Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~*Khurram's Collection*~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

    Dil k lut jane ka izhar zarori tu nahi,

    Ye tamasha sare bazar zarori tu nahi.

    Mujhe tha ishq teri roh se or ab bhi hai,

    Jism se ho koi sarokar zarori to nahi.

    Mai tujy toot k chahon tu meri fitrat hai,

    Tu bhi ho mera talabgar zarori tu nahi.

    Ae sitam kash zara jhaank meri ankho main,

    Muskara kar pyar ka izhar zarori to nahi..

    Comment


    • #77
      Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

      Dosron ko hamari sazaain na dey!~!

      Chandni raat ko bad_duaain na dey!~!

      Phool sey aashqi ka hunar sikh ley!

      Titliyaan khud rukaingi sadaain na dey!

      Sab gunaho ka iqraar karney lagey!

      Isqadar khubsurat saazian na dey!

      Motiyon ko chupha sipiyon ki tarah!!

      Bewafaaon ko apni wafaain na dey!

      Main bikhar jaaunga aansoun ki tarah!

      Is qadar pyar sey bad_duaain ne dey!

      Comment


      • #78
        Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

        Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak
        Jaate hue rota woh mujhe chorr gayi thi


        Armano ki Duniya ke anmol se sapne
        pal main woh mere saamne sab torr gayi thi


        Jaan deti thi meri her baat pe lekin yun hi
        Besabab Duniya se mera rukh morr gayi thi


        Din ki tanhayi ka gham, raaton ki uddasi hamraah
        Saare ghamon se rishta mera jorr gayi thi


        Aey kaaaaash koi jaa ke usse pooche
        Yahan kis ke sahare pe mujhe chor gayi thi..

        Comment


        • #79
          Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

          Na mil payenge is baat ka gam to nahi,
          aansoun ki keemat pani se kam to nahi,
          tumhe khone k dar se neend aati nahi,
          kahin is dar se tumhari bhi aankhen nam to nahi

          Comment


          • #80
            Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

            maangi yeh dua ki umar daraaz ho aapki,,
            khushiyon se bhari har baat ho aap ki
            phoolon se khili har raat ho aapki,
            ghamo ki naa ho aap per barsaat bhi kabhi

            Comment


            • #81
              Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~


              aao k zindage main hum phir say loat jain
              sab raanjishoon ko aoo ik bar bhool jain
              chand roza zindage main koi kis ka hoa haai
              aoo k phir say mil kar dunya naye baanain
              woh sab gillay shikway jo tum ko rahay thay mujh say
              aao k phir say mil k hum un ko bhool jain
              abhi kuch pal baqi hain mohaabbat k liye
              ik bar phir say mil k hum un ko jii hi jain !!!!

              Comment


              • #82
                Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                her Ahat Per Chonk Jane Ki Aadat Nahin Rahi Muj Main
                Kisi Se Chahe Jane Ki Chaht Nhain Rahi Muje Main

                Behti Jin Ankhon Se Ashkon Ki Nadiyan
                Ab Aik Ansu Aur Bahane Ki Himat Nahin Rahi Muj Main

                Jalti Thi Afftab Ki Tapish Bhi Jin Jazbat Se
                Pehle Jaise Jazbat Ki Hidat Nahin Rahi Muj Main

                Sameta Tha Jis Dill Main Awazon Ka Tufaan
                Ab Kisi Patte Ki Sasarhat Bhi Nahin Rahi Muj Main

                Jiya Kaise Ghaiyal Kiya Aye Be Wafe Tu Ne
                Wo Pehle Si Ab Shokh Muskarahat Nahin Rahi Muj Main..

                Comment


                • #83
                  Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~


                  jaanam tere liye hii darakta hai yai dil mera
                  tere bina koi nahein iss jahan mein mera

                  khamoshiyaan hii khamoshiyaan tamhaeyoon ka baseira
                  aee janne wale sun lee to hii to hai piyaar mera

                  kaise jeoon ga tere bin itna to batlaoo muj ko
                  kabi nahein jaee ga dil see khayal jaanam tera

                  Comment


                  • #84
                    Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                    fiker hai tumhri sanso ko meri
                    fiker hai tumhri her dherkan ko meri
                    kitni fiker hai kaise ham batai
                    ke bina tere nabz nahi chlti ye meri

                    kaha honge tum kis hal main tum honge?
                    tumhe honga ger koi gham tu kis se kahoge?
                    meri rooh ye poche ke tum kaise rahonge?
                    fiker hai tumhari her hasrat ko meri

                    hawa ka koi jhonka tumhe na sataye
                    maosam ka her sitam meri ouer aaye
                    rato ko meri tnhayi se milke
                    fiker hai tumhri her bato ko meri

                    kahi waqt ka koi lamha hame na bhola de
                    ye fasle sanam hamare jazbo ko na sola de
                    darta hai ye dil kahi tu na rothe
                    tera saath o SHOONA kabhi na chote
                    fiker hai tumhri her aarzo ko meri

                    fiker hai tumhri sanso ko meri
                    fiker hai tumhri her dherkan ko meri
                    kitni fiker hai kaise ham batai
                    ke bina tere nabz nahi chlti ye meri

                    Comment


                    • #85
                      Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                      itni kisi ki zindagi gum se bhari na ho
                      KIsi ki zindagi gum se bhari na ho
                      vo mout maangta ho magar mout bhi na ho
                      khanjar ke badle fool liye aaj vo mila
                      darta hu kahin chaal ye uski nayi na ho
                      bachchon ki mufalisi mein zeher maa ne de diya
                      akhbaar mein ab aisi khabar fhir chhapi na ho
                      aisi shama jalane ka kya faayida
                      jo jal rahi ho aur koi roshni na ho
                      har pal ye soch-soch ke neki kiya karte
                      jo saans le raha hu kahi akhiri na ho
                      kyu zindagi ko gark kiye ho junoon mein
                      rakho junoon utna ki vo khud khushi na ho
                      is baar jab bhi dharti pe aana aye
                      do check le ke aana bhale haath mein baansuri na ho

                      Comment


                      • #86
                        Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                        Hum apni wafawon ka sila kis say mangtay

                        Hum ba wafa thay lakin wafa kis say mangtay



                        Khud hee to kee thi hum nay apnay Rab say baghawat

                        Phir hum jo dua mangtay to kis say mangtay



                        Jo thay tabeeb dil k wo bhi dushman-e-jaan thay

                        Is dil kee dwa mangtay to kis say mangtay



                        Mahboob jo tha wo bhi to naraz tha hum say

                        kowi shokh ada mangtay to kis say mangtay



                        Jo waqt guzar jayee to wapis nahi ata

                        Wo waqt gya mangtay to kis say mangtay



                        Hum us kee justajoo main hua khud say bay ganay

                        Hum ghar ka pata mangtay to kis say mangtay.

                        Comment


                        • #87
                          Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                          Hawa ke rukh pe hum deep jala rahe hein
                          dushman e jaan ko jaan se qareeb laa rahe hein

                          jab se hey hum pe unki nazar e iltafaat
                          soghaatein hamare liye raqeeb laa rahe hein

                          sare e shaam ghar mein roshni ke liye
                          hum jalate hein dil woh deep jala rahe hein

                          dushmane jaan hi hey hamara maseiah yaaro
                          log kiun humare liye tabeeb bula rahe hein.

                          dekha aaj unko ghair se mehve guftagoo
                          socha tha kiya, kiya naseeb dikhla rahe hein

                          Comment


                          • #88
                            Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~


                            Muhabbat mein aazmaeish nahein ki jaati
                            isse nibhaney ki famaeish nahein ki jaati

                            Piyar mein aatey hein qaddam qaddam sakht muqam
                            dil ke zakhmon ki tu numeish nahein ki jaati

                            Hijjar mein jo milne lagge wassal ka lutff
                            tu phir milne ki khawaish nahein ki jaati

                            Aggar nah milna hi ho waqt ka taqqaza
                            esse mein tu milne ki laghzish nahein ki jaati

                            Khush naseebi se jo mill bethein do dil
                            tu zamane mein uski zaibaeish nahein ki jaati

                            Jin ko ho millna aur woh mill nah paein
                            dil se kabhi bhi woh hasarat-o-yaas nahein jaati

                            Piyaar tu hey muqaddron ka khel
                            jo nah mill sake piyar tu gujaresh nahein ki jaati

                            Comment


                            • #89
                              Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                              Ache insaan ho mareezon ka khyaal acha hai
                              Hum mar jaate hain tum kehte ho haal achaa hai

                              Tujhse maangun main tujhi ko ki sab kuch mil jaaye
                              Sau sawaalon se yehi ek sawaal acha hai

                              Dekh le bulbulo-parwana ki betaabi ko
                              Hijr acha na haseenon ka visaal acha hai

                              Aa gaya uska tassavur to pukaara ye shauk
                              Dil mein jam jaye ilaahi, ye khyaal acha hai

                              Comment


                              • #90
                                Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                                murjhaa ke kaalii jheel mein girte huye bhii dekh
                                suuraj huu.N meraa ra.ng magar din Dhale bhii dekh

                                kaaGaz kii katarane ko bhii kahate hai.n log phuul
                                rangon kaa aitabaar hii kyaa suuNgh ke bhii dekh

                                har chund raakh hoke bikharnaa hai raah mein
                                jalte huye paron se urraa huu.N mujhe bhii dekh

                                tuune kahaa na thaa ki mai.n kashtii pe bojh huu.N
                                aa.Nkho.n ko ab na Dhaa.Np mujhe Duubate bhii dekh

                                tuu hii barahanaa-paa nahii.n is jalatii ret par
                                talavo.n me.n jo havaa ke hai.n vo aabale bhii dekh

                                insaan naachtaa hai yahaa.N putaliyo.n ke ra.ng
                                duniyaa me.n aa gayaa hai to is ke maze bhii dekh

                                bichhatii thii.n jis kii raah me.n phuulo.n kii chaadare.n
                                ab us kii Khaak ghaas ke pairo.n tale bhii dekh

                                kyaa shaaKh-e-baa-samar hai jo taktaa hai farsh ko
                                nazare.n uThaa "KAIS}{" kabhii saamane bhi dekh a

                                Comment

                                Working...
                                X