Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

A'shaar Competition March

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • A'shaar Competition March

    Asalam-o-Alikum


    Kuch Late Ho Gay Lekin Aa hi Gay hain

    Is Baar Ka Lafz Hai Ulfat

    Koi Bhi Shair Ghazal Nazm Share Kijye Us main Maghar Ulfat Lafz Zaroor Ata ho


    Har Member 5 Entries Dey Sakhta hai Koshish Kijye Ga 5 Aghar Detay hain tu Aik hi Bar Main post Karein Alag Alag Nahin

    Last Date 30 March Hai Us Se Pehlay pehlay Apni Sharing Dey Dijye Ga :rose

    Khush Rahiye

    Wa.Salaam

    Koi Bhi Member Khud Ko Vote Ko Nahin Kar Sakhta Aisa Karney Ki Surat Main Vote Count Nahin Ho Ga
    11
    Musaddaq
    54.55%
    6
    Shummu
    0.00%
    0
    Sanam Khan
    0.00%
    0
    MSA
    9.09%
    1
    Wasi Anjum
    18.18%
    2
    Ameen Asim
    0.00%
    0
    Dil J@le
    0.00%
    0
    Baby Princess33
    0.00%
    0
    Baqar Kashmiri
    18.18%
    2
    Ali_Ch
    0.00%
    0
    Last edited by shummu; 7 April 2008, 13:06.
    Zindagi Thak Gaye ..!!

  • #2
    Re: A'shaar Competition March

    Originally posted by La'hasil View Post
    Asalam-o-Alikum



    Kuch Late Ho Gay Lekin Aa hi Gay hain

    Is Baar Ka Lafz Hai Ulfat

    Koi Bhi Shair Ghazal Nazm Share Kijye Us main Maghar Ulfat Lafz Zaroor Ata ho


    Har Member 5 Entries Dey Sakhta hai Koshish Kijye Ga 5 Aghar Detay hain tu Aik hi Bar Main post Karein Alag Alag Nahin

    Last Date 30 March Hai Us Se Pehlay pehlay Apni Sharing Dey Dijye Ga :rose

    Khush Rahiye

    Wa.Salaam
    Walaikum Salaam ,

    Sub se pehle to ye bata don ke aap kuch nahi buhat late ho gaii hain :khi:

    Anyway It's nice a competition :)

    Best Of Luck to all the participant :thmbup:

    Comment


    • #3
      Re: A'shaar Competition March

      (1)
      Tum se ulfat keh Takazeh na nibhae jate
      Werna hum ko bhi tamana thi keh chahe jate


      Dil keh maaroon ka na ker gham keh yeh andoh-e-naseeb
      Zakham bhi dil mian na hota to karahe jate

      Kash ae abr-e-bahari, tera behka se qadam
      Meri ummid keh sehra main bhi gaahe jate

      Hum bhi kion dehar ki raftaar se hote paamal
      Hum bhi her laghzish-e-masti ko sara'he jate

      Di na mohlat humain hasti ne wafa ki werna
      Or kuch din gham-e-hasti se nibahe jate


      ----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
      (2)
      Mang kabhi ulfat me jan bhi hum se,
      HUm teri kisi baat ko tala nai kerte ,

      tasdeek jo karni ho to aaja kisi shab ko,
      Hum tere bina ghar main ujala nai kerte !!
      ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
      (3)
      jab tera hukm mila tark muhabbat kar di
      dil magar is pe wo dharka k qayamat kar di

      tujh se kis tarah main izhar-e-tamanna karta
      lafz sujha to mani ne bagavat kar di

      main to samjha tha ki laut ate hain jane wale
      tune jakar to judai meri qismat kar di

      mujh ko dushman ke iradon pe bhi pyar ata hai
      teri ulfat ne muhabbat meri adat kar di

      puch baitha hun main tujh se tere kuche ka pata
      teri halat ne kaisi teri surat kar di
      ---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
      (4)
      Pehle sa vo khaloos vo ulfat nahi rahi,
      Ab doston mein vo rasme mohabbat nahi rahi,
      Muddat se meri yaad se ghafil hain mere dost,
      Shaid ab un ko meri Zaroorat nahi rahi.............

      ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
      (5)
      Ulfat Ka Jab Kisi Ne Liya Naam Ro Pade
      Apni Wafa Ka Soch Ke Anjaam Ro Pade

      Har Shaam Ye Sawaal Mohabbat Se Kya Mila
      Har Shaam Ye Jawwab Ke Har Shaam Ro Pade

      Raah-e-wafa Mein Humko Khushi Ki Talaash Thee
      Do Gaam Hi Chale The Ke Har Gaam Ro Pade

      Rona Naseeb Mein Hai To Auron Se Kya Gila
      Apne Hi Sar Liya Koi Ilzaam Ro Pade
      Last edited by musaddaq; 11 March 2008, 08:03.

      Comment


      • #4
        Re: A'shaar Competition March

        Originally posted by musaddaq View Post

        Mang kabhi ulfat me jan bhi hum se,
        HUm teri kisi baat ko tala nai kerte ,

        tasdeek jo karni ho to aaja kisi shab ko,
        Hum tere bina ghar main ujala nai kerte !!
        zabar10 entries :em:
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: A'shaar Competition March

          "woh to woh hai , tumheN hojaayegi ulfat mujh se
          ik nazar tum miraa maHboob-e-nazar to dekho !"

          --faiz
          ---------------------------------------------------------
          Aql walon ko kahan zauq ulfat se
          yeh dilwale hain jo hans ke haar jate hain
          --------------------------------------------------
          un kii ulfat kaa yaqiin ho un ke aane kii ummiid
          hon ye donon suuraten tab hai bahaar-e-intazaar

          ----------------------------------------
          rasm-e-ulfat hi ijazat nahin deti verna
          hum bhi aisa tumhein bhoolein k sada yaad rahein

          (Noshi Geelani)
          -----------------------------------------
          Qatl karnaa hai to mehandi lage haathon se karo...
          Rang-e-ulfat bhii rahe aur khoon kii holi bhii rahe

          ---------------------------------------------
          Last edited by shummu; 13 March 2008, 16:41.

          Comment


          • #6
            Re: A'shaar Competition March

            tum sae ulfat kae tqaazay abb kiaye nahi jatay
            jll chukee hain aknkhain abb ansoown peeyae nahi jatay
            azharr ker hi dain gay tujh sae hum mohabath ka
            abb aur hum sae lab seeayae nahi jatay
            pahlae hi bauth boujh hi hum pae sagar abbasi
            hum sae abb aur wahday keeayae nahi jatay

            Comment


            • #7
              Re: A'shaar Competition March


              Wasi hum ne pyar kia tha
              Ulfat ka iqrar kia tha

              Amjad rung ik geet likha tha
              usko apna meet likha tha

              Neher kinarey, peepal chao'n
              Un sey yeh izhar kia tha

              Jana bosa lene do
              dast-e-hina chu lene do

              Talab na paiee, mausam badla
              nadi kinara, gum sum pani
              hum se aaj yeh kehta hai

              Wasi kuoon-kar pyar kia tha
              kyoun is ka iqrar kia tha


              __________________________________________________ _________-
              day kar humy ulfat phir woh dagha dety hain
              likh kar humara naam haathaili par phir mitta dety hain



              Last edited by MeemSheenAlif; 13 March 2008, 11:55.

              Comment


              • #8
                Re: A'shaar Competition March

                sakoot-e-jaan ka matlab bata do phir chalay jana
                ya phir sargoshian dil ki suna do phir chalay jana
                jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay mein
                usay puri tarhan se tum bhula do phir chalay jana
                yeh saray pairr poday tum bin kayi raat jagay hain
                tum aakay ik baar inko sula do phir chalay jana
                kisi ko chahne ka aur kisi se chahay janay ka
                jo hai ahsaas tum usko bhula do phir chalay jana
                bus ik murda hansi se apnay ashkon ko chupanay ka
                jo fun aata hai tum ko, wo sikha do phir chalay jana
                woh jo ik lafz-e-ulfat

                jo kehte kehte ruk gaye, un sari baton ki
                sama'at ko talab hai wo suna do phir chalay jana
                na janay q hai lakin dekhne ki tum ko aadat hai
                meri ye be-waja aadat chura do phir chalay jana
                merey in roz-o-shab ka ik faqat unwan bus tum ho
                mujhe tum doosra unwan la do phir chalay jana


                __________________________________________________ ____________________


                Barso baad tum se milne ko gi chata hai
                aaj phir tum se ulfat ko gi chata hai
                teri yaad mein kitna tarpa hoon mein
                abb tujhe tarpaane ko gi chata hai
                mahsoom, yateem, bebas, raah batke musaafir !
                mujhe inn ka humdard banne ko gi chata hai
                aee mere bholne teri kushi ki katir
                teri ulfat mein jaan dene ko gi chata hai
                tanha hoon SaHiL tere bager zindigi ke safar mein
                zindigi tere saath guzaarne ko gi chata hai


                __________________________________________________ __________________



                Tarapta hu tumhari Ulfat mein aaj bi
                anjan hu us rastay sa
                jis pa guzar ha tumhara aaj bi
                kis naam sa pukaru tum ko
                anjan hu tumharay naam sa aaj bi
                Last edited by MeemSheenAlif; 13 March 2008, 11:43.

                Comment


                • #9
                  Re: A'shaar Competition March

                  thaank
                  s

                  Comment


                  • #10
                    Re: A'shaar Competition March

                    nice

                    Comment


                    • #11
                      Re: A'shaar Competition March

                      good

                      Comment


                      • #12
                        Re: A'shaar Competition March

                        (1)

                        raaz-e-ulfat chhupaa ke dekh liyaa
                        dil bahut kuchh jalaa ke dekh liyaa.

                        vah mere ho ke bhii mere na hue
                        un ko apanaa banaa ke dekh liyaa.

                        aur kyaa dekhane ko baakii hai
                        aap se dil lagaa ke dekh liyaa.

                        faiz, taqamiiil-e-Gam bhii ho na sake
                        ishk ko aazamaa ke dekh liyaa

                        (2)

                        rasm-e-ulfat sikha gaya koi
                        dil ki duniya pe chhaa gaya koi
                        ta qayamat kisi tarah na bujhe
                        ag aisi laga gaya koi
                        dil ki duniya ujar si kyun hai
                        kya yahan se chala gaya koi
                        vaqt-e-rukhsat gale laga kar "Dag"
                        hansate hansate rula gaya koi

                        (3)


                        Teri ulfat nay to diwana bana rakha hai,
                        Aur logo nay bhi afsana bana rakha hai,

                        Aandhiyaan taiz chalein bujh na sakay ga phir bhi,
                        Khoon e dil say jo diya hum nay jala rakha hai

                        Unse khud unki jafaon ka gila kesy karein,
                        Hum ne aanhon ko bhi seene main daba rakha hai

                        Woh joh kaatil hai situmgar hai mohabbat ka meri,
                        Hum ne unwaan e gazal usko bana rakha hai

                        Ban ke anjaan sar e bazm woh mujh se bolay,
                        Ishq main kis ke bura haal bana rakha hai

                        Koun kehta hai tujhko bhool gaya hai dil,
                        Teri yaad ko to humne emaan bana rakha hai

                        (4)


                        Na tujh pay jafa ka koi ilzaam
                        na main apni ulfatulfat ke
                        itne ehsaan ki ginvaauuN to ginvaa na sakuuN
                        hamne is ishq meN kya khoyaa hai kyaa siikhaa hai
                        juz tere aur ko samjhaauN to samjhaa na sakuN
                        sigpic

                        Comment


                        • #13
                          Re: A'shaar Competition March

                          asalam o alikom
                          مون لائیٹ آفریدی ورڈ پریس ڈاٹ کام ۔۔۔۔۔۔ مون لائیٹ
                          آفریدی بلاگ سپاٹ ڈاٹ کام

                          Comment


                          • #14
                            Re: A'shaar Competition March

                            Assalam o Alaikum

                            meN to aisay moqaay dhoondta hooN ,, meN to apnay hi ashaar paish karooN ga..


                            kaar-e-ulfat ke ye aadaab nahiN heN ASIM
                            ishq ke saath zamaanay ki bhi parwa karna
                            ...............

                            us shakhS pe ulfat bhi miri baar hay ASIM
                            payaar aisa koi koh-e-garaaN bhi to nahiN hay
                            ..............

                            rahrwaan-e-manzil-e-ulfat
                            rasta kar lo aik mu'ayyan
                            ...........

                            ab zaroorat nahiN rahi is ki
                            ulfat-e-dair yaab wapas leN
                            ...........

                            Shamah-e-ulfat jalao tum ASIM
                            har dia ab bujaa rahay heN log
                            ...........

                            yaaN aakhri shehr meN lafz shamah likhnay ki samaj nahiN aa rahi,,, lafZ SHAMAH meN meem jazm ke saath hay,,,

                            Wassalam
                            Ameen Asim

                            Comment


                            • #15
                              Re: A'shaar Competition March

                              AssalamoAllaikum sab ne buht hi achi sharing ki hai,.... aab main kia karon:donno:... chaliye koshish kar leti hun......


                              here is it...



                              Tum mujhe bhool jao to ye haq hai tumko...


                              Mairi baat aur hai maine to mohabbat ki hai...



                              Maire dil ki maire jazbaat ki qeemat kia hai...


                              Uljhe uljhe se khayalat ki qeemat kia hai...



                              Maine kyun pyar kiya tumne na kyun pyar kiya...


                              In pareshan sawalaat ki qeemat kia hai...



                              Tum jo ye bhi na batao to haq hai tumko


                              Mairi baat aur hai maine to mohabbat ki hai...



                              Tum agar aankh churao to ye haq hai tumko....


                              Mairi baat aur hai maine to mohabbat ki hai...



                              Tumko dunia ke gham-o-dard se fursat na sahi


                              Mairi baat aur hai maine to mohabbat ki hai...



                              Sab se ulfat hi mujhse hi mohabbat na sahi...


                              Main tumhari hoon wohi maire liye kia kam hai...



                              Tum maire ho ke raho ye mairi qismat na sahi...


                              Aur dil ko jalao maire ye haq hai tumko...


                              Mairi baat aur hai maine to mohabbat ki hai...


                              MOhabbat ki hai shayad mohabbat ki hai....







                              Ulfat Yaa Mahobbat



                              Tujhko maaluum naheeN hai ki mahobbat kyaa hai?


                              Tujhko maaluum naheeN hai ki ibaadat kyaa hai?



                              Jiskee nasnas meiN usee kaa naam rahtaa hai,


                              Uskaa dil jaane, ye ruuh kee ulfat kyaa hai?



                              Jisko suulee kaa na Dar hai na kisee zahar kaa,


                              Ik vo hee jaane ki, uskee inaayat kyaa hai



                              Tujhko bas jism kee, jannat kee bhuukh rahtee hai,


                              Tujhe maaluum naheeN, pyaar kee fitrat kyaa hai?



                              Khudko kho kar jo uskaa hee ho jaataa hai,


                              Use puuchho ki ye, ulfat yaa ibaadat kyaa hai?


                              -------------------------------------------------------------------------------------



                              Abhi wo dard baqi hai...



                              Agarchey waqt mahram hai...


                              Magar kuch waqt lagta hai...


                              Kisi ko bhool jane mien...


                              Dobara dil basane mien...


                              Abhi kuch waqt lagana hai...



                              Abhi wo dard baqi hai...



                              Main kaise nai ulfat mien aapne zaat ko gum ker doon...


                              K mere jism-o-wajood mien abhi wo fark baqi hai...


                              Abhi us shaks ki mujhe per nigah-e-sard baqi hai...


                              Abhi to ishq k rastoon ki mujh per gard baqi hai...



                              Abhi wo dard baqi hai...


                              --------------------------------------------------------------------------------------



                              Jurm-e-Ulfat pe, Hamen Log Sazaa Dete hain


                              Kaise Nadaan Hai, Sholon ko Hawaa Dete hain



                              Hum se Deewane kahin, Tark-e-Wafa karte hain


                              Jaan Jaye ke Rahe, Baat Nibhaa Deten hain



                              Aap Daulat ke, Tarazu mein Dilon ko Tole


                              Hum Muhobbat se, Muhobbat ka Silaa Deten hain



                              Takhta kya Cheez hain, Aur Laal-o-Jawahar kya hain


                              Ishq walen To, Khudayee bhi Lootaa Deten hain



                              Hum ne Dil De bhi Diyaa, Ehd-e- Wafa Le bhi Liyaa


                              Aap Ab Shauk se, Dene Jo Sazaa Deten hain



                              Jurm-e-Ulfat pe, Hamen Log Sazaa Dete hain


                              Kaise Nadaan Hai, Sholon ko Hawaa Dete hain


                              -------------------------------------------------------------------------



                              Mein usse waqaf-e-ulfat na karoon



                              Socheta huuN buhat saada masoom hay wuh


                              Mein abhi ussko Shanaa-Saae Muhabbat na karoon


                              Rooh ko usski Aseer-e-Gham-e-ulfat na karoon


                              Ussko Ruswa na karoon waqaf-e-museebat na karoon



                              Socheta hoon keh abhi Ranj se azaad hai wuh


                              Waqaf-e-dard nahiin khogar Aalaam nahiin


                              Sehar Aesh mein uss ki asarr Shaam nahiin


                              Zindagi uss ke liye Zahar bhara jaam nahin



                              Socheta hoon keh muhabbat hai jawaani ki Khazaan


                              Uss ne dekha nahiin duniya mein bahaaron ke siwa


                              Nikhat-o-Noor labrez nizaaron ke siwa


                              Sabzah zaaron ke siwa, aur sitaaron ke siwa



                              Socheta hoon keh Gham-e-Dil na sunaaoon ussko


                              Saamne usske kabhi Raaz ko Aryaan na karoon


                              Khalish Dil se usse Dast-o-garebaan na karoon


                              Uss ke Jazbaat ko mein Shola-bad amaan na karoon



                              Socheta hoon keh Jalaa de gi Muhabbat ussko


                              Wuh muhabbat ki taab kahan laae gi


                              Khud tou wuh Aatish-e-jazbaat mein Jal jae gi


                              Aur duniya ko iss anjaam pe Tarpaae gi



                              socheta huuN buhat saada masoom hay wuh


                              mein usse waqaf-e-ulfat na karoon


                              khush rehye sadaa
                              ameen sum ameen
                              Last edited by D!l_J@Le; 13 March 2008, 18:24.

                              Comment

                              Working...
                              X