salaam dosto,
aaj maiN apne gaaoN ke ek aise shaa'ir kaa kalaam pesh karne kii jasaarat kar rahaa huN jo gumnaam rahe magar soHbat urdu shaa'irii ke 'azeem sho'araa kii uThaaii...vo kisi qeemat par un isaatizah se kamtar na the. un maaya-e-naaz sho'araa meN Jigar Muradabadi, maulvii AsGhar Husain "AsGhar"n GonDvii, Firaaq Gorakhpurii, Harvansh Rai Bachchan, Hasrat Jaipurii, MajrooH Sultanpurii aur Saojini Naidu jaise naamvar shaKhsiyaat ke ismaa-e-giraamii shaamil haiN.
unkaa ism-e-mubaarak thaa...Tufail Ahmad "Shamimi" jinkii vafaat-e-naa_gahaaN 1950 meN ek car ke Haadise men qabl az waqt waaq'e huii. :(
ab aap is Ghazal ko mulaaHizah farmaaiye jo bahr-e-sanglaaKh meN hai:
1.
tirii baaNsurii kii sureelii lai miraa hosh uRaa ke chalii gaii
Gham-e-dil kii aaNkh zaraa lagii thii k phir jagaa ke chalii gaii
2.
tire noor-o-rang meN maHv-o-gum vo suhaanii raat bahaar kii
kabhii yaad aayii jo naa_gaahaN miraa dil dukhaa ke chalii gaii
3.
mire dil kii aaNkh bujhii huii, na vo dard hai na vo justujuu
maiN tirii nazar ke nisaar yeh mujhe kia banaa ke chalii gaii
4.
na sharar, na barq, Haseen shab meN vo nakhatoN se lateef_tar
mire soz-e-dil kii lapak thii yeh, jo mujhe jalaa ke chalii gaii
5.
tiraa vo lateef fusuuN-kada k guzar na naala na naGhme kaa
mire zauq-e-deed kii be-kalii Gham-e-yaas uThaa ke chalii gaii

Comment