Nida faazli sahab ki ek ghazal :rose
jaage huye mile haiN, kabhi so rahe haiN hum
mausam badal rahe haiN basar ho rahe haiN hum
baithe hain dostoN mein zaroori haiN qehqahe
sab ko hansa rahe haiN magar ro rahe haiN hum
aankheiN kahiN, nigaah kahiN, dast-o-pa kahiN
kis se kaheiN ke dhoondo bahut kho rahe haiN hum
har subha phaink jati hai bistar pe koyi jism
ye kaun mar raha hai, kise dho rahe haiN hum
shayad kabhi ujaloN ke oonche darakht hoN
sadiyoN se aansuoN ki chamak bo rahe haiN hum

Comment