik hi zameen nahi kiay humary emotions eik jaisay nahi sirf sarhadein dal denay say hum dusmun kyon hogai
Think well humko eik dosray kay khilaf nahi balqay eik dosray kay sath milker terrorist kay khilaf larna hai
Aun ka maqasd hi yehi hai kay India Pakistan kay bech peace nah ho yehi chahte hain who log kay hum apas mein larein aur who faida authaein.
Mein yeh nahi kahoun gi kay I am Pakistani aur Indian first of all I am a human jo Mumbai mein howa hum sab buth dukh hai afsoos hai aap sab humarya apne hain we all are one.
Nafratoun ko rokein Pyar phelien Ayien mil ker kaam karein
Comment