Tum na samjho ge tumhein haal sunaaon kaisay
Hijr mein mujh pe hai kya guzri bataaon kaisay
Woh musaafir tha dar-e-adm thi manzil uski
Ajal ke haath se mein waqt churaaon kaisay
Qasr-e-ulfat bhi kiya mein ne taameer magr
Jiski uftaad hi ho khusta bachaaon kaisay
Mausam-e-gul mein tu ahbaab bhi thay mujhko aziz
Ab inhi kaanton se daaman mein bachaaon kaisay
Dil-e-wahshi ko paband-e-salasil rakhoon
Dum-e-maazi se farda ko churhaaon kaisay
Tinka tinka jo kiya phir kahin aashiana bana
Bijlian apne hi aangan mein giraaon kaisay
Kuch khata unki thi, kuch apni bhi thi Rizwan
Ashk-e-naadim ko aankhon mein chupaaon kaisay

Comment