Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kuch humari DAIRY se !!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kuch humari DAIRY se !!!

    Asalam-0-Alikum,

    Pegham k liye

    Kuch Humari Dairy Se

    Mujhe shaairy se aise shagqf is gaazal se hawa...




    Zesst ki kahani...

    Tuhj se teri zest ki kahani sun kar log
    Mujh ko sunaate hain fasane mere,

    Tujh ko ye shikwa hai k main tum se kahbi mil na saka
    Tere to ilam thay saare thikane mere,

    Kaash k tum na phir laut k aaye hote
    Jaag uthay hain subhi zakham purane mere.




    Bara kathin hai !!!

    Bara kathin hai rasta jo aa sakoo to sath doo
    Ye zindagi ka faasla mita sakoo to sath doo,

    Baray fareb khaoo gay baray sitam uthaoo gay
    Ye umar bhur ka sath hai nibhaa sakoo to sath doo,

    Jo tum kahoo to ye dil to kiya main jaan bhi fida karoon
    Jo main kahoon bus ik nazar luta sakoo to sath doo,

    Hazaar imtihaan , hazaar aazmaishain
    Hazaar dukh hazar ghum utha sakoo to sath doo,

    Ye zindagi yahan khushi ghamoon ka sath hai
    Rula sakoo to sath doo hansaa sakoo to sath doo ..



  • #2
    Re: Kuch humari DAIRY se !!!

    SARD HAATH !!!

    Ek din maine uss k haath ko choowaa thaa
    Aur wo muskuraa ker
    Bataane lagii k

    Tumharaay haath kitne garm hain
    Aur garm haath wafaa

    Kii nishaani huwaa kerte hain
    Main ye sunn ker itnaa khush huwaa k sab
    Baatein bhool gayaa !!!!!!

    AUR......
    Aaj mujhe
    Kitni shidatt se
    Yaad Aa raha k uss k

    HAATH

    Kitne

    "SARD "
    Thay !!!







    MAIN BOLLA !!!!

    Main bolla mujhe se
    Baat karoo,

    woh bolla!! Pagal aawaraa,
    Phir main main ne

    Khud ko dair talak khud likha,
    PAGAL AAWARAA.

    Woh thehraa thehraa sa PAANI.
    Woh suljhaa suljhaa sa MAUSOM.

    Main ULJHAA ULJHAA sa SHAIR.
    MAIN THEHRAA PAGAL AAWARAA....

    Farhat abbas shah


    Comment


    • #3
      Re: Kuch humari DAIRY se !!!




      Naa Ganwaao nawak-e-neem kash !!!


      Naa Ganwaao nawak-e-neem kash dil-e-reza reza ganwa diya
      Jo bache hain sang samet lo tann-e-dagh dagh lut diya,


      Mere chaaraa-ger ko naveed ho safe dushmanaan ko khaber karo
      Jo qarz rakhte thay jaan per woh hissab aaj chukaa diya,


      Karo kajj jabeen pe sar-e-kaffan mere qaatilon ko gumaan na ho
      Kguroor-e-ishq kaa bankpann pase-marg hum ne bhula diya,


      Idher ik harf kushtanii yahaan laakh uzer thaa guftanii
      Jo kaha to sunn k uraadiya jo likha to pardh k mita diya,


      Jo ruke to kohe-garaan thay hum jo chale to jaan se guzar gaye
      Rahe yaar hum ne qadam qadam tujhe yaadgaar banaa diya...


      FAIZ AHMED FAIZ





      Teri ranjish ki intaha maloom
      Hasratoon ka meri shumar nahi,


      Faiz zinda rehain woh hain to sahi
      Kiya huwa gar wafa shu'aar nahi.



      FAIZ AHMED FAIZ



      Comment


      • #4
        Re: Kuch humari DAIRY se !!!

        SARD HAATH !!!

        Ek din maine uss k haath ko choowaa thaa
        Aur wo muskuraa ker
        Bataane lagii k
        Tumharaay haath kitne garm hain
        Aur garm haath wafaa
        Kii nishaani huwaa kerte hain
        Main ye sunn ker itnaa khush huwaa k sab
        Baatein bhool gayaa !!!!!!
        AUR......
        Aaj mujhe
        Kitni shidatt se
        Yaad Aa raha k uss k
        HAATH
        Kitne

        "SARD "
        Thay !!!



        Nice sharing keep it up

        Comment


        • #5
          Re: Kuch humari DAIRY se !!!

          HAR CHAND SAHARAA HAI !!!!

          Har chand k saharaa ahi tere piyaar ka dil ko
          Rehta hai magar aik ajb sa khauf sa dil ko,

          Woh khawaab k dekha na kabhi lay urda neendein
          woh dard uthaa na kabhi khaa gaya dil ko,

          Yaa saans ka lena bhi guzer jana hai jee se
          Yaa maarkaa-e-ishq bhi aik khel tha dil ko,

          Woh aaein to hairaan woh jaa-ien to pershan
          Yaa Rab koi samjhaye ye kiya ho gaya dil ko...

          SUNG BY NAYYARA-NOOR




          TUM POOCHO AUR MAIN NAA !!!


          Tum poocho aur main na bataoon aisay tu halaat nahi
          Aik zara za DIL toota hai aur tu koi baat nahi...

          Kis ko khabar thee saanwlay baadal bin barsay ur jaatay hain
          Saawan aaya lekin apni QISMAT main barsaat nahi...

          Toot gaya jab DIL tu phir saason ka naghma kiya maani
          Goonj rahi hai kyun shehnaee jab koi baraat nahi...

          Meray gham-geen honay par EHBAAB hain Kyun hairaan " QATEEL "
          Jaisay mai patthar hoon meray seenay main JAZBAAT nahi...

          SUNG BY MUNNI BEGUM



          Tum ne to keh diya k muhabat nahi mili !!!


          Tum ne to keh diya k muhabat nahi mili
          Mujh ko to ye bhi kahne ki mohlat nahi mili,

          Neendon k dess jaate koi khuwab dekhte
          Lekin DIYA jalaane se fursat nahi mili,

          Tujh ko to kher shehir ke logon ka khauf tha
          Aur mujh ko aapne ghar se ijazat nahi milI

          Be-zaar yun huwe k tere ahd main humain
          Sub kuch mila sukoon ki daulat nahi mili.


          NOSHI GILANI


          Comment


          • #6
            Re: Kuch humari DAIRY se !!!

            Haath chotay bhi to

            Haath chotay bhi to rishte nahi toora karte
            Waqt ki shaak se lamhe nahi toora karte,


            Jis ki aawaaz main silvat ho nighoon main shekin
            Esii tasveer ke tukray tukray nahi jorda karte,


            shad jeene ka mila karta hai thoora thoora
            Jaane waloon k laye dil nahi toora karte,


            Laag ke sahil se jo behta hai use sada behne do
            issii daryia ka kabhi rukh nahi moora karte...



            Comment


            • #7
              Re: Kuch humari DAIRY se !!!

              Khuwaab kii tarah bikhar jaane ko jii chaahataa hai

              Khuwaab kii tarah bikhar jaane ko jii chaahataa hai
              aisii tanhaa-ii k mar jaane ko jii chaahataa hai

              Ghar kii vehashat se larazataa hoon magar jaane kiyon
              Shaam hotii hai to ghar jaane ko jee chaahataa hai

              Doob jaa-uun to ko-ii mauj-e- nishaan tak na bataaye
              Aisii nadii main utar jaane ko jee chaahataa hai

              Kabhi mil jaaye to raste kii thakan jaag pade
              Aisii manzil se guzar jaane ko jee chaahataa hai

              Vahee paimaan jo kabhii jee ko Khush aayaa thaa bahut
              Usii paimaan se mukar jaane ko jee chaahataa hai


              Iftikhar Arif

              Comment


              • #8
                Re: Kuch humari DAIRY se !!!

                Main tujhe chahta nahin lekin

                Main tujhe chahta nahin lekin
                Phir bhi jab tu pass nahin hote

                Khud ko kitna Udaas pata hoon
                Gumm se apnay hawas pata hoon

                Janay kia dhunn samaeey rehti hai
                Dil se bhi guftugu nahin hoti

                Main tujhe chahta nahin lekin
                Phir bhi reh reh k mere kaano mein

                goonjti hai teree haseen aawaz
                Jaise naadeeda koi bajta saaz


                Her sada nagawar hoti hai
                Dil ki Dharkan bhi Baar hoti hai


                In sakoot aashna tarano mein
                Main tujhe chahta nahin lekin


                JAAN NISAR AKHTAR

                Comment


                • #9
                  Re: Kuch humari DAIRY se !!!

                  Ishq Mujko Nahin !!!


                  Ishq Mujhko Nahin, Vehshat Hi Sahi
                  Meri Vehshat Teri Shohrat Hi Sahi


                  Katta Keeje Na Taalluk Hamse
                  Kutch Nahin Hai To Adavat Hi Sahi


                  Mere Hone Mein Hai Kya Rusvayee
                  Ae Veh Majlis Nahin Khallat Hi Sahi


                  Hum Bhi Dushman To Nahin Hain Apne
                  Gair Ko Tujhse Mohabbat Hi Sahi


                  Apni Hasti He Se Ho Jo Kutch Ho
                  Aagahi Gar Nahin Gaflat Hi Sahi


                  Umr Harchand Ki Hai Barke-Kharam
                  Dil Ke Khoon Ki Fursat Hi Sahi


                  Hum Koyee Tarqe-Vafa Karte Hain
                  Na Sahi Ishq Museebat Hi Sahi


                  Kutch To De Ae Falke-Na-Insaaf
                  Aaho Fariyad Ki Rukhsat Hi Sahi

                  Hum Bhi Tasleem Ki Khoo Dalenge
                  Benayazi Teri Aadat Hi Sahi


                  Yaar Se Chedh Chali Jaye 'Asad'
                  Gar Nahin Vasl To Hasrat Hi Sahi


                  MIRZA GHALIB






                  Comment


                  • #10
                    Re: Kuch humari DAIRY se !!!

                    YE DONO DUAAIEN MUJHE BAHUT PASAND HAIN

                    DUAA

                    Meri duaien bohat pechida hain!!
                    Shaam ka waqt hai


                    Duaon ki maanzoori ka waqt hai
                    Main kaisi duaon ko yaad karoon


                    Meri duaien pechida bohat hain!!
                    Mere DIL main bohat be-asar duaien hain


                    Bohat duaon k bajaaye mere dil main
                    Ek DUA hoti tu kinta acha tha.


                    MUNIR NIAZI




                    DUAA

                    Raat k pursukon lamhon main
                    Jab kabhi teri yaad aati hai,


                    Is ghari main khudaye-bartar se
                    Teri khushiyon ki bhek mangta hoon,


                    Main DUAA-GO hoon k tere saare gham
                    Meri qismat main sama jaein,


                    Mere hisse ki mumkina khushiyan
                    Tere hisse main saari aa jaein..

                    MANAN QADEER MANAN

                    Comment


                    • #11
                      Re: Kuch humari DAIRY se !!!

                      Originally posted by crying eyes View Post
                      SARD HAATH !!!


                      Ek din maine uss k haath ko choowaa thaa
                      Aur wo muskuraa ker
                      Bataane lagii k
                      Tumharaay haath kitne garm hain
                      Aur garm haath wafaa
                      Kii nishaani huwaa kerte hain
                      Main ye sunn ker itnaa khush huwaa k sab
                      Baatein bhool gayaa !!!!!!
                      AUR......
                      Aaj mujhe
                      Kitni shidatt se
                      Yaad Aa raha k uss k
                      HAATH
                      Kitne

                      "SARD "
                      Thay !!!







                      MAIN BOLLA !!!!

                      Main bolla mujhe se
                      Baat karoo,
                      woh bolla!! Pagal aawaraa,
                      Phir main main ne
                      Khud ko dair talak khud likha,
                      PAGAL AAWARAA.
                      Woh thehraa thehraa sa PAANI.
                      Woh suljhaa suljhaa sa MAUSOM.
                      Main ULJHAA ULJHAA sa SHAIR.
                      MAIN THEHRAA PAGAL AAWARAA....

                      Farhat abbas shah


                      bohat khoob phool:
                      Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                      Comment


                      • #12
                        Re: Kuch humari DAIRY se !!!

                        Dil ki chotaun ne !!!

                        Soz-e-Gham de k mujhe us ne ye irshaad kiya
                        Jaa tujhe kashmakash-e-Duhar se azaad kiya

                        Woh karien bhi kin alfaazon main SHUKIWAA
                        Jin ko teri nigah-e-lutf ne badaad kiya

                        Dil ki chotaun ne kabhi chain se rehne na diya
                        Jab chali sard huwaa main tujhe yaad kiya

                        Isska ronaa nahi kiyun kiya dil barbaad
                        Isska Gham hai k bahut der main barbaad kiya'






                        JOSH MALIH AABADI

                        Comment


                        • #13
                          Re: Kuch humari DAIRY se !!!

                          Darwaza Khulla Rakhna


                          Dil Dard ki Shiddat se Khoo'n Gashta-o-Si Paara
                          Iss shehar mein phirta hai aik Wheshi-o-Aawaara
                          Shaair hai keh ashiq hai, joogi hai keh banjara


                          Darwaza khula rakhna

                          Seenay say ghata uthay, ankhoon say jhari barsay
                          Phagan ka nahi badal, joo chaar ghari barsay
                          Barkha hai yeh bhadoon ke, barsay tu bari barsay


                          Darwaza khula rakhna

                          Ankhoon mein tu ik alam, ankhon mein tu duniya hai
                          Hontoon pay magar mohrain, moun say nahi kehta hai
                          Kis cheez ko khoo baitha, kaya dhoondnay nikha hai


                          Darwaza khulla rakhna

                          Haah tham mohabt ke gar thaam sakay doori
                          Sajan hai, taira sajan, aab tujh say kaya choori
                          Yeah jis ke manadi hai, basti mein tairi goori


                          Darwaza khula rakhna

                          Shakoon ko utha rakhna, ankhoon ko bacha rakhna
                          Ik shama dareechay ke chokhat pay jala rakhna
                          Dayoos na phir jaye, haan paas-e- wafa rakhna

                          Darwaza khula rakhna

                          Comment


                          • #14
                            Re: Kuch humari DAIRY se !!!







                            Us ne mujh se ye ik din kaha reit par
                            Ab ye sahraa hee tere muqadar main hain

                            Tu ne mangii hee kiyun thii DUA reit par
                            Aik shola utha us jagaah se " WASI "

                            Mera aansoo jahan gar gaya reit par.
                            Tu ne mangii hee kiyun thii DUA reit par






                            WASI SHAH

                            Comment


                            • #15
                              Re: Kuch humari DAIRY se !!!





                              Taleef-e-hijr !!!

                              Takleef-e-hijr de ga-ii hai raahat kabhi kabhi
                              Badlaa hai yuun bhi rang-e-Muhabat kabhi kabhi

                              Dil ne teri jafa ko saharaa samjh liya
                              Guzree hai yuun bhi hum pe muscebat kabhi kabhi

                              Duniya sumjh na lay tere Gham ki nazakatien
                              Karta hoon zeray-lab jo shikayaat kabhi kabhi

                              Hai jis taraf nigah Tawajja udher nahi
                              Hoti hai berukhi bhi inaayat kabhi kabhi


                              Comment

                              Working...
                              X