Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .
Collapse
X
-
Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .
guzartey lamho!
mujhay batao zindagi ka asool kia hay
tamam haathon main aainay hain
kon kiss say chuptha hay
agar sada ka wajood
kaano say munsalik hay
to kon khushboo bann kar bolta hay
agar samandar ki hadd
saahil hay
to kon aankhon main phelta hay
tamam cheezain agar milti hain
to kon cheezon say ma'awra hay
kisay khabar badalti rutt nay
puraney patton say kia kaha
yah kon badal say poochey
kay intey mousam kahan raha
jo aaj dekha hay woh kal na hoga
koi lamha attal na hoga
guzartey howey lamho!!
mujhay batao zindagi ka asool kia hay....Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!
Comment
-
Dil_E_Veeran
Tum uss dard sey guzrey ho naa-n
Woh rutt , jis mein jal jaati hein aankhein....
Tum per bhi guzri hey .....
Woh shabb , jo mahtaab sey tapkey
Aansoo ansoo , shabnam shabnam.... Woh shabb
Mujh per bhi utri hey
Woh din , jab gharian sou jaein......
Lamhey pather key hou jaein
Woh din tum nein bhi kata hey
Donoun key jismoon, rohoun mein
Yuksaan dukh ka sunnataa hey
Phir kion mujh sey poochtey ho tum ?
Meri palkein kion pur num hein ?
Aakher mujh ko kounsa ghum hey ?
Tum iss dard sey guzrey hoo naaa-n ?Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!
Comment
-
Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .
Jaise kanch ki chooreyyan haseeen hotee hain
Khuwaab bhi dil-nashin hotey hain
Jaise kanch ki chooreyyan kallaeyyoon mein sajti hain
Khuwaab bhi palkoon mein sajtay hain
Jaise kanch ki chooreyyan gungunaatti hain
Khuwaab bhi dharkan ka sur ban jatay hain
Jaise kanch ki chooreyyan larkeyo ka zaivar hain
Khuwaab bhi larkeyo ki ankh ka kajal hain
Magar janaaa'n !!!!!!!!!!!!
Jaise kanch ki chooreyyan toot jaati hain
Aur kircheyyan kallaeyyoon mein chubh jati hain
Khuwaab bhi tu bikhar jate hain
Aur ansoo ban kar ankh mein utar ate hain
Dekho tu kanch ki chooreyyan
aur Khuwaab
Donoo kitne milte julte hainAao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!
Comment
-
Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .
sub maya hai sub dhalti phirti chaya hai
is ishq main hum nay jo khoya jo paya hai
jo tum nay kaha hai faiz nay jo farmaya hai
sub maya hai
maloom humain sub qais mian ka qissa bhi
sub aik say hain yeh ranjha bhi yeh insha bhi
farhaad bhi jo ek nahar si khod kay laya hai
sub maya hai
jis gori par hum aik ghazal hur shaam likhain
tum jantay ho hum kyonkar uska naam likhain
dil uski bhi chokhat choom kay wapis aaya hai
sub maya hai
woh larki thi jo chaand nagar ki raani thi
woh jis ki alhar aankhon main hairaani thee
aaj usnay bhi paighaam kisssi ka bhjwayahai
sub maya hai
jo log abhi tak naam wafa ka laitay hain
woh jaan kay dhoka khatay, dhoka detay hain
haan thonk baja kay hum nay hukam lagaya hai
sub maya haiAao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!
Comment
-
Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .
Suna hay ab kay woh udaas rehta hai,
Us se kaho kay woh udaas na ho Kion kay!
Us ki udaasi k sath,
us ki aankhain bhee Num num si lagtee hain,
Us k hont bhee Chup chup say lagtay hain,
Us k yeh chup hont or num aankhain,
Meree kamzori hain,
Us se kaho!
Woh udaas na ho,
Jo woh chahta hai,
mujh se lay lay,
Be shak Chahay mujhay na,
apne munn pasand sathi k sang ho jaye,
Kion kay!
Us k udaasi meree kamzori haiAao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!
Comment
Comment