Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Muhabbat

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Muhabbat

    Muhabbat

    Meem=Mulaqat-e-Na'tmaam
    Hey=Hirs-e-Wasl
    Bey=Biyaad-e-Sanam
    Tey=Tasawwar-e-Qaatil

    Chand aik NA'TMAAM MULAQATON mein do nadaan dilon ka aik doosrey ko pasand karna, bar bar milney ka ehad karna, chand aik mulaqaton mein WASL ki HIRS ka barh jana, aqarba key bar bar samjhaney per bhi her waqt SANAM ki BIYAAD mein rehna. Yeh baat jaantey huwey bhi keh muhabbat duniya key liye sab sey bada jurm hai, hasool-e-sanam ki justjoo mein rehna aur samaj ki bnaee huwi deewaron ko giraney ki taaq mein rehna, in nadaan dilon key nazdeek yeh muhabbat ki mairaaj hai. Magar jab yeh muhabbaton key kamzor muhafiz, samaj ki deewaron sey takraa kar paash paash ho jatey hain aur in andhey musafiron ko apni manzilein na paaney ka yaqin aata hai to yeh ghamon sey nadhaal ho ker duniya ko be-murawwat to kehtye hi hain magar muhabbat per bhi aetmaad nahin kartey aur issey anqa samajhtey hain, aur tarha tarha key ilzamaat detey hain - bhalla koi in sey poochey key muhabbat ney inka ka kya bigarra hai? In ki aason ka QAATIL to inka apna TASSAWWAR hai, apni hawwas hai, apni na'daani hai to phir muhabbat ko kis jurm ki saza? Agar muhabbat ki hai to muhabbat key karb ko bhi saha jaey......
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Muhabbat

    Buhut Acha ahur sach likha hai.........magar last ki chand ek lines .....

    ghamon sey nadhaal ho ker duniya ko be-murawwat to kehtye hi hain magar muhabbat per bhi aetmaad nahin kartey aur issey anqa samajhtey hain, aur tarha tarha key ilzamaat detey hain - bhalla koi in sey poochey key muhabbat ney inka ka kya bigarra hai? In ki aason ka QAATIL to inka apna TASSAWWAR hai, apni hawwas hai, apni na'daani hai to phir muhabbat ko kis jurm ki saza? Agar muhabbat ki hai to muhabbat key karb ko bhi saha jaey......

    Is per itefaq nahi kerti, Mohabbat main hawas nahi hoti ....
    Dosra yeh ke Mohabbat ko kabhi bhi koiIlzam nahi deta, Mohabbat ek sacha jazba hai jo sirf Dil main hota hai.... Jin logo ka aap ne yahan ziker kiya , mujhe lagta hai ke jab insan Mohabbat main dhoka khata hai aur nakam hota hia to wo Mohabbat ko ilzam nahi deta balkey ous ke aetebar logo se outh jata hai, kiu ke wo chot mohabbat se nahi logo se khata hai.

    sigpic

    Comment

    • #3
      Re: Muhabbat

      Originally posted by Saima Shaheen

      Saima aisey log bhi hain jo muhabbat key wojood sey inkaar kartey hain, aur aik baat ki chot per woh yehi kehtey hain keh muhabbat ka naam-o-nishaan nahin, yeh bhi to drust nahin, muhabbat apna thos saboot rakhti hai, agar kuchh kami hai to unkey jazbon mein kami hai, unka hasil ki aarzu mein kami hai... Muhabbat mein to apna rang dikhati hai, agar sachi ho to .....
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment

      • #4
        Re: Muhabbat

        Originally posted by Masood

        Dont agree ........... zarori nahi hota her baar insan ki apni arzoo yaan justajoo main kami ho, kabhi kabhi is main kismat ka dhakal bhi hota hai Insan chahey lakh koshishein karey magar jahan kismat aarey aa jayeh waha sari koshishein khatam ho jati hain.

        Main ne ek Article likha tha "Jabr-o-Qad'rast" yeh farsi ka lafz hai yeh insan ki tadbeer aur taqdeer per mabni hai. Inshallah jald share keroo gi.
        sigpic

        Comment

        • #5
          Re: Muhabbat

          Originally posted by Saima Shaheen
          kabhi kabhi is main kismat ka dhakal bhi hota hai Insan chahey lakh koshishein karey
          Is baat per mujhey mukamil itfaaq hai keh insaan laakh jattan karey hona wohi hi hai jo qismat mein likha hai - magar aisey mein muhabbat ko qasoor nahin dena chahiye na. Muhabbat ko hasil karney ya na karney mein mein qismat ka haath hai. Qismat haq mein ho to har bandhan tor kar aik doosry ko paa letey aur agar qismat saath na dey to kuchh nahin ho sakta...
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • #6
            Re: Muhabbat

            waaaaa
            Zahid hussain

            Comment

            • #7
              Re: Muhabbat

              waah kia baat hai
              Haseeb CGR
              Returns

              Comment

              • #8
                Re: Muhabbat

                Assalm-o-Alikum WR WB

                bhot khubsurat

                FeamanAllah
                Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
                Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga

                Comment

                • #9
                  Help me

                  Hey Mesood! yaar mughy aik poem achi legti hy plese ager ati hy to mughy Likh bejo .. Mughy zerooret hy os poem ki ! "Suna hy log osy ankh bher k dekhty hain" i think wasi Shah ki hy .. ya jis ki bhee hy ager help ker do to i'll be thanksful to u yaar.
                  Arsal..

                  Comment

                  • #10
                    Re: Muhabbat

                    aslaam_u_alikam

                    bohat khubsorat tehreer hey masood saahib:)

                    is sey aagey kehney ko merey paas kuch nahin

                    Comment

                    Working...
                    X