Assalam-0-Allaikum dosto umeed hai ke aap saab khush bash aur kheriyat se hon gey duaa bhi yahi hai meri...:dua
aik ghazal hai meri taraf se umeed hai pasand aaye gi...:)
tumhein pyaar kar lain
haseen chaand ki chaandni ghat rahi hai
seyahi ke parde se pao phat rahi hai
ufaq ki taraf roshni bat rahi hai
magar tum ko abb zabaan rat rahi hai
bas aao gale ka tumhein haar kar lain
bicharne se pehle tumhein pyaar kar lain
Khuda jane phir kya zamana dikhaye
ye mousam palat ke phir aaye na aaye
na jane ye takdeer kya gul khilaaye
jawaani kehein yun hi mujhaa na jaye
muhabbat se hasti ko zarkaar kar lain
bicharne se pehle tumhein pyaar kar lain
ghanemat ye din hain ke hum tum jawaan hain
muhabbat ke aakaash ki kehkashaan hain
azal hi se roman ki dastaan hain
adam ke safeene pay, lekin rawaan hain
zara umar ki sust raftaar kar lain
bicharne se pehle tumhein pyaar kar lain
farebi zamane ki har reet jhooti
chamakdar balon ki ye bhait jhoti
kahein haar sachi kahein jeet jhoti
magar tarq hum tum karen peet jhooti
haqeeqi muhabbat ka ikraar kar lain
bicharne se pehle tumhein pyaar kar lain
samaaj aor mazhab hain uljhao donon
muhabbat ke seene pay hain ghaao donon
magar aik kaghaz ki hain naao donon
unhein ghark darya karen aao donon
tabeeyat ko rasmoun se bezaar kar lain
bicharne se pehle tumhein pyaar kar lain
chalo aik basti alag hum bassain
jahaan fitrat paak ke geet gaain
jahaan shouq ki har tamana metaain
jahaan donon azaad dil muskurain
muhabbat ki ikk naao teyaar kar lain
bicharne se pehle tumhein pyaar kar lain
khush rehye sada
ameen sum ameen

Comment