Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Eshaa Ka Intikhaab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Ek Qita'a

    Shukriya pasand karnay ka ..
    sigpic

    Comment


    • #32
      Re: Ek Qita'a

      salam
      welldone :clap: .....jhumroo aap ki advice mainey note kar li hai aaenda aissa yunhee karoon gi ... aur juice aapko bhijwa doon gi ...theek hai ?
      Last edited by Eshaa Chaudhry; 8 February 2006, 06:15.
      sigpic

      Comment


      • #33
        koi baat aisi kiya karo

        salam

        Koi Baat Esi Kiya Karo,Koi Lafz Esa Kaha Karo
        Mile Jis Se Dil Ko Qaraar Sa, Koi Shair Esa Padha Karo


        Nahi Dukh Main Es KO Rakha Karo, Kabhie Sukh Bhi Esko Diya Karo
        Ye Udas Hai Kayi Roz Se, Mere Dil Main Aa Ke Raha Karo


        Jo Kathin Kathin Se Hain Raaste, Ye Sabhi Hain Kyon Mere Waaste
        Ye Jo Jal Raha Hoon Main Aag Main, Kabhie Tum Bhi Es Main Jala Karo


        Abhi Taq Tumhari He Aas Hai, Mere Dil Ke Ab Bhi Tu Paas Hai
        Hai Ye Dil TUmhare Hisaar Main, Ese Meri Jaan Rihaa Karo


        Mera Din Ho Ya Meri Raat Ho, Faqat Ek TUmhari He Baat Ho
        Abhi Jese Tum Mere Saath Ho, yunhi Mere Sath Raha Karo
        Last edited by Eshaa Chaudhry; 8 February 2006, 06:39.
        sigpic

        Comment


        • #34
          Re: Tazaad hota !!!!

          very nice Eshaa :) keep sharing :)
          Allah

          Comment


          • #35
            Re: Tazaad hota !!!!

            Originally posted by Yaaram
            very nice Eshaa :) keep sharing :)
            Yaaram pasand karany ka shukriya:)
            sigpic

            Comment


            • #36
              Re: koi baat aisi kiya karo

              nice shairing:phool:

              Comment


              • #37
                Re: koi baat aisi kiya karo

                pasand karnay ka Shukriya ummid :-)
                sigpic

                Comment


                • #38
                  Re: Jo Bhi dunya kahay is ko maan lena nahin.....

                  Shukriya saima ji:) and without soul
                  sigpic

                  Comment


                  • #39
                    Re: Jo Bhi dunya kahay is ko maan lena nahin.....

                    Assalam_o_alaikum bohat zabardast Eshaa

                    Comment


                    • #40
                      Re: Tazaad hota !!!!

                      very nice:)

                      Comment


                      • #41
                        Re: Tazaad hota !!!!

                        Assalaam-0-Alaikom:rose

                        achi hai lakin
                        For New Designers
                        وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                        Comment


                        • #42
                          Jo Tum Nay Thaan hee li hai!!!

                          Salam,
                          apni ek pasandeeda nazm share kar rahi hoon hope so pasand aaey ge aap sab ko:)

                          Jo tUmnay thaan hee li hai
                          k hamaray dil se niklo gay
                          To itna jaan lo pyaray
                          Samandar saamnay hoga agar saahil se niklo gay!
                          Sitaray, jin ki aankhon nay hamein ek saath dekha tha
                          gawahee denay aaen gay!
                          Puranay kaghazon ki balcony se bohat se lafz jhankein gay
                          Tumhein waapis bulaen gay!
                          Kaeey waaday, fasadee qarz khawahon ki tarha raastay mein rokein gay
                          Tumhein daman se pakrein gay
                          Tumhare jaan khaen gay!!
                          Chupa kar kis tarha chehra
                          bhari mehfil se niklo gay!
                          Zara phir soch lo jana,
                          Nikal to jaao gay shayad
                          Magar mushkil se niklo gay!!
                          sigpic

                          Comment


                          • #43
                            Meri pasand

                            Salam,
                            Kuuch mere pasand PG friends ki nazar.......

                            Jo utar ke ziinaa-e-shaam se teri chashm-e-Khush me.n samaa gaye
                            Yahi jalate bujhte se mahar-o-maah mere baam-o-dar ko sajaa gaye

                            Ye ajiib khel hai ishq kaa mai.n ne aap dekhaa ye mojezaa
                            Wo jo lafz mere gumaa.N me.n the vo terii zubaa.N par aa gaye

                            Wo jo giit tum ne sunaa nahii.n merii umr bhar kaa riyaaz thaa
                            Mere dard kii thii daastaa.N jise tum ha.Nsii me.n u.Daa gaye

                            Wo chiraG-e-jaa.N kabhi jis kii lau na kisi hava se niguu.N huii
                            Terii bevafaa_ii ke vaasavaa use chupake chupake bujhaa gaye

                            Wo thaa chaa.Nd shaam-e-visaal kaa ke thaa ruup tere jamaal kaa
                            Merii ruuh se merii aa.Nkh tak kisii raushanii me.n nahaa gaye

                            Yjo bandagaan-e-niyaaz hai ye tamaam hai vo lash_karii
                            Jinhe.n zindagii ne aman na dii to tere huzuur me.n aa gaye

                            Terii beruKhii ke dayaar me.n mai.n havaa ke saath havaa huaa
                            Tere aa_iine kii talaash me.n mere Khvaab cheharaa ga.Nvaa gaye

                            Tere vaasavaao.n ke fishar me.n teraa sharar-e-rang uja.D gayaa
                            Merii Khvaahisho.n ke Gubaar me.n mere maah-o-saal-e-vafaa gaye

                            Wo ajiib phuul se lafz the tere ho.nTh jin se mahak uThe
                            Mere dasht-e-Khvaab me.n duur tak ko_ii baaG jaise lagaa gaye

                            Merii umr se na simaT sake mere dil me.n itane savaal the
                            Tere paas jitane javaab the terii ik nigaah me.n aa gaye





                            ~~~HUM KOI NIRALAY TO NAHIN~~~
                            Hum koi jug se niralay to nahin hein logo
                            hum bhi uss daur mein jetey thay jahan
                            titlian phool hein aur khwab hein aiwanon mein
                            shehr humko bhi muqaddar mein mila hai jis mein
                            dharkanein gum hein aur ik shoar se hoo ka alam
                            hum bhi uss ghar ke makeen hein jis mein
                            waqt ko kaat'te bujh jati hai iss umr ki lau
                            aik bemasraf-o-gumnaam iraday ki terhan
                            hum bhi logon ki terhan hein ke hamein
                            dukh chupana bhi hai hansna sar-e-bazar bhi hai
                            hum pe bhi ehd-e-jawani ka azab utra hai
                            humnay bhi duur kisi shehr mein hanstay huey
                            bastay huey ik shakhs ko chaha hai bohat
                            in hawaon ko sada jana hai
                            jaise uss shehr se paigham-e-wafa laai hein
                            dharkanein ankh ka ansoo too nahin hein laikin
                            hum nay gin gin ke ganwai hein kisi shakhs ke naam
                            hum niralay hi too hein...........
                            humnay iss gham ko gham-e-jaan sa bana rakha hai
                            umr jis mein na koi aas na ansoo na hansee
                            humnay uss umr ka afsana bana rakha hai!




                            ~~~~~~~~Badal Main AUr TUm~~~~
                            Baadal ke or behar ke rishte ajeeb hain!
                            kali ghata ke dosh per barfon ka rakht hai
                            jitne zameen pe behtai hain dariiya, sabhi karukh
                            ik behar be kinaar ki manzil ki simt hai

                            khuaabon main aik bheegi hui khush dili ke saath
                            milti hai aashna se koi ajnabi si moj
                            baadal bhanwer ke haath se laite hain apna rizq
                            phir us ko bant'te hain ajab be rukhi ke saath

                            jangal main, sehan baagh, main shehron main dasht main
                            chashmon main, aabshaar main,jheelon ke tasht main
                            gahe ye oss ban sanwerte hain berg berg
                            gahe kisi ki aankh main bherte hain is tarah
                            aansoo ki aik boond main dajla dikhaai de
                            or doosray hi pal main jo dekhon to door tak
                            raig-e-rawan-e-rawan-e-dard ka sehra dikhaai de!

                            baadal ke or behr ke jitne hain silsilay
                            mujh se bhi teri aankh ke rishte, wohi to hain!!




                            ~~~~~Mohabbat Ki Hai~~~~~~
                            Teray ikhlaas say mohabbat ki hay
                            teray ehsaas say mohabbat ki hay
                            tu meray paas nahin phir bhi
                            teri yaad say mohabbat ki hay
                            main tumko kis tarah bhool sakta hoon
                            main nay teray oasaaf say mohabbat ki hay
                            kabhi tu nay bhi mujhey yaad kia hoga
                            main nay un lamhaat say mohabbat ki hay
                            jin main houn sirf teri or meri baatain
                            main nay un oaqaat say mohabbat ki hay~!!




                            Kabhi Tum Nay Ye bhi Socha
                            Kabhi tum ney yeh bhi souchaa
                            Ke tumhaarey dil-giriftaa
                            Tumhein kitnaa chahtey hei'n
                            Tumhein zindagee sey barh ker
                            Joo aziz ham ney jaana
                            Safar koi sabab tou ho gaa
                            Kabhi tum ney yeh bhi souchaa
                            Ke tumhaarey dil-giriftaa
                            Pas-e-Baam-o-dar akailey
                            Kisi shamma-soukhtaa sey
                            Yeh joo ker rahey hein baatei'n
                            Tumhein kitnaa chahtey hei'n
                            Tumhein rouz-o-shab kay dukhh mei'n
                            Kabhi bhoolna bhi chaahei'n
                            Tou kabhi na bhool paai'n
                            Ke yeh aihd-e-zindagee hai
                            Jissey tourna bhi chahein
                            Tou kabhi na tour paai'n..!!!





                            ~~~Tumhein Hum Yaad Karte hain~~~
                            Suno jana
                            bhut hi bay sukooni hai hamari zaat k andar
                            bhut masroof rehna par raha hai
                            bhut se kaam hain
                            jo apne zimmay le rakhe ham ne
                            magar sare jhameloon mein
                            tumhari yaad ka woh ik jugnoo , ab bhi chamke to
                            yeh ankhein bheeg jati hain
                            tumhari yaad k roshan sitaray timtimatay hain
                            to dil kuch bojh sa jata hai
                            mein sab kuch chor k
                            woh ik jugnoo ik tara
                            hatheli mein daba k
                            hawa k sang apne sare dukh bant ata hon
                            hawa ko sab pata hai
                            mere dil ki khabar hai
                            meri palkoon k ansoo
                            jazb kar k nam si hoti hai
                            suno janaa
                            bhut hi bay sukooni hai hamari zaat k andar
                            likin !!!
                            tumhein ham yaad karte hain.





                            ~~~Kis Tarha Sajatay Ho~~~~~~
                            Kis Tarhaan Sajaatay Ho
                            Maslehat Ki Shaamon Main
                            Mehfilain Muhabat Ki
                            Aur Mohabatain Bhi Wo
                            Saal Bhar Mehak JinKi
                            Dil Ki Saari Galiyoon Main
                            Raqs Karti Phirti Hain

                            Kis Tarhaan Sajaatay Ho
                            Andhion Kay Mausam Main
                            Tum Deeyay Rafaqat Kay
                            TumJo Payaar Ki Dolat
                            Apnay Dil Kay Haatoon Say
                            KhushBoowon Ki Baaton Say
                            IsTarhaan Lutaatay Ho
                            JisTarhaan Koi Jugnoo
                            Shab Kay RaigZaaroon Par
                            Roshni Lutaata Hai
                            TumJo Habs Mausam Main
                            Ik Hawaa Ka Jhonka Ho
                            Kis Taraah Sajaatay Ho
                            Maslehat Ki Shaamoon Main
                            Mehfilain Muhabat Ki

                            Kuchh Humain Bhi Batlaao
                            Kuchh Humain Bhi Sikhlao
                            Hum To Apnay Sehraa Kay
                            Be-Nawaa Musaafir Hain
                            Hum Tumhaaray Jazboon Ki
                            Naik Si Fizaaoon Main
                            Phool Jaisay Geetoon Ki
                            Raqs Karti Khushboo Kay
                            Be-Qaraar Shaayar Hain.






                            ~~~~Batein Us KI~~~~

                            Chehra mera tha nigahein us ki
                            Khamshi may bhi wo batien us ki


                            Meray cheray pay gazal likhti gaey
                            Shair kehti hui ankheen us ki


                            Shokh lamhoo ka patta denay lagey
                            Taiz hoti hui sansay us ki


                            Aisay musam bhi guzaray hum nay
                            Subhein jab apni thi shamein us ki


                            Dheyaan may us kay yeh alaam that kabhi
                            Ankh mehtab ki yadeen us ki


                            Faisla maujh-e-hawa nay likha
                            Andhyaan mere baharein us ki


                            Khud pay bhi khulti na ho jis ki nazar
                            Janta kaun zubanein us ki


                            Neend us ki soch say tuti aksar
                            Kis tarha kat-ti hain rateen us ki


                            Duur reh kar bhi sada rehti hai
                            Mujh ko thamay huaay bahein us ki





                            ~~~~KAbhi Yaad AAo TO~~~
                            Kabhi yaad ao tou is tarah
                            K laho ki saari tamazatain
                            tumhain dhoop dhoop samet lain
                            tumhain hurf hurf main soch lain

                            Kabhi yaad ao tou is tarah
                            k dil-o-nazar main utar sako
                            kabhi yaad se jesay junoon berhay
                            tou awaaz ban k bikhar sako

                            kabhi yaad ao tou is tarah
                            kabhi khul sako shab-e-wasal main
                            kabhi khoon-e-dil main dorr sako
                            sar-e-reh guzar jo milo kabhi
                            na teher sako na guzar sako

                            mera dard phir se ghazal banay
                            kabhi gungunao to is tarah
                            neray zakhm phir se ghulab hon
                            kabhi muskorao tou is tarah
                            meri dharkanain bhi laraz uthain
                            kabhi chot khao tou is tarah

                            jo nahi tou phir baray shouq se
                            sab raabtay sabhi zaabtay
                            kabhi dhoop cha'oon main torr do
                            na shikasta dil ka sitam saho
                            na sono kisi ka azaab-e-jaa'n
                            na kisi se apni khalish kaho
                            yu'n khush khush phiro yu'n khush raho

                            na ujarr sakain na sanwar sakain
                            kabhi dil dokhao tou is tarah
                            na simat sakain na bikhar sakain
                            kabhi bhool jao tou is tarah kisi torr jaan se guzar sakain
                            kabhi yaad ao tou is tarah....






                            ~~~~~~ZINDAGI SE DARTAY HO~~~
                            Zindagii se Dartey ho
                            Zindagii to tum bhi ho, Zindagii to hum bhi hain
                            Aadami se Dartay ho
                            Aadami to tum bhi ho ,Aadami to hum bhi hain
                            Aadami zubaan bhi hai, Aadami bayaan bhi hai
                            Is se tum nahin Darte
                            Harf aur maani ke rishte haaye aahan se aadmi hai vaabasta
                            Aadmi ke daaman se zindagi hai vaabasta
                            Is se tum nahin Dartay
                            Jo abhi aaeey nahin us ghari se Dartay ho
                            Us ghari ke aanay ki aagahee se Dartay ho
                            Pehle bhi to guzray hain
                            Daur Naar-saai k, beriyaa Khudai k

                            Phir bhi ye samajhtay ho, hech aazarumandi
                            Tum yahi samajhtay ho, tum magar ye kya jaano

                            Lab agar nahin hilte haath jaag uth-te hain
                            Haath jaag uthte hain raah ka nishaan ban kar
                            Noor ki zubaan ban kar
                            Haath bol uthte hain subah ki azaan ban kar
                            Roshni se Dartay ho
                            Roshni to tum bhi ho, Roshni to ham bhi hain
                            Shehar ki faseelon par
                            Dev ka jo saayaa tha, paak ho gaya aakhir
                            az_dahaam-e-afsaan se fard ki nava aaeey

                            Zaat ki sada aai
                            Raah-e-shauq mein jaise raah_ravi Khoon lapke
                            Eik naya junoon lapke
                            Aadmi chhalak uthe
                            Aadami hansey dekho, shehar phir base dekho
                            Tum abhi se Darte ho
                            Haan abhi to tum bhi ho, haan abhi to ham bhi hain
                            Tum abhi se Dartey ho.





                            ~~~~~EK khaab hai ~~~~
                            Meri zindagi main bus
                            ik kitaab hay
                            ik charaagh hay
                            ik khuwaab hay
                            or tum hou
                            yeh kitaab-o-khuwaab k darmiyaan jo manzilain hain
                            main chahta tha
                            tumhaarey saath basar karoon
                            yehi kul asasa-e-zindagi hay
                            isi ko zaad-e-safar karoon
                            kisi aur simt nazar karoon tou
                            meri dua main asar naa hou
                            meray dil ke jaada-e-khush khabar pay
                            bajuz tumhaarey kabhi kisi ka guzar naa hou
                            isi ehtiyaat main saari umr guzar gayi
                            woh jo aarzoo thi kitaab-o-khuwaab k saath
                            tum bhi shareek ho wohi murgayi
                            isi kashmakash nay kayeen sawaal uthayey hain
                            woh sawaal jin ka jawaab meri kitaab main hay na khuwaab main
                            meray dil ke jaada-e-khush khabar ke rafeeq
                            tum hee batao phir ke yeh kaarobaar-e-hayaat kis ke hisaab main
                            Meri zindagi main bus ik kitaab ik charaagh hay
                            Aik khuwaab hay or Tum hou!!






                            ~~~~Khahish~~~
                            Koi mujhko mera bharpoor saraapa ladey
                            Mere baazoo meri aankhen mera chehra la dey

                            Aisa dariya jo kisi aur samandar mai girey
                            Is se behter hai ke mujhko mera sehra la dey

                            Kuchh nahee chahiye tujh se meri ai umr-e-rawan
                            Mera bachpan mere jugnoo meri gudia laa dey

                            Jiski aankhen mujhe ander se bhi padh sakti hon
                            Koi chehra to mere sheher mai aisa la dey

                            Kishti-e-jaan to bhanwar mai hai kai barson se
                            Aey Khuda ab to dubo dey ya kinara la dey







                            ~~~KABHI YUN BHI AA ~~~~
                            Kabhi yun bhi aa meri aankh main ki meri nazar ko khabar na ho
                            Mujhe ek rat navaz de,magar uske bad sahar na ho

                            Wo badaa rahim-o-karim hai mujhe ye sifat bhi ataa kare
                            tujhe bhulne ki dua karoon, to meri dua main asar na ho

                            Mere bazuon main thaki-thaki, abhi mahv-e-khwab hai chandani
                            Na uthe sitaron ki palki, abhi aahton ka guzar na ho

                            Ye ghazal ki jaise hiran ki aankh main, pichhali rat ki chandni
                            Na bujhe kharabe ki raoshani,kabhi becharagh ye ghar na ho

                            Kabhi din ki dhoop main jhoom ke,kabhi shab ke phool ko choom ke
                            Yun hi sath-sath chalen sada,kabhi khatm apna safar na ho.







                            ~~~~~EK BAAR PHIR AJNABI HO JAEN~~~~
                            Chalo ek baar phir say ajnabi ban jain hum dono,
                            Na main tum say umeed rakhoon dil nawazi kee,
                            Na tum meri taraf daikho ghalat andaaz nazron say,
                            Na meray dil kee dharkan larkaray Teri baaton say,
                            Na zahir ho tumhari kashmakash ka raaz nazron say.
                            Tumhain Bhi koi Uljhan roktee hai paish qadmi say,
                            Mujhey bhi log kehtay hain yeh jalway para-ay hain.
                            Meray humrah bhi ruswa-e-yan hain meray maazi kee,
                            Tumharay saath bhi guzree huee raaton kay sa-ey hain.
                            Taruff rog ho jaey tau usska bhoolna behtar,
                            Taalluq bojhe ban jaey tau uska torna acha.
                            Woh afsaana jissay anjaam tak lana na ho mumkin,
                            Ussay ik khoobsoorat mor day kar chorna acha.
                            Chalo ik baar phir say ajnabi bun jain hum dono!!!



                            ~~Teri khushbu~~

                            Teri khushbu
                            hawa ke sabz daaman main basi
                            to soch ne aankhon main khuahish ke dareechay khol ker dil se kaha
                            Khuda shahid
                            ke hum ne aaj tak bichray huon ko phir kabhi miltay huay nahin dekha ,
                            mager hairat sama'at per ke aahat usi ki hai
                            jisae tum ne gunwaya tha
                            judaai ki hawa jis ke mehaktai jism ki khushbu se khali thi
                            jisay khone ka her lamha naye mausam ka haasil tha
                            sitaaray jis ki surat daikhne her shab nikalte hain
                            nizaaray haath malte hain
                            yakayak shehr ki galion main us ke naam ki khushbu uri main ne
                            rafaqat ke puraane lehjay main usay aawaz di
                            us ne mujhay dekha
                            mager us ki nigahon se faqat hairathaweeda thi
                            ke jaise poochta ho is takhatub ka sabab kia hai!
                            wohi chehra, wohi aankhain, wohi khush wuza'a paiker tha
                            ke jaisay maosmon ka ghun usay choonay se qasir ho!
                            main bacchay ki tarah shashader khara tha
                            us ne baalon ko jhatak ker DOOBTAY sooraj ko ghoora!
                            raastay ko aankh main tola , mujhay daikha
                            "safer lamba hai" wo bola,
                            meri manzil tumhari rehguzer se sainkron fersang aagay hai
                            Khuda hafiz!



                            ~~~~~KHWAB TOO JATAY HAIN~~~
                            khuab toot jatey hain
                            bheerh main zamaney ki haath choot jatey hain
                            dost'daar lehjey main silwatain si parti hain
                            ik zara si ranjish sey
                            shak ki zard tehni per phool badgumani key
                            is tarah sey khiltey hain
                            zindagi sey piyarey bhi
                            ajnabi sey lagtey hain,gher ban ke miltey hain
                            umer bher ki chahat ko aasra nahin milta
                            khamshi ke waqfon main
                            baat toot jati hai aur sira nahin milta
                            maazrat key lafzon ko roshni nahin milti
                            lazzat-e-pazirai phir kabhi nahi milti
                            phool rang wadon ki manzilain sukerhti hain
                            raah murhney lagti hai
                            bey rukhi key garey sey bey dili ki mitti sey
                            fasley ki eenton sey eent jurney lagti hai
                            khaak urhney lagti hai
                            khuab toot jatey hain
                            wahmon ke saaye sey umar bher ki mahnet ko
                            pal main loot jatey hain
                            ik zara si ranjish sey
                            saath toot jatey hain
                            bheerh main zamaney ki
                            haath choot jatey hain
                            khuab toot jatey hain ...


                            ~~~~KOI NAZM AISI LIKHOON~~~~
                            Koi nazm aise likhon kabhi
                            teri baat baat ki roshni
                            mere harf harf main bhar sakey
                            tere lams ki ye shaguftugi
                            mere jism o jaan main utar sakey
                            koi chaandni, kisi gahrey rang k raaz ki
                            mere rastoon main bikar sakey

                            Teri guftugu se banaoon main
                            koi dastan koi kahhashan
                            hoon mohabaton ki tamazateen bhi kamal tarah se mehrban
                            tere bazooN k hisar main
                            Tere pyr ki panahon main
                            teri justuju k chiragh ko sare shaam dil main jalaoon main
                            isi Jhilmilati si shaam main
                            likhoon nazm jo tera roop ho
                            kaheen sakht jaroon main aik dam jo chamak uthay
                            koi khushgawar si dhoop ho

                            jo wafa k taal k raQs ka
                            koi jeeta jagta sa Aks ho

                            koi nazm aise likhoon kabhi
                            k har aik lafz k haath main
                            tere naam key
                            tere harf taza kalam k
                            kai raaz hoon

                            jiheen munkashif bhi karoon agar
                            tu jahan e shair k baab main
                            mere dil main rakhi kitab main
                            tere chashm o lab bhi chamak uthaiyen
                            mujhe roshni ki fizaoon main kahen ghair laiyen

                            koi nazm aise likhoon kabhi.......





                            Last edited by Eshaa Chaudhry; 18 February 2006, 05:27.
                            sigpic

                            Comment


                            • #44
                              Re: Meri pasand

                              Ye ajiib khel hai ishq kaa mai.n ne aap dekhaa ye mojezaa
                              Wo jo lafz mere gumaa.N me.n the vo terii zubaa.N par aa gaye
                              eesha bohat umdah - Mujhey Amjad Islam bohat pasand hain bohat umdah aur dil ko chhu janey waley alfaaz sey shairi kartey hain. Thanks for beautiful collection :)
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment


                              • #45
                                Re: Meri pasand

                                Originally posted by Masood
                                eesha bohat umdah - Mujhey Amjad Islam bohat pasand hain bohat umdah aur dil ko chhu janey waley alfaaz sey shairi kartey hain. Thanks for beautiful collection :)
                                pasand karnay ka Shukriya Masood , Amjad Islam Amjad merey bhi pasandeeda shayar hain , sahi kaha aap nay k un likha kalam mann ko chhu jata hai.......:)
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X