kuchh to naazuk mizaaj hain hum bhii
aur ye chot bhii nayii hai abhii
bharii duniyaa mein jii nahiin lagtaa
jaane kis cheez kii kamii hai abhii
tuu shariik-e-suKhan nahiini hai to kiyaa
hum-suKhan terii Khaamoshii hai abhii
yaad ke be-nishaan jaziiroN se
terii aavaaz aa rahii hai abhii
shahr ke be-chiraaGh galiiyon mein
zindagii tujh ko Dhoondhtii hai abhii
so gaye log us havelii ke
ek khirkii magar khulii hai abhii
tum to yaaro abhii se uth baithe
shahr mein raat jaagtii hai abhii
Nasir Kazmi
Comment