Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

sab ko hansa rahe haiN magar ro rahe haiN hum

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • sab ko hansa rahe haiN magar ro rahe haiN hum

    Nida faazli sahab ki ek ghazal :rose

    jaage huye mile haiN, kabhi so rahe haiN hum
    mausam badal rahe haiN basar ho rahe haiN hum


    baithe hain dostoN mein zaroori haiN qehqahe
    sab ko hansa rahe haiN magar ro rahe haiN hum


    aankheiN kahiN, nigaah kahiN, dast-o-pa kahiN
    kis se kaheiN ke dhoondo bahut kho rahe haiN hum


    har subha phaink jati hai bistar pe koyi jism
    ye kaun mar raha hai, kise dho rahe haiN hum


    shayad kabhi ujaloN ke oonche darakht hoN
    sadiyoN se aansuoN ki chamak bo rahe haiN hum

  • #2
    Re: sab ko hansa rahe haiN magar ro rahe haiN hum

    baithe hain dostoN mein zaroori haiN qehqahe
    sab ko hansa rahe haiN magar ro rahe haiN hum ...

    excellent...
    gr8...
    buhat aala
    Last edited by MeemSheenAlif; 5 April 2008, 14:31.

    Comment

    Working...
    X