Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

A'shaar Competition March

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: A'shaar Competition March

    nice competition......

    well here's my first post in the shairi section...hope u guyz like it



    Suno ae chara ghar mere
    mujhe padhna nahin aasaan



    faqat mehsoos kar laina
    mujhe tum ankahi batoon ke dhnudle se khayaloon main kati anmol raaton main


    Suno ae chara gar mere



    faqat tarteeb de laina
    mujhe tum apne seene ki loh e mehfooz pe kundah hijr ki dastanoon main



    mujhe, ae chaara gar mere
    ulfat' hoon
    faqat matam mera karna
    hathaili pe likhi berabt si tehreer ki talkhee ko padh padh k

    Last edited by baby_princess33; 13 March 2008, 20:00.

    Comment


    • #17
      Re: A'shaar Competition March

      Ek Nazm


      Tum apne ulfat se anjaan ho shayad jaan meri,
      Par hum apne aagaz pe ab tak fida haiN.



      Tum sochti hogi ke ye naa-vaaqfiyat kafi haiN hamse durr jaane ke liye,


      Ek hum hain ke inhe aapki ada samajh aas lagae baithe haiN.



      Gar ho fikrmand to mera haal parakh lo fir se,
      Har baar mujhse yun mere gam ki numaaish na hogii


      Comment


      • #18
        Re: A'shaar Competition March

        Walekam-Aslam Dear:)
        okay ji, hum zaroor participate karein gey:)

        Comment


        • #19
          Re: A'shaar Competition March

          ulfat kii naii manzil ko chalaa, tuu baaNhen Daal ke baaNhon men
          dil toDane vaale dekh ke chal, ham bhii to paDe hain raahon men

          kyaa kyaa na jafaayeN dil pe sahiin, par tum se koii shikavaa na kiyaa
          is jurm ko bhii shaamil kar lo, mere maasuum gunaahon men

          jahaaN chaaNdanii raaton men tum ne Khud hamase kiyaa iqaraar-e-vafaa
          phir aaj hain ham kyon begaane, terii beraham nigaahon men

          ham bhii hain vahin, tum bhii ho vahii, ye apanii apanii qismat hai
          tum khel rahe ho Khushiyon se, ham Duub gaye hain aahon men

          Comment


          • #20
            Re: A'shaar Competition March

            hmm mere taraf se

            Rasm-e-Ulfat he ijazat nahin dete Warna.
            Hum bhi tumin aesa bholin k sada yad karo.

            Comment


            • #21
              Re: A'shaar Competition March

              nice

              Comment


              • #22
                Re: A'shaar Competition March

                Originally posted by azeems View Post
                nice
                thanks

                Comment


                • #23
                  Re: A'shaar Competition March

                  Wha Kia baat hay

                  Comment


                  • #24
                    Re: A'shaar Competition March

                    Originally posted by meramobile View Post
                    Wha Kia baat hay
                    thanku

                    Comment


                    • #25
                      Re: A'shaar Competition March

                      cool

                      Comment


                      • #26
                        Re: A'shaar Competition March

                        nice

                        Comment


                        • #27
                          Re: A'shaar Competition March

                          My Second Entry

                          raaz-e-ulfat chhupaa ke dekh liyaa
                          dil bahut kuchh jalaa ke dekh liyaa.

                          vah mere ho ke bhii mere na hue
                          un ko apanaa banaa ke dekh liyaa.

                          aur kyaa dekhane ko baakii hai
                          aap se dil lagaa ke dekh liyaa.

                          faiz, taqamiiil-e-Gam bhii ho na sake
                          ishk ko aazamaa ke dekh liyaa

                          Comment


                          • #28
                            Re: A'shaar Competition March

                            Comment


                            • #29
                              Re: A'shaar Competition March

                              My 4th Entry

                              meri ulfat tere mayaar ki ho nahee sakti.
                              joo kasam khayee tune payar ki ho nahee sakti.
                              ishq karna ibadat jaan le tu e kamsin.
                              yeh she jhuut ke bazar ki hoo nahee sakti.

                              Comment


                              • #30
                                Re: A'shaar Competition March

                                My 5th & Last Entry.

                                Ulfat ka Jab Kisi ne Lia naam ro paray
                                Apni wafa ka soch kar Anjam Ro Paray

                                Har Sham ye Sawal Mohabat se kya mila
                                Har Sham ye jawab k Har sham ro Paray

                                Rah-e-Wafa Mein Hum Ko Khushi ki talash the
                                Do gham he chalay thay k Har Gham Ro Paray

                                Rona Naseeb mein ha tu auron se kiya Gilaa
                                Apnay he Sar Aa lia koi Ilzam Ro Paray.

                                Comment

                                Working...
                                X