Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
~ * Khan ki Pasand * ~
Collapse
X
-
Re: ~ * Khan ki Pasand * ~
Tum muhabbat bhe mousam ki tarha nibhate ho
kabhi baraste ho kabhi ek boond ko tarsate ho
pal main kehte ho zamane main faqat teray hain
pal main izhaar-e-muhabbat se mukar jate ho
bhari mehfil main dushmano ki tarha milte ho
aur duaaoun main mera naam liye jate ho
dayaar-e-ghair main mujhko talaash karte ho
milon tu pass se chop chaap gozar jate ho
laakh mousam ki tarha rang badalte raho
aaj bhe toot k shiddat se hamain chahtay hoaay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
kia tujhay koe kaam kaaj nahi!
Comment
-
Re: ~ * Khan ki Pasand * ~
Dil k ufaq main ghom shoda sitara mil jaey
shab-e-gham main koe jenay ka eshara mil jaey
wo jo ek shaks bohat kam hai muyassar ham ko
aarzo hai k kise rooz wo sara mil jaey
aain mumkin hai k tabeer bhe ek jaise ho
teray khawaboun se agar khawaab hamara mil jaey
usay kehna wo mulaqaat adhori thi hamari
usay kehna k kabhi aa k doubara mil jaeyaay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
kia tujhay koe kaam kaaj nahi!
Comment
-
Re: ~ * Khan ki Pasand * ~
Eak dewana ye kehte hoey hansta jata
kaash manzil se bhe aagay koe rasta jata
aay meray abar gorezan meri aankhoun ki tarha
gar barasna he tujhay tha to barasta jata
aaj tak yad hai izhaar-e-muhabbat ka wo pal
k meri baat ki luknat pe wo hansta jata
itne mehdood karam to taghaful behtar
gar tarasna he mujhe tha to tarasta jataaay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
kia tujhay koe kaam kaaj nahi!
Comment
Comment