Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Eshaa Ka Intikhaab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Aey Sitara-e-Shab-e-Zindagi

    Bohat achha intikhaab hai eesha - keep sharing :)
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #17
      MAin tujhey chahta nahin lekin!!!


      Main tujhey chahta nahin lekin
      Phir bhi jab tu pass nahin hoty
      Khud ko kitna Udaas pata hoon
      Gumm se apnay hawas pata hoon
      Janay kia dhunn samaeey rehty hai
      Dil se bhi guftugu nahin hoty
      Main tujhey chahta nahin lekin
      Phir bhi reh reh k mere kaano mein
      goonjti hai teree haseen aawaz
      Jesay naadeeda koi bajta saaz
      Her sada nagawar hoty hai
      Dil ki Dharkan bhi Baar hoty hai
      In sakoot aashna tarano mein
      Main tujhey chahta nahin lekin


      sigpic

      Comment


      • #18
        Jo Bhi dunya kahay is ko maan lena nahin.....

        Salam

        Haan,Suno Dosto!!!
        Jo bhi dunya kahay
        Us ko parkhay bina maan lena nahin
        Sari dunya ye kehtee hai
        Parbat pe charhnay ki nisbat uterna bohat sehal hai
        Kis tarha maan lein
        Tum ne dekha nahin!
        Sarfarazi ki dhunn mein koi aadmi
        Jab bulandi k raastay per chalta hai to
        saans tak theek karnay ko rukta nahin
        Aur usee shakhs ka
        Umr ki seerhiyon se utertay huey
        Paaon uthta nahin
        Is lieey dosto jo bhi dunya kahay
        Us ko parkhay bina, maan lena nahin
        Sari dunya ye kehty hai
        Asal safar to musaafir ki aankhon mein phela huaa khaab hai
        Kis tarha maan lein
        Tum nay dekha nahin
        Umr k is sarab-e-ajal khaiz mein
        Khaab to khaab hain
        Hum khuli aankhon se jo bhi kuch dekhtay hain hain
        Wo hota nahin
        Raastay k lieey(raastay ki tarha)
        Aadmi apnay khaabon ko bhi kaat detay hain lekin!!!
        Sulagta huaa raasta
        Phir bhi kat-ta nahin
        Is lieey dosto!
        Jo bhi dunya kahay
        Us ko parkhay bina, maan laina nahin
        Last edited by Eshaa Chaudhry; 27 January 2006, 23:12.
        sigpic

        Comment


        • #19
          Re: Jo Bhi dunya kahay is ko maan lena nahin.....

          Bohat umdah thanx for sharing Eshaa and keep sharing :)
          Allah

          Comment


          • #20
            Re: MAin tujhey chahta nahin lekin!!!

            Bohat sada aur umdah nazm hay ......thanx for sharing :)
            Allah

            Comment


            • #21
              Re: MAin tujhey chahta nahin lekin!!!

              salam
              pasand karany ka shukriya .......:)
              Last edited by Eshaa Chaudhry; 28 January 2006, 20:55.
              sigpic

              Comment


              • #22
                Re: Jo Bhi dunya kahay is ko maan lena nahin.....

                Salam .
                Thanks Alot .....
                sigpic

                Comment


                • #23
                  Re: Jo Bhi dunya kahay is ko maan lena nahin.....

                  Very nice sharing Eshaa :rose

                  keep sharing :)
                  sigpic

                  Comment


                  • #24
                    Re: MAin tujhey chahta nahin lekin!!!

                    Very nice :)
                    sigpic

                    Comment


                    • #25
                      Re: Jo Bhi dunya kahay is ko maan lena nahin.....


                      SO BEAUTIFUL SHARING

                      CHIPKOOOOOOOOOOOO

                      Comment


                      • #26
                        Re: MAin tujhey chahta nahin lekin!!!


                        WAHHHHHHHHHHHHHHHHHH

                        BOHT ZABARDAST

                        MAIN TUJHAY CHAHTA NAHI LEKIN
                        WAHHHHHHHHHHHHHHHHHH

                        CHIPKOOOOOOOOOOOO

                        Comment


                        • #27
                          Ek Qita'a

                          Salam,
                          Ek nazm ka kuch hissa pesh karty hoon Umeed hai pasand aaey ga....Mera fav: hai

                          "Wo Bhoolta hai Na dil mein utaarta hai mujhey
                          Hamesha maar mohabbat ki maarta hai mujhey
                          Main us ka lamha-e-mojood hoon magar wo shakhs
                          fazool waqt samajh k guzaarta hai mujhey"
                          sigpic

                          Comment


                          • #28
                            Re: Ek Qita'a

                            woah zaberdast foran apni dairy main notre kiya hain, thanxxxx
                            ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                            Comment


                            • #29
                              Re: Ek Qita'a

                              very nice keep sharing :)
                              Allah

                              Comment


                              • #30
                                Tazaad hota !!!!

                                Salam!!!

                                Ek aur nazam pesha-e-khidmat hai pegham members k lieey ...

                                Hum Aapas mein ishq kartay hain
                                magar tumharay aur meray darmiyaan
                                mohabbat ka nahin, gurez ka rishta hai
                                jo main chahta hoon, tum bhi wohee chahty ho
                                jo main nahin chahta, tum bhi wo nahin chahteen
                                is k bawajood jab hum qareeb aatay hain
                                to ek doosrey se mumasilat
                                hamein khaufzada kar dety hai
                                kaash tum wo na chahtay jo main chahta hoon
                                kaash main wo na chahta jo tum chahtay ho
                                mohabbat ka almiya ye nahin hai
                                k hum ek doosray se mukhtalif hain
                                ya gurez paa hain
                                mohabbat ka almiya ye hai
                                k hum ek doosrey se mumasilat rakhtay hain
                                qareeb aana chahtay hain
                                hum chhon k ek doosray ki tarha hain
                                is liey qareeb nahin aa saktay
                                kaash hum ek doosray ki tarha na hotay
                                aur ye tazaad
                                hamein ek doosray k saath jakar layta
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X