Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

mere agaoN ke ek shaa'ir kaa ustaadaanah kalaam...ZAROOR paRhiye, shukria

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • mere agaoN ke ek shaa'ir kaa ustaadaanah kalaam...ZAROOR paRhiye, shukria

    salaam dosto,

    aaj maiN apne gaaoN ke ek aise shaa'ir kaa kalaam pesh karne kii jasaarat kar rahaa huN jo gumnaam rahe magar soHbat urdu shaa'irii ke 'azeem sho'araa kii uThaaii...vo kisi qeemat par un isaatizah se kamtar na the. un maaya-e-naaz sho'araa meN Jigar Muradabadi, maulvii AsGhar Husain "AsGhar"n GonDvii, Firaaq Gorakhpurii, Harvansh Rai Bachchan, Hasrat Jaipurii, MajrooH Sultanpurii aur Saojini Naidu jaise naamvar shaKhsiyaat ke ismaa-e-giraamii shaamil haiN.

    unkaa ism-e-mubaarak thaa...Tufail Ahmad "Shamimi" jinkii vafaat-e-naa_gahaaN 1950 meN ek car ke Haadise men qabl az waqt waaq'e huii. :(

    ab aap is Ghazal ko mulaaHizah farmaaiye jo bahr-e-sanglaaKh meN hai:



    1.
    tirii baaNsurii kii sureelii lai miraa hosh uRaa ke chalii gaii
    Gham-e-dil kii aaNkh zaraa lagii thii k phir jagaa ke chalii gaii

    2.
    tire noor-o-rang meN maHv-o-gum vo suhaanii raat bahaar kii
    kabhii yaad aayii jo naa_gaahaN miraa dil dukhaa ke chalii gaii


    3.
    mire dil kii aaNkh bujhii huii, na vo dard hai na vo justujuu
    maiN tirii nazar ke nisaar yeh mujhe kia banaa ke chalii gaii

    4.
    na sharar, na barq, Haseen shab meN vo nakhatoN se lateef_tar
    mire soz-e-dil kii lapak thii yeh, jo mujhe jalaa ke chalii gaii


    5.
    tiraa vo lateef fusuuN-kada k guzar na naala na naGhme kaa
    mire zauq-e-deed kii be-kalii Gham-e-yaas uThaa ke chalii gaii
    Last edited by SherAli; 11 November 2008, 04:53.

    Fall view from inside my car
    near my work place :)

  • #2
    Re: mere agaoN ke ek shaa'ir kaa ustaadaanah kalaam...ZAROOR paRhiye, shukria

    mire dil kii aaNkh bujhii huii, na vo dard hai na vo justujuu
    maiN tirii nazar ke nisaar yeh mujhe kia banaa ke chalii gaii


    wow really nice sharing 2good

    Comment


    • #3
      Re: mere agaoN ke ek shaa'ir kaa ustaadaanah kalaam...ZAROOR paRhiye, shukria

      w.salam
      buht khubsurat lekha hai.
      per kuch mushkil alfaz ka samna hota hai apki shairy mein :)
      u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

      :pr:

      Comment


      • #4
        Re: mere agaoN ke ek shaa'ir kaa ustaadaanah kalaam...ZAROOR paRhiye, shukria

        Originally posted by <<Muqadas>> View Post
        mire dil kii aaNkh bujhii huii, na vo dard hai na vo justujuu
        maiN tirii nazar ke nisaar yeh mujhe kia banaa ke chalii gaii


        wow really nice sharing 2good
        shukria Muqaddas aapkaa k aapne Ghazal pasand kii aur apnii pasand ke she'r kii nishaan-dehii bhii kii...shukria :)

        Fall view from inside my car
        near my work place :)

        Comment


        • #5
          Re: mere agaoN ke ek shaa'ir kaa ustaadaanah kalaam...ZAROOR paRhiye, shukria

          Originally posted by *Hala* View Post
          w.salam
          buht khubsurat lekha hai.
          per kuch mushkil alfaz ka samna hota hai apki shairy mein :)
          salaam Sis...sab se pahle to yeh Ghazal me kii nai hai...me ke gaaoN ke ek uncle kii hai. sorry k aapko mushkil hotii hai par agar aapko koi help chaahiye to me ko bataaiyegaa...maiN help karne kii koshish karuuNgaa :) thankoo

          Fall view from inside my car
          near my work place :)

          Comment


          • #6
            Re: mere agaoN ke ek shaa'ir kaa ustaadaanah kalaam...ZAROOR paRhiye, shukria

            agar kisi dost kii nazar is par nahiiN paRii to ab dekh leN...shukria

            Fall view from inside my car
            near my work place :)

            Comment


            • #7
              Re: mere agaoN ke ek shaa'ir kaa ustaadaanah kalaam...ZAROOR paRhiye, shukria

              Originally posted by SherAli View Post
              agar kisi dost kii nazar is par nahiiN paRii to ab dekh leN...shukria

              kia dekh lain:donno:

              Comment


              • #8
                Re: mere agaoN ke ek shaa'ir kaa ustaadaanah kalaam...ZAROOR paRhiye, shukria

                w.salam
                buht khubsurat lekha hai.

                Comment


                • #9
                  Re: mere agaoN ke ek shaa'ir kaa ustaadaanah kalaam...ZAROOR paRhiye, shukria

                  Originally posted by <<Muqadas>> View Post
                  kia dekh lain:donno:
                  Ghazal par baba aur nahiin to kia me par hahaha

                  Fall view from inside my car
                  near my work place :)

                  Comment


                  • #10
                    Re: mere agaoN ke ek shaa'ir kaa ustaadaanah kalaam...ZAROOR paRhiye, shukria

                    Khoobsoorat !

                    Comment


                    • #11
                      Re: mere agaoN ke ek shaa'ir kaa ustaadaanah kalaam...ZAROOR paRhiye, shukria

                      Originally posted by Gul View Post
                      Khoobsoorat !
                      shukria Gul saaHiba :)

                      Fall view from inside my car
                      near my work place :)

                      Comment

                      Working...
                      X