Muhabbat
Meem=Mulaqat-e-Na'tmaam
Hey=Hirs-e-Wasl
Bey=Biyaad-e-Sanam
Tey=Tasawwar-e-Qaatil
Chand aik NA'TMAAM MULAQATON mein do nadaan dilon ka aik doosrey ko pasand karna, bar bar milney ka ehad karna, chand aik mulaqaton mein WASL ki HIRS ka barh jana, aqarba key bar bar samjhaney per bhi her waqt SANAM ki BIYAAD mein rehna. Yeh baat jaantey huwey bhi keh muhabbat duniya key liye sab sey bada jurm hai, hasool-e-sanam ki justjoo mein rehna aur samaj ki bnaee huwi deewaron ko giraney ki taaq mein rehna, in nadaan dilon key nazdeek yeh muhabbat ki mairaaj hai. Magar jab yeh muhabbaton key kamzor muhafiz, samaj ki deewaron sey takraa kar paash paash ho jatey hain aur in andhey musafiron ko apni manzilein na paaney ka yaqin aata hai to yeh ghamon sey nadhaal ho ker duniya ko be-murawwat to kehtye hi hain magar muhabbat per bhi aetmaad nahin kartey aur issey anqa samajhtey hain, aur tarha tarha key ilzamaat detey hain - bhalla koi in sey poochey key muhabbat ney inka ka kya bigarra hai? In ki aason ka QAATIL to inka apna TASSAWWAR hai, apni hawwas hai, apni na'daani hai to phir muhabbat ko kis jurm ki saza? Agar muhabbat ki hai to muhabbat key karb ko bhi saha jaey......

Comment